Hindi Love Tips: Security Tips

Hot

Showing posts with label Security Tips. Show all posts
Showing posts with label Security Tips. Show all posts

May 09, 2025

6 Android Apps Na Kare Install Net Data Lose and battery Life Risky-Security Tips

5/09/2025 4
Very bad 6 android app
Aaj ke Samay me Har Kaam Ke Liye Apps Ki Jarurat padti hai, Ak baat saaf hai ki Apps ne hamara bahut se sara kaam Aasan Kar diya Hai, or iski vajah se Life Bhi Aasan Ho Gayi hai, koi bhi kaam 1click se ho jata hai, Chahe Aap Phone par Game khel kar Ghanto bitana Chahte ho, ya duniya ke kisi Kone me baithe insan ke shath Video Calling karna Cahate ho, Sabhi apps ke jariye Aasan hota hai, par inme se kus Apps aise bhi hoti hai jo aapko pareshani me dal sakti hai,

par kya aapko pata hai, kus apps aise hi jo sirf usi ke fayde ke liye user ko muskeli me dalte hai, or ye apps kafi popular bhi ho jati hai, or ye apps user ki help karne ka daava karti hai but aisa kus hota nahi balki user ki battery life or Data jaldi khatam karti hai, aise Apps ki internet par koi kami nahi hai, bahut sari apps hai, or sirf usi ke fayde ke liye banai gayi hai, Aapko ak baat bata du smartphone par aisi apps ko install karte hai to uske baad apps par bahut sari advertise aati hai, or company app developer ko paise deti hai, ads par jitani click hoti hai usi ke hisab se apps ko paise milate hai, aise apps Lakho-Crore kamati hai or badle me hamara data chori ya jaldi khatam ho jata hai, and battery Discharge bhi jaldi ho jati hai,

To aaiye friends baat karte hai aise hi kus 6 Android Apps ke baare me jo daava to karti hai aapki help karne ka, par asal me aapki pareshani or bhi badhate hai, is se hame fayde to kus nahi milta, balki hame musibat me dalate hai,

(1)- Clean It: Android App

Aap ye soch rahe honge ki ye App ko Uninstall karne ki hame kyu salah de ja rahi hai, jab ki ye to phone ki Cash Clear karke phone ki speed badhane ka dava karti hai,

Aapko bata du ki Darasal, Phone ki cash clear baar-baar karne se mobile phone Slow ho jata hai, App ko Kaam karne ke liye ise Rebuild hona padta hai, Is Process me battery jyada kharch hoti hai, ye Mitch hai ki Running app ko Clear (stop) karne se battery save hoti hai, Agar App bhi Aisa karte ho to abhi ye karna band kar dijiye, And Clean It App ko uninstall kar dijiye, ise me aapki bhalai hai,

(2)-Music Player

Apne Name ke mutabik ye App users ko apne phone ki play list me, Store audio Play karne ki suvidha deta hai, App ko Use karte time isme kai Popup-Ads Aati hai, jyada chinta ki baat ye hai ki ye App user ka Data Uses karte hai, or Battery bhi jaldi khatem hoti hai, jo user is app ko use kar rahe hai inki kafi Complain hai ki, ise use karne se net data jaldi khatam ho raha hai, shath hi battery bhi jaldi khatm ho jati hai,

(3)- Du Battery Saver Fast Charge

Archa hoga ki aap Ye popular Battery Saving App ko install na kare, App ke Name me Fast Charge to hai, lekin ye Fast Charge Support nahi karti hai, isme kafi jyada Ads bhi aate hai, aapke phone me use hone vale all most har app me ye apne Ads Sponsor karta hai, is se Na Sirf Battery khatm hoti hai, balki net data bhi jaldi khatam ho jata hai, aise me app ko turant uninstall karna sahi hoga,

