Sanju Dangar
5/09/2025
12
Online Banking Debit Card Number Decode-ATM Card Information
Yadi Aap Debit Card User hai to ye information Aapke liye hi hai, Jyadatar ATM Card (Debit Card) Users ko apne card ke baare me jyada jankari nahi hoti hai, Lekin Debit card ko Decode karna bada aasan hai, Card ke Dono side pe bahut sare numbers likhe hote hai, Ye numbers na keval aapke bank account ki details ke baare me batata hai, Balki Security Papers ke liye bhi bahut jaruri hote hai, Online Banking and Shopping ke time Hone vale Fraud ko rokne ke liye bhi ye numbers, bahut help karte hai, Lekin aapki jara si Laparvahi se aapke card ki details kisi dusre ke pas pahuch sakti hai, to aise position me aap Fraud ke Shikar bhi ho sakte hai,
- ऑनलाइन बैंकिंग डेबिट कार्ड नंबर क्या हैं-एटीएम कार्ड की जानकारी हिन्दी में.
- Aapke Bank Account Ki Full Details Bata Sakta hai Debit Card
- Online Banking Debit Card Ki Hindi me Puri Jankari.
- Debit Card Pe Likhe Huye Dono Side ke Number Kya hai?
To Aaj me aapko yahi batane ja rahi hu ki Aap Apne ATM Card (Debit card) ko kaise Decode kar sakte ho, to chale baat karte hai full details me.......
Kya Kahta Hai Aapka Card aapke Account ke baare me.
(1)-Debit card ke Front me 16 Digit ka number likha hota hai, Starting ke fist 6 number "Bank Identification" number hote hai, baki ke 10 Digit number Card Holder ka "Unique Account Number" hota hai,
(2)-Debit Card par bana Global Hologram aisa Security Hologram hai, jise copy karna bahut mushkil ho hai, ye Three Dimensional me hota hai,
(3)- Debit card par expiry date & Year bhi print hota hai, is date ke baad aapka card kaam karna band kar dega,
(4)-Visa/Master Card ke Symbol ka matlab hai, Card online Stores, Shopping, Restaurant me use ho sakta hai, Visa card Number-4 Se sharu hota hai, or master card number-5 se sharu hota hai,
(5)-Debit card par ak chip lagi hoti hai, ise se Transaction pura ho pata hai, card insert karne par ise chips se process aage badhti hai,
(6)-Debit card ke pise ak white color ki Streep hoti hai, jise 'Signature baar' kahte hai, Debit card Receive hote hi is par apni Signature kar de taki Fraud ka dar na rahe.
(7)- 3 Digit "Card Verification Value" (CVV) number hota hai, jo ak Security Code hai, Smartphone se ya internet se kus bhi kharidte samay is code ka use hota hai,
(8)- Debit card ke pichhe Customer Service Number hote hai, aap in numbers par se apne account ya card ke baare me inquiry kar sakte ho.
Note ::: Aapko Ye Post Kaise Lagi? Comment me hame bataye, Ya kus help mili ho, ya Pasand ayi ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.