मरने Ke Baad Social Media Account Ka Kya Hota Hai - Hindi Love Tips

Hot

March 23, 2019

मरने Ke Baad Social Media Account Ka Kya Hota Hai

What happens after death your Facebook, Google Gmail, Twitter account,

Social Media Ka Use Karne Vale Users ki संख्या Lagatar Badh Rahi Hai, Users Apne Photos, Videos, Important Information Or Business Connection, Online Profiles me Save Rakhte Hai, Digital Signature Se Lekar Bank Account Details Email Me Save Rahte hai, Sath Hi, Moj-Masti Or Private Moments ki Photos and Videos bhi Facebook Par dalte hai, Jaruri Connection and Business Profile ke Liye Linkedln hai, Vahi Tweets karne Ke Liye Twitter, Par Kya Aap Jante hai ki Hamari Mot (death) ke baad In Sab Account Ka Kya Hota Hai, Shayad Aapne Kabhi Socha Hi Hoga Ki In Sab Social Media Account Hamari mot ke baad kya Hota Hai? Kon Chalata Hai? kya Deactivate Ho Jaata Hai? in Sabhi Sawalo Ka Jawab Dene Ke Liye Aaj Ki Post write kar Rahi Hu,

Kya Kabhi Aapne Socha Hai Ki Marne Ke baad Aapki Social Media Profile Ka Kya Hota Hai? Usme Save Ki Hui Information, Photos, Videos Or Other Files ko Aakhir Koi Access Kar Sakta Hai Ya Nahi? Ya Feer kis Tarah Se Account ko Delete kiya Ja Sakta Hai?

Death Ke Baad Aapke Social Media Account Ka Kya Hoga?

What happens after death your account

Facebook

Facebook Aapke Marne Ke Baad Aapke Kisi Bhi Rishtedar ko Account ka Access Nahi Deti Hai, Iski Jagah Aapke Chahne Vale Facebook Se Aapke Account ko Memorialized Karne Ki Request Kar Sakte Hai, yani Kisi Bhi Haal me Aapke Account me Koi bhi Log-in Nahi Kar Sakta. Sath Hi, Account Se Kisi Bhi tarah ki Koi Chhed-Chhad bhi Mahi Kar Sakta hai. Kisi bhi Vyakti ki Mot ke baad Uske Name ko People You May Know Ya Suggesting Friends Ki List Me Nahi dikhaya Jaata. (Facebook Account Ka kya hoga marne ke baad)

Google

Gmail Or Google+ jaisi Service dene vali Company Google "Inactive Account Manager" Name Ka Tool deti hai, Iski Help Se Aap yah manage kar sakte hai ki Aapki death ke baad Aapke Account ka kya ho. Yaha Aap Ak Time Limit (6 Month ya 12 Month) tay kar Sakte ho, Jiske Baad Aapke Account ke sara data Automatically Delete kar diya jayega, iske Alava aap kisi vyakti ko Nominate bhi kar sakte hai jise Aapke Sabhi Mail milte rahege, (google settings account inactive)

Twitter

Kisi Vyakti ki Death ke baad Agar Us Se Juda koi Vyakti Twitter ko iski information deta hai to Twitter Us Account ko Deactivate kar deta hai. halaki, iske liye Death Certificates ki Jarurat hoti Hai, Kyo ki kai users twitter Apne Original Name se Nahi hote hai, Sath hi, Marne vale vyakti se judi kus Or Jankariya bhi Magte hai, Jaankari dene ke 30 day baad twitter us Account ko hamesha ke liye Deactivate kar deta hai, (support twitter articles)

2 comments:

  1. Amazing blog! Do you have any helpful hints for aspiring writers?
    I'm planning to start my own site soon but I'm a little lost
    on everything. Would you propose starting with a free platform
    like Wordpress or go for a paid option? There are so many options out there that
    I'm totally confused .. Any recommendations? Appreciate it!

    ReplyDelete
    Replies
    1. thank you bro, but aap kabhi bhi comment kare to apna name jarur add kare. writers ke liye koi helpful hint mahi dena chahuga, kyu ki me bhi itna bhi achha writer nahi hu. agar aap new blog start karna chahte hai to sabse pahle jaruri ye hai ki aapko pata hona chahiye ki aap kis topic pe article write karege, and is topic pe aap maximum kitne article write kar payege? aap starting me free hi use kare, sab yahi karte hai, baad me success hone ke baad paid hosting le ke transfer kar dena. is baare me jyada sochne ki koi jarurat nahi hai aur nahi koi confusion.

      Delete