(4)- Dolphin Web Browser

Developer dvara Claim kiya jata hai ki ye App Ads Free hai Or Flesh Supporting App hai, Jabki ager app ye app download kar rahe hai to aisa apne Risk par hi kare. Darasal hota ye hai ki is Browser par ager aap INCOGNITO mode me kus bhi dekhte ho to ye us file ko Aapke phone me save kar deta hai,

(5)- QuickPic

QuickPic Photo Gallery app hai, ye use karne me aasan or user Friendly app hai, AndroidPit website ne ise 2015 ke best apps me se AK (1) bataya hai, ye app photo Lunching me help karne ke shath hi isme Private photos ko bhi hide kiya ja sakta hai,

Last Years me Ise Cheetah Mobile ne Lunch kiya tha, Company ne Users Ke Data ko Apne Sever par Uploads karna Saru kar diya hai, to aise me users ke Private photos and Personal data Lick hone ka Khatara Badh gaya hai, agar aap bhi is app ka istemal kar rahe hai to yuse turant Uninstall kar de.

(6)- ES File Explorer.

Is App ke two Version play store par available hai, ak Paid hai or dusra free hai, free version ke shath aapke phone me kai bloatware and Adware download ho jate hai, ye phone ke data ke shath hi phone ki memory bhi अोँक्यूपाई karte hai, iska dusra sabse bada Drawback ye hai ki ye app download karne par kai Additional app bhi download karne padte hai, is me jo Popup-baar hai yuse Disable bhi nahi kiya ja sakta hai,

Also Read:

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein. Ager aapke paas aise koi or bhi app hai jo aapke battery life and Net Data jaldi khatm ho jane ki vajah banti hai to hame comment karke bataiye, or koi question ho to bhi aap bataiye. And thanks to visit site.
Read More

March 25, 2019

Apna Bank Account Safe Kaise Rakhe, Safety Tips In Hindi

3/25/2019 0

Cyber Criminals Attack Se Bank Account Safe kaise rakhe- Security Tips

Aaj Se 47 Years pahle 2 September 1969 ko pahli baar ATM Machine general Public Ke istemal ke liye Lagai gayi thi, Is Service Ko "Chemical Bank In Rockville Center, New York. Ne Sharu Kiya tha,

Beete salo ke dauran ATM ka safar Lagbhag Sabhi Country me pahuch chuka hai, Ab To lagbhag har Kilometer par ATM dikh jate hai, vaise ATM banne ki story kafi Dil-chasp hai, Aaj ki post me aapko aise hi kus rochak baate batane ja rahi hu, par is se pahle kus ATM Security tips ke baare me baat karte hai, kyu ki ATM ke liye very impotent hai, isliye ye jankari aapke paas honi bahut jaruri hai,
ATM  Full Information, Bank Account Safety in Hindi
ATM Security Tips, ATM Ke Baare Me Full Information Hindi Me,
Friends Kya aap Ye jante hai ki ATM Se paise nikalne ke baad Slip ko vahi ke Dustbin me fek dena kitana Danger ho sakta hai, nahi na? Jaanoge to dusri baar aise galati aap kabhi nahi karege.

Agar aap bhi aisa karte hai to ye post aapke liye bahut kaam ki hai, Jab bhi Aap ATM se paise nikalne jaate hai to vaha aapko bahut se log Cash nikalne ke baad Slip fadkar ya modkar vaha mojud Dustbin me fekte hua dikh jayege, Lekin Ye Laparvahi bhari bhi pad sakti hai,

ATM Slip Dustbin Me Fekna-Dangers.

Kyo Nahi Fekna Chahiye ATM Slip?

