Ye 10 Type Ke Email Par Kabhi Na Kare Click -Security Tips - Hindi Love Tips

Hot

March 23, 2019

Ye 10 Type Ke Email Par Kabhi Na Kare Click -Security Tips

Top 10 E mail Scams Avoid clicking on the mail-Security Tips

Top 10 E mail Scams
Best Security Research ke bawjud bhi Har Din Lakho Log E-mail Scammers ke jaal me Fas jaate hai, Prize jitane vale se lekar Credit card Banane ya Government ki taraf se aaya mail ka dava karne vale mail ho, Ye sabhi E-mail aapko kisi na kisi tarah Nukshan pahucha sakta hai, aise Mail se Alert rahe, in 10 tarah ke mail bhul kar bhi na Click kare,

(1)-Mail Security Check
Aisi Company ki taraf se aaya huaa mail jo aapka account ko Verify karna chahte hai, is mail me diye gaye link par click karne se pahle website ko verify kare,

(2)- Aapka Bahut Purana Friend
Aise mail ke jariye Scammers aapko yakin dilane ki koshis karta hai, ki vo aapke bahut purane dost hai, but aise E-mail se Paise magne ki Request aati hai to sabse pahle police me Report kare,

(3)-Billing Issue:
Phone Bill me Issue batane vale ye E-mail Problem Solve karne ke liye aapki Personal information magte hai, aise kisi mail par apani Personal information bhejane se pahle Telecom Operator se Contact kare,

(4)- Expiry Date
Ye E-mail Clam karte hai ki aapka koi account hai, jo expire hone vala hai, Sign-in karke apne data secure kare, aise me mail me diye gaye link par click karne ke bajay direct website par jakar sign-in kare,

(5)- Virus Infection
Kai baar aise mail aate hai, jinme kaha jata hai ki aapka "System Virus Infected" hai, yaha click karke ise thik kare, is link par click karne se System or data dono khatre me pad sakte hai,

(6)- Enaam Jitane vale mail  (prize-winning Mail)
Aapko bhi aise mail aaye hoge, jinme aapke Contest jitane or lakho ke enaam jitane ki baat kahi jati hai, aise mail ko bhul kar bhi open na kare,

(7)- Bank Notification
Aise E-mail jisme kisi tarah ke Bank Transaction ke baare me jankari di gayi ho, Banking Fraud se Bachne ke liye, is E-mail par click karne se pahle apne bank se contact kare,

(8)-Aaropi Batane Vala Mail
Ye mail Aapko aise gunaah ke Aaropi batakar aapse paise णेंढने ki koshis kar sakte hai jo aapne kiya bhi na ho, aise E-mail se savdhan rahe.

(9)-Tax
Aise mail "IRS" (internal Revenue System) aaye hua lagte hai, isme aapko winner batakar enaam jitane ki baat kahi jati hai, aapko bata du ki "IRS" aapse mail ke jariye contact nahi karega,



Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.