Hindi Love Tips: Small Business Plan

Hot

Showing posts with label Small Business Plan. Show all posts
Showing posts with label Small Business Plan. Show all posts

March 25, 2019

Business Karne ke 9 Best Ideas-Government Loan Ke Sath

3/25/2019 0
Jyadatar youngster Startup or business ki taraf ja rahe hai, Chhoti si rakam me kai startup sharu kiye ja sakte hai, government bhi bahut sare startup ke liye Loan de rahi hai, abhi thode time pahle hi "Small industry Day" manaya gaya, to aaj me aapko aise hi kus business or startup ke baare me batane ja raha hu, inme se kai business or startup ke liye government loan de rahi hai, or khas baat ye hai ki is business me aapko jyada invest bhi nahi karna hota hai, bas chhota sa invest karke aap abhi sharu kar sakte hai ye 9 business, to chale friends baat karte hai, kya hai business plan? Kaise Star kare business? Or 9 best business ideas ke baare me...


Business Karne ke 9 Best Ideas-Government Loan Ke Sath

best business ideas
(1)- Party Management Business:
Party Management Business ko aap Chhota sa invest me start kar sakte ho, Iske liye aapke paas ak chhota sa office hi kafi hai, aisa isliye hai ki yah business contact par Depends karta hai, iske liye aapko Banquet Hall, Hotel, Restaurant se jude logo ke sath contact develop karna hoga, sath hi customer ko bhi apne baare me batana hoga, jiske liye social media ko major source bana sakte ho, Ye business starting me ghar se bhi kar sakte ho.

(2)-Readymade Garment Business:


Readymade Garment ke Business me bahut Scope hai, Agar aapke paas 80,000 rupay hai to aap baki paisa Mudra scheme se Loan ke chalte mil sakta hai, is Scheme Me 1 Lakh 10 hajar rupay 'Term Loan' or 2 Lakh 25 Hajar rupay Working Capital Loan ke taur par mil sakta hai,

Is se Aap 6 Machines, 6 motor or ak Overlook machine le sakte ho, iske alava working tables, cutting tables, fiber stool, steel cupboards, steel rake, iron box par  lagbhag 50 thousand rupees kharch hoge, Business sat hone ke baad aapko yearly lag-bhag 5 lakh rupay se jyada profit hoga,

(3)-Food Service Business:

Ready-to-eat or 'fast food' ki badhti demand ne ​​'mobile food service' ke field me bhi businesses ki sambhavna badha dee hai, Tasty food-on-demand ki vajah se 'van food service' bhi ak bahetarin business ideas me se ak hai, Jise aap Chalti-Firti food service yani mobile van ke jariye jarurat mand ko uplabdh kara sakte hai,

(4)-Packers and movers business:

metros city me jobs karne vale ak jagah se dusri jagah or ak city se dusri city apne saaman ko job change hone par ya transferred hone par le jate hai, aise me log ghar ka saaman khud se packed karne ki bajay is kaam ke liye paise dene ko taiyar rahte hai, aise me Packers and movers ka business bhi ak बेहतरीन business hai, iske liye aapke paas vishesh taur par Labour Skilld ki jarurat hogi,

(5)- Bakery's business:

Is business ke liye aapke paas 85 hajar rupay hona chahiye, baki rakam Mudra Schemes se mil jayegi, schemes se lagbhag 2 Lakh 95 hajar rupay ka term loan or ak 1 Lakh 50 hajar rupay ka working capital Loan le sakte hai, is se kisi bhi city me Bakery Products banane ka kaam sharu kar sakte hai, business me aap apna sara kharch nikal kar lagbhag 4 lakh rupay yearly kama sakte ho,

(6)-Beauty salons, (Parlour) business:

Is business ko koi mahila 60,000 rupay me sharu kar sakti hai, business sharu karne ke liye mudra scheme se 1 Lakh 85 hajar term loan or 54,000 rupay working capital loan mil sakta hai, is tarah aap 3 Lakh rupay me apna beauty Parlour start kar sakte ho, is business se 3 Lakh 30,000 rupay tak yearly kamai ki ja sakti hai,