(1)- Aapko Lagta hoga ki (Slips) Rasido ko fadne ke baad aapka paisa Safe hai, to aap galat soch rahe ho, ATM Slip ke tukdo ko Hackers Decode karke aapke bank account me सेंध laga sakta hai,

(2)- Cyber Criminals Aapke Bank Account se Aapke Paise Chura sakte hai, Aise Me Apni Transactions Lagatar Check karte rahiye, OR Slip ko sambhal kar rakhe,

(3)- Yadi Bank ne Account me Update karne me koi galati ki hai, to in slip ki help se aap ise sudhrva sakte ho, isliye ATM Rasid ko hamesha apne paas hi rakhe,

(4)- ATM Machine Software par work karta hai, aise me, galatiya hone ki Aashanka hamesha bani raheti hai, Aapki ATM Slip Hi Aapke Transaction ka saboot hoti hai,

ATM Ke Baare Me 15 Rochak baate, Jo Aaj Tak Suni Na Ho,

(1)- Kaise Bana ATM?
ATM Ko Scotland Ke "John Shepherd-Barron" ne banaya tha, 1965 Me ak deen Barron paise nikalne bank 1 minute late pahuche, or bank band ho gayi, uske baad John ne socha ki kyo na ak aisi Machine banai jaaye, jis se 24 hours paise nikala ja sake.

(2)- Fist ATM:
ATM ko Automated Teller Machine kahte hai, Cash nikalne vala pahla ATM 27 June 1967 ko London ke "Barclays Bank" me lagaya gaya tha,

(3)- Pin Ki Story:
John Shepherd-Barron ATM Ki Pin Number 6 Digit rakhna Chahta the, Lekin Uski Wife Caroline ko 6 Digit yaad nahi rahte the, isliye Pin 4 Digit ka tai kiya,

(4)- India me Fist ATM:
India me paheli baar ATM ki Service 1987 me sharu ki gayi thi, Hongkong and Shanghai Banking Corporation (HSBC) ne Machine ko mumbai me lagaya tha,

(5)- ATM Se Gold
ATM machine se sirf Cash hi nahi balki gold bhi nikalta hai, Pahli Gold-Plat nikalne vali Machine "Abu-Dhabi ke Emirates Palace hotel" ki lobi me lagai gayi thi, is me se 320 tarah ke gold Item nikal sakte the,

 (6)- तैरने वाला ATM
तैरने वाला ATM pahla ATM Kerala ke kochi me lagaya tha, ye Machine "Stat Bank Of India" ne ज्ञंकार me lagai thi, iski Owner Kerala Shipping and Inland Navigation Corporation (KSINC) Company thi,

(7)- Bina Bank Account ATM:
Europe ki Coutry Romania me bina bank account ke bhi ATM ka istemal kiya ja sakta hai, Lekin india samet kai country me is tarah ki facility nahi hai.

(8)- Bio-metric ATM:
Brazil Me Banking Transaction OR Password ko jyada Safe Banane ke liye  biometric ATM ka istemal kiya jata hai, ATM par users ko fist Finger Scan karna padta hai,

(9)- ATM Ke Name:
ATM ko Kai Alag name se jaana jata hai, UK OR New Zealand me 'Cash-Point' ya 'Cash Machine' kahte hai, vahi Canada OR Australia me ise 'Money Machine' kahte hai,

(10)- Card khane Vale ATM:
1968 Me barclays bank me lagaye gaye ATM Se paise nikal ne ke liye Card ka use hota tha, ye card bank se lena padta tha, Lekin Card Machine ke andar hi rah jata tha, or har baar new card lena padta tha,

(11)- 4 Digit ke Combinations ATM:
4 Digit Ke Pin ke 0 Se 9 ke bich 10,000 Sambhav or Valid password ka Combinations mojud hai, inme sabse Common 1234, 1111 OR 0000 hai, vahi sabse kak use hone vala password 8068 hai,

(12)- ATM Chori Ho To:
Yadi koi paisa chori karne se irade se puri ATM Machine ko udhake le jaye, to ise lekar jyada door nahi ja sakta hai, darAsal, is Machine me ak chip install hai, jise GPS se track kiya ja sakta hai,

(13)- ATM Me Ink (इंक):
ATM Ke Andar Jis jagah par Note rahte hai, vaha par ak blue ink vali bottle rahti hai, yadi koi jabardasti note nikalne ki koshis karta hai ya feer machine todne ki koshis karta hai to ye ink note par fail jati hai,

(14)- Sabse Ucha ATM:
Wold ka sabse ucha ATM Nathu-La me hai, iski uchai कुपूप  se 14,300 feet hai, ise "Union Bank OF India" Operate karti hai, ye india-china border par mojud Army ke liye hai,

(15)- India me Birth ATM Inventor:
John Shepherd-Barron ka janm 23 June 1925 ko india ke Shillong (Meghalaya) me huaa tha, unke Father Wilfred Shepherd-Barron Chittagong Port Commissioners ke chief engineer the,


Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.

Read More

Chori Ho Chuke Phone Me Kaise Delete Kare WhatsApp Account

3/25/2019 0

Chori Ho Chuke Phone Me Kaise Delete Kare Whats App Account-Save Personal Data

Whatsapp account

Jara Sochiye agar aapka phone chori ho jaye ya fir kho gaya ho to whats app account aapke liye Badi mussibat ban sakate he?, ye to aap sab janate hi ho, apana smart phone chori hone par kaise kariye whats app account deactivate  aaiye aaj ham baat karte he.. Aapka Mobile phone Kho jane ki position me ak E-mail karana hoga, jo whats app ke support departments ko jayega, uske baad vo aapka whats app account deactivate  kar denga, iske liye aapko Support@whatsapp.com par ak mail bhejana hoga,

Whats App Mail Me Kya Likhe?

Whats app ko mail karane ke liye fist mail id likhe, Subject me Lost/Stolen:Please Deactivate My Account Likhe, or iske aage apna contact number likhe, (international format me likhe, +91xyz)
Whatsapp account deactivate screenshot
Is mail ko send karane ke baad 1-month tak account band (deactivate) hone ka intejaar kare, incase aapka mobile mile jaye to aapna whats app account jari rakh sakate ho, or login kare, varana aapka whats app account hamesha ke liye band ho jayega,

Whats Account Delete kaise kare,


Ab baat he aapke pass mobile  hone ke bavjud bhi aap whats app account delete karana chahte ho to sabase pahele aap Mobile ki setting me jaye, (application manager)yaha par Apps ke option me jakar whats app select kare, jab aap use open karte hai, to whats app ki sabhi details mojud hoti hai, yaha aap clear data ke option par jaye, or whats app se judi sabhi detail mita de,

Iske alava bhi ak rasta hai,
Aap apane whats app par jaye, vaha se setting pe jaye, vaha se aage jakar aapko setting ka option milega, jisme Delete My Account likha hoga, yaha par aap conform karake apana account delete kar sakate ho,
Whatsapp account deactivate screenshot

Ak Hi Mobile Par Dusre Number par Whatsapp kaise Chalaye,

Agar aap dusre number par bhi whatsapp chalana chahte ho to chala sakate ho,
Iske liye upar batai gayi same possess hai, sirf aapko "cheng Number" par click karana hoga, fir apana new number add kare jis number se aap whatsapp chalana chahate ho vahi, baad me confirmation Cod dalakar apana new whatsapp account chalu kar de.

Sort Time Ke Liye Whatsapp Account Deactivate Kaise kare?


Whatsapp account disable karane ke liye aap apana Whatsapp account ki setting me jaye vaha whatsapp likha hoga vaha jakar aap Disable Remove Update option milega, use follow karake apna account sort time ke liye deactivate kar sakate ho,

Whatsapp me milega Twitter or Facebook jaisa Features,

Worlds ke most popular me se ak messages app whatsapp ak new feature add karane ja rahe ho, jo facebook or Twitter messages me diye jate features jaisa hi he, Haal hi me to sirf Beta Version App me Cot Reply ka option diya gaya hai,

Rapport ki baat mane to company mention feature ka testing kar rahi hai, yani ki aap kisi chet karate vakht kisi user ko bulana chahate ho to aap 'mention' ke jariye tag kar sakte ho, Ye feature aise hi kaam karega jaise facebook or twitter me "@" Lagakar logo ko tag karate hai, iske alava  ye feature ki help se kisi user ko group me jodane ka kaam bhi aasani se hoga, iske liye whatsapp ki taraf se ak link generate hogi, jise send karake aap apne whatsapp group me invite kar sakte ho,

