E-Commerce Website Se Kaise Bane Crorepati-Online Tmall.Com.
E-Commerce Website Ne 2000 Logo Ko Bana Diya Crorepati
Apne Business se to, aapne kai logo ko crorepati bante huye suna hoga, Lekin Aaj me aapko ak aise company ke baare me baat karne ja rahi hu, jo khud to 1.80 Lakh Crore ki company ban gayi hai, par khas baat to ye hai ki company ke sath jude 2000 logo ko bhi isne crorepati bana diya hai,
Ye baat China ki Famous E-Commerce Company, Alibaba ke ak venture Taobao.Com ki. Alibaba group ke owner Jack Ma ke is venture ne 2000 se bhi jyada logo ko crorepati bana diya hai, is venture ki story se Aap bhi kamai ki Tips Sikh sakte ho, to chale friends baat karte hai Alibaba ke in venture taobao.com ki Story ke baare me.......
Online Mall Se Aise Badali Life
Alibaba ne 2008 me "Taobao Online Mall" Lunch kiya, ye ak Virtual mall tha, jisme aap kus bhi kharid sakte ho, Alibaba ka is formula hit sabit huaa, or Karib 3 years me company ka market share 8% se badhakar 59% ho gayi, Online Mall ki Success dekhte hua, Company taobao ko ak alag web domain pe le liya, Jiska name rakha Tmall.com, Tmall ke Handicrafts Items China ke har ghar me Chha gayi,
2000 Logo ne kaise ki tmall se kamai Virtual Mall se Hui Moti kamai.
Company ne is mall me Saaman(product) ke liye Sellers banaye, lekin Rochak baat to ye thi ki jinhe company ne joda vo koi Professional sellers nahi the, balki company ne is ke liye Chin ke "हुआज्ञी हिंग" Gaav ko chuna, is gaav ke log Handicraft product banane me expert the, Company ne in gaav ke logo ko apne sath joda,
Ab Gaav ke log uska saaman (product) factory me dene ki bajay Tmall par dene lege, factory se jaha unhe 20% ki kamai hoti thi, to Alibaba ne inhe 40% ki Commission dene lagi,
Bade Platform se Mila bada Munafa
Alibaba ke is Unique Venture ne jaha company ko munafa dilaya, vahi dusri taraf gaav ke logo ki aamdani (income) bhi bathti chali gayi,
Company ne apni 5 Anniversary par sabhi 2000 logo ko ak shandaar party di, is party Taobao ke vistar yojana ke baare me baat ki gayi, company ne vistar kiya to in 2000 logo ke liye bhi naye mauke mile, kyu ki company ne apne expansion ke leye in logo ko hi chuna.
- expansion ke baad in logo ka munafa 4% tak bath gaya,
- Saal 2012 ke baad Taobao ne Product ki Range 40% tak bathaya,
- expansion ke baad bani company ne in 2000 logo ko Shareholder banaya,
China Single's day Me Beeke 336 crore products
China 2011 me China Single Day name se ak deen ka Skim Launch kiya gaya, is ak deen me hi Taobao.com and Tmall.com ne sirf 8 minute me hi 1.5 crore dollar yani ki karib 100 crore rupay ka products becha,
China Single Day; ko E-Commerce Fields me sabse bada deen mana gaya, jo America ke Cybermonday se bhi jyada tha,
Is ak deen se ak seller ne karib 80 Lakh rupay ki kamai ki thi, aaj is company se jude har sellers ki kamai crore me pahuch chuki hai, to dusri taraf company ki net-worth 1.85 Lakh Crore ke paar kar chuki hai,
Aap kaise Utha sakte hai iska fayada? Unique Idea me Lagaye paisa.
E-Commerce website se India me paise kaise kamaye jate hai
India me bhi kai E-Commerce companies ke Hajaro seller hai, jo kamai kar rahe hai, lekin Taobao se kamai apne aap me ak bada exaple hai,
- Aap agar seller banke kamai karna chahte ho to kus alag hat-kar product chune,
- Businessman bankar nahi soche, balki aapko jis chij me maharath hasil hai yuse digital platform par laye,
- Man lijiye ki aap ak arche painter hai, to apni paintings is platform par laye.
Aapko jankar hairani hogi ki india ke bade e-comerce website par ak-ak paintings lakho rupay me bikti hai,
Hi friends is post se aapko kus sahi jankari mili ho ya to aapko pasand aayi ho to like, comment and share jarur kare, our apne friends ko bhi invite kare,-sanju dangar
Also Read::
This comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDeleteThe most notable feature about this blog is how it does not fail to keep its audience engaged at every point.
ReplyDeleteOMC cobra parts
thank you john sun
DeleteAwesome article thanks for sharing this usefull information
ReplyDeletebahut he badiya post share ki hai apne.
ReplyDelete