(7)-Sanitary, napkins Business:

 Aapke paas 15,000 rupay hai, to aap sanitary, napkins banane ki unit sharu kar sakte ho, is project par aapka Lagbhag 1 Lakh 50,000 rupay ka investment hoga, jisme 1 Lakh 35 hajar rupay aapko Mudra Schemes ke tahat Loan mil jayega, mudra schemes se tahat Fixed capital loan ke roop me 73,000 rupay or working capital loan ke taur par 57,000 rupay ke loan ke liye apply kar sakte ho, is business me sabhi kharch nikalkar saal ke 1 Lakh 80,000 rupay bacha sakte ho,

(8)-Video Conference Facility:

bahut sare small businessmen ke paas "Video Conferencing" or board room ki Facility aam taur par nahi hoti hai, aise me board room or video Conference service provide ka business sharu kar sakte ho, iske tahat aapke pass chhota office space or video Conferencing se jude इक्वीपमेंट्स hona chahiye, jinke jariye yah service Rental Basis par start kar sakte hai,

(9)-Used car dealership:


Cars ki badhati hui mang ne aaj kal used car ki demand badha di hai, aise me aap purani cars (used car) ka business sharu kar sakte ho, used cars ki badhti hui mang ko dekhte hua Maruti, Hyundai and Mahindra jaise companies प्रीओंड car ka business karti hai, in companies ka dealership lekar aap used car ka business sharu kar sakte ho, iske liye aapko ak office space ki jarurat padti hai,

Friends kaisa laga aapko ye business ideas, inme se aapko apne sahuliyat ke mutabe aap koi bhi business sharu kar sakto ho, or koi sawal ho aapke man me to comment me muje bataiye, or post aapko pasand aayi ho to share & like jarur kare, ye business idea apne friends ke shath share jarur kare, aapki chhoti se help se kisi ki life bhi ban sakti hai,

Also Read::





Read More

Free Money Making 5 Business Start Your in 7 Day

3/25/2019 4
Free Money Making Business Ideas

7 दीन मे घर बैठे शुरू कर सकते हो ये 5 Business

Bahut sare log apni आमदनी (income) बढ़ाने ke liye naya कारोबार(business) शुरू करना chahte hai, par time or paise ki kami ki vajah se vo pichhe hat jate hai, Halaki, apna kaam sharu karne ke liye har baar jyada vakt (time) or paise jaruri nahi hota, agar aapke paas Smart Idea hai to aap 7 deen me apne business ke shath paise kamane ki sharuaat kar sakte ho, to aaj, me aapko aise hi 5 business ke baare me batane ja rahi hu, jinhe aap sirf 7 day me start karke best income hasil kar sakte ho, to chale friends baat karte hai vo 5 business ke baare me......


(1)- Stocks Trending: 


Agar aap Stocks Trending karna chahte ho to aapko "Demat Account" khulvana hoga, aam-taur par account 7 working day me khul jata hai, aap 7 deen ke baad market me निवेश sharu kar sakte ho,
  • In 7 deen ka istemaal aap market ki basic jaankari hasil karne ke liye kar sakte ho,
  • Jis Broking House se aap "Demat Account" khulva rahe ho vo bhi aapko "Stocks Market" ke baare me free me Jaankari de sakta hai,
Market me shruaat me behad chhoti rakam ke shath निवेश Sharu kar sakte ho, Chhoti rakam se aapko kam jokhim ke shath market ko samaj ne me help milegi,

कारोबार बढ़ने par aap khud ko ak success trader ke roop me स्थापित kar sakte ho, ya fir Sub-broking ke liye bhi apply kar sakte ho,

Mahenat ke shath aap bhi Warren Buffett (वॉरेन बफे) or Rakesh Jhunjhunwala ki tarah success ban sakte ho,


(2)-Online Tutor Jobs