Twitter par @WABetainfo name ko is hendal se kus screenshot twitte kiya gaya he, isme ye dekha ja sakata he ki kaise logo ko "@" Lagakar tag kiya ja raha hai,
Khabar hai ki whatsapp ke is feature ko filhaal Whatsapp ke iso beta version me diya ja raha he, Dusre screenshot me link dikhai gayi hai, jis se apne dosto ko bhejakar apane group me invite kar sakate ho, filhaal to ye saaf nahi he ki ye feature aam logo ke liye kab diya jayega, par jankari milane par aapko jarur share karungi,

Note : Whatsapp features ki is post se aapko kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.
Read More

Kaise Hack Ho Jaata Hai Bank Account Smartphone Ki Vajah Se

3/25/2019 2

SmartPhone Ki Ak Galti Se Hack Ho Sakta Hai Aapka Bank Account. Banking Safety Tips -10 Alerts


Banking Safety Tips -10 Alerts

Bank Account Safe Kaise Rakhe Ak Galti Se Hack Ho Sakta Hai Bank Account.

Kai baar Aisa Hota Hai ki Friends Ham, Jaldi Kaam Pura Karne Ke Chakkar me, yuse Pura Karne Ka Aasan Tarika Dhundhte hai, Lekin Hame Ak baat Ka Andaaja Nahi hota hai ki Ak deen hame aise baato ki Aadat ho jayegi, Dhire-Dhire Vo Aadat Hamare Bank account ya to koi our chij ke liye problem khadi kar Sakti hai, 'Technology ke is Wold' me bhi Kus aisa hi hota hai, Aapki Kai bad Habits aapke Personal Data And Gagged ko Bada Nukshan Pahucha Sakta hai, friends to aaj me aise hi kus 10 Habit ke baare me baat karne ja rahi hu, jo har smartphone user ko bade kaam aa sakti hai, our to our ye Habit aksar log karte rahte hai, to vo Aadte kya hai? Kaise us se bacha ja sakta hai?, to chale iske baare me full details me baat karte hai,

(1)-Mobile Banking Karte Time Useful Tips:

Password Yaad Rakhne ki Zanzat se Bachne ke liye ham Aksar Mobile Banking karte samay apna Name ya Kus Aasan Sa password rakh dete hai, Banking App ke liye Ye Dangers bhi sabit ho sakta hai, aske alava bhi, Aap banking app ko use karne ke baad Log-out nahi karte hai, to Web-browsing karte time us par Malware attack ho sakta hai,

Kaise Bache-Agar Kisi Hackers ko Aapke Ak password ka pata chal gaya to vo aapki puri Digital Life ka pata laga sakta hai, Hackers ki najar sabse jyada Bank Account par hoti hai, isliye Banking App use karne ke baad Yuse  Log-Out karna na bhule. Agar Aapko Alag-Alag Password banane me mushkil hoti hai to aap kis Password Management jaise ki Lastpass ya Dashlane ka istemal kare,

(2) 2-Step Verification Na Rakhna.

Kus time pahle Heartbleed bug Samne Aaya tha, jis se Protected Information Churai ja sakti thi, Aaj ke samay me jaha Hacking Aasan ho gayi hai, vahi protection ke liye Gmail and Drop-box  jaise services ne 2-Step Verification Process rakha hai, aise me Aasan Log-in ke liye Agar Aap Password Protection ko use nahi kar rahe ho to ye aapki sabse badi bhul hogi,
Measures to prevent hackers


Kaise Bache- 2-Step Verification enable karne se aapke Account me Security ka ak Laval our badh jata hai,

2-Step Verification Kaise Kare Activate?

Sabse Pahle Apna Gmail Account Log-in kare, uske baad Top Right Side me Profile icon par click karke My Account par jaye, iske baad Sign-in Security option par click kare, Scroll karke niche jaye, our 2-step verification ko ON kar de,

(3)-Computer/Laptop/Smartphone Restart Na Karna.

Ye Sahi hai ki Computer ya laptop ko Stand-by ya Sleep mode par rakhne se inme koi kharabi nahi aayegi, Lekin Long time tak ye jari rakhne se System Slow ho jayega,
Banking Safety Tips -10 Alerts
Kaise Bache- System Restart karne se Background me chal rahe process our Software band ho jayega, Weekly Kam-se-kam ye process 2-baar jarur kare, aapka device kabhi Slow nahi hoga,

(4)- Kabhi Password Change Na Karna.

Jis Tarah Ak Hi Password ko Har Account me Nahi rakhna chahiye ise taraha ak hi password ko Long time tak rakhna vo hamare liye khatra ban sakta

Kaise Bache- Microsoft ke anusaar 30 se 90 Day ke bich me apna password ko change kar dena chahiye, aisa karke aap apna data chori ya Lick hone se bacha sakte ho, ak hi tarah ka password baar-baar type karne se password lick hone ki sambhavna badh jati hai,

(5)- Sone se Pahle Phone Notification Check karna.

Nind (sleep) ko nukshan pahuchane our aankho ki Roshani kamjor karne me sabse bada hath Artificial Light hota hai, Smartphone ya tablet ko Sone Se pahle lagatar dekhne se Memory Lose bhi hota hai, aise me Dhire-Dhire Jaldi bhul jana, Aankhe kamjor hona, Thakan Bani rahna, Nind Na Aane Jaise bimariya ho sakti hai,

Kaise Bache-Sone Se Kam-se-kam 30 Minute pahle apne smartphone ki sabhi Notification off kar de, our data off karde to sabse best rahega, ak baat ka khas dhayan rakhe ki sote vakht smartphone ko apne sar (head) ke pass kabhi na rakhe.

(6)- Jarurat Se Jyada Social-Media Sharing.

Apni Profile Photos me Bahut sare logo ko tag karna, jarurat se jyada, bina matlab ke #tag use karna, har vakht, har tarah ki post social-media pe share karna, ye bhi ak bahut buri Aadat hai,

Kaise bache-Aap Kya Kar Rahe ho, Kaha Ja Rahe ho, Kya Kha Rahe ho, aap kiske shath hai, ye sabhi personal information social media par kabhi na Share kare, aisa karne se kabhi aap mushibat me pad sakte ho, ye hamare liye Dangeras sabit ho sakti hai, aapke shath bada Crime bhi ho sakta hai, iske alava aap ghar par nahi hai, ye jaan kar chori jaise Vardaat bhi ho sakti hai, ye sab baate karke aapko dara nahi rahi hu, balki personally Suggest kar rahi hu, ki kus baate aise bhi hoti hai, jisko ignore nahi karni chahiye,

(7)- Photos And Music Phone se delete na karna.

Mobile phone me Old file sabse jyada memory storage karte hai, aise me phone slow ho jata hai,

Kaise Bache- Apni Gallery me Old Photos jiski jarurat na ho usko clean karne ki habits bana kar rakhni chahiye, aise hi music files ke liye bhi kare, in files ka backup online storage me bhi rakh sakte ho, memory clear karne se phone ki speed bhi badhegi,

(8)- Account Log-Out Na Karna,

Jyadatar Office Users Apne Laptop ya desktop par Account-id our password save hi rakhte hai, Log-Out na karna bhi Common hai un logo ke liye jinhe day me kai baar Log-in karna hota hai,
Banking Safety Tips -10 Alerts
Kaise Bache-aise users unki ye buri Aadat ke chalete kisi our ki system ya public system ko use karne ke baad log-out karna bhul jata hai, ye data lick hone our personal Security dono ke liye Dangers hai.

(9)- Data Ka Backup Na Lena:

Jyadatar Logo me Data Backup na leni ki Habits hoti hai, ye sach hai ki pura data online save nahi karna chahiye, Lekin Hard-Drive and Flesh-Disk me jaruri data save karna chahiye,
Banking Safety Tips -10 Alerts
Kaise Bache- Hard-Drive and Flesh-disk ya online services me kus data jarur backup me rakha ja sakta hai, Laptop chori hona ya Hard-Drive Crash hone se Aapka data puri tarah se gayab ho sakta hai,

(10)- Computer Ya Laptop ka istemal karte samay Galat Tarike se Bathna.

Ye khas tuar par unke liye hai jinko 9 se 6 tak ki desk job hoti hai,

Kaise Bache- Research ke anusar aap System par Lagatar 8 hour work karete ho to Muscular, Skeletal Bimari, Diabetes our Motape jaise kai bimariya aapko pareshan kar sakti hai, iska sabse archa ilaj hai bich-bich me break leta rahena.

ALSO READ:
Read More

Pen-Drive me Password Protection kaise use kare, -Security Tips

3/25/2019 0

Pen drive me Password Protection-Security Tips

Pen-drive me Password Protection


Pen-drive chhoti  or bahut kaam ki chij hoti hai|, Agar aapki aadat hai pen-drive me bahut se data store karake rakhane ki to ukinan uske protection baare me bhi sochate honge. Agar aap bina kisi additional software ke pen-drive me lock lagana chahate he to iske liye ak aasan tarika hai. Bitlocker Encryption ka istemaal karke Aasani se apna personal data secure rakha ja sakata he.

Kya  karana hoga ?

Step-1
Pen-drive ko computer se connect kare, Agar drive me data he to use scene karle, Iske baad right click karake Turn on Bitlocker chune.

Pen-drive me Password Protection
Step-2
Ak window khulegi or khud band ho jayegi, iske baad process start hoga. Jo nayi window khulegi usme aapko option diya jayega ki aap kaise apna drive ko lock karana chahate ho. Yaha par aap ( use a password to unlock the drive ) option ko chune.

Pen-drive me Password Protection
Step-3
Ab aap apne hissab se password chune or next button par click kare. Ab aapke samane ak window open hogi  jisme "Bitlocker Recovery key" save karane ke liye aapse pusaa jayega. Tab kaam ki sabit ho sakati he jab aap password  bhul gaye honge
Pen-drive me Password Protection
Step-4
Yaha aap "Save to file" option select kar sakate he, Iske baad computer me Location pusi jayegi, yaha aapki recovery  key save karani he. Location ko browse karane ke liye Recovery key ko save kar lijiye
Pen-drive me Password Protection
Step-5
Iske baad aapko kus is tarah ki window  dikhegi, Yaha pe next butten per click kare. Iske baad jab tak "start Encryption"  nahi aa jati aapko har baar next option par click karana hoga.
Pen-drive  Password Protection

Step-6
Encryption start hone ke baad process complete hone me thoda time lag sakata he, Ak baar process pura ho jaye to pen-drive ko disconnected kare or firse connect  kare, Aisa karne par ab pen-drive ki jagah lock dikhenga Or ye bina password open nahi honga


Also Read:

Read More

Kisi Bhi GMail Account Ke Password Ka Pata Kaise Kare?

3/25/2019 25

Kisi Ke Bhi Account Ke Password Ka Pata Kaise Lagayegmail account password find

Hi Friends, Aaj Ham Google Ka Sabse Jyada Popular Or Secure GMail Account Ki Baat Karte Hai. Vaise To Gmail Account Hack Karna Hard Hai, Kyu ki Google ne Bahut Sare Aise Bhi Features Diye Hai Jiski Vajah Se Gmail Sabse Jyada Secure hai. Jaise ki "2-Step Verification" Or Bhi Bahut sare Features Hai. But Kus Trick Se Ham Gmail Password Ka Pata Laga Sakte Hai. Gmail Ko Direct Hack Karne Ki Advice To Nahi De Sakte But Kus Easy Tarike Se Gmail Ke Password Ka Pata Laga Sakte Hai. Aur Bhi Aapke Bahut Kaam Ki Trick Hai. Agar Aap Bhi Apna Kisi Bhi Account Ke Password Bhul Gaye Ho To Aasani Se Pata Laga Sakte Ho Ki Aapne Password Kon Sa Rakha Hai.

👉Bhul Gaye Password Ka Pata Kaise Kare. Aasan Tarika.

Internet Par Online Ya Offline Work Karne Vale 90% Users Ka GMail Par Account Hota Hai, Iski Khas Vajah Hai Gmail Ki Fast Class Service And Isme Diye Gaye Kai Features. Itana Hi Nahi Gmail Har users Ko 15GB Ka Free Cloud Storage Bhi Deta Hai. Yani Gmail Account Par Apne Jaruri Documents, Photos Ya Feer Videos Save Kiye Ja Sakte Hai, Jo Jarurat Ke Time Kahi Se Bhi Open Ho Jayega. Ab Sochiye Aapko Ye Pata Chal Jaye Ki Gmail Ke Password Ko Aasani Se Creak Ya Hack Kiya Ja sakta Hai, To Aapka Reactions Kya Hoga? To Aaiye Jante Hai Gmail Account Ka Password Hack Karne Ki Trick Ke Baare Me..... 

👉How to find the password for any Gmail Account:

YouTube Par In Deeno Ak Video Viral Ho Raha Hai, Ye Video 4-January-2017 Ko Upload Kiya Gaya Tha. Jise Ab Tak Hajaro Users Dekh Chuke Hai, Is Video Me Gmail Ke Sath Dusre Account Ke Password ka Pata Lagane Ki Trick Bhi Batai gayi Hai. Itana Hi nahi, Jab Hamne Is Trick Ko Follow Kiya To Ye 100% Work Kar Rahi Hai. Password Creak Karne Ki Is Trick Me 10 Second Bhi Nahi Lage.

👉Gmail Ka Password Pata Karne Ki Trick.
NOTE: Ye Trick Sirf उस Gmail  Ya Dusre Account Par Work Karegi Jiske Password Save Hote Hai. Yani Ki Log-In ID Ke Niche Vale Box Me Password Likha Hai To Iska Pata Lagaya ja Sakta Hai. KISI KE BHI GMAIL KA PASSWORD KAISE DEKHE VIDEO.
Gmail Id Ka Password Aise Pata Kare

Step-1
जिस Gmail ID का पासवर्ड पता लगाना है, उसके अकाउंट लॉगिन Page पर जाए|
Gmail Id ka Password Aise pata kare

Step-2
यहा यूजर का पासवर्ड Save है तो वो डॉट में नजर आएगा। जैसा फ़ोटो में दिख रहा है।।
gmail ka password bhul gaya hu

Step-3
अब इस डॉट में क्या पासवर्ड छिपा है इसका पता लगाने के लिए F12 दबाइए|
gmail ka password bhul gaya hu

Step-4
या फिर पासवर्ड वाले बॉक्स पर माउस के राइट क्लिक से Inspect पर जाएं|
gmail ka password bhul gaya hu

Step-5
अब एक नई विंडो ओपन होगी, जिसमें पासवर्ड वाली लाइन हाईलाइट होगी|
gmail ka password kaise hack kare

Step-6
यहां Type="Password" में "Password" की जगह कोई दूसरे टेक्स्ट टाइप करें दे|
gmail password tricks

Step-7
आप जैसे ही इंटर की दबाएंगे, बॉक्स में लिखा पासवर्ड ओपन हो जाएगा|
gmail ka password hacking

Note :  आपको ये पोस्ट पसंद आई हो तो लाइक करें अगली पोस्ट के लिए Follow का बटन दबाए और हो सके तो whatsapp और facebook पर share भी कर दें.. हमारे सभी पोस्ट पढ़ने के लिए Logo पर क्लिक करें.... धन्यवाद...
ALSO READ:

Read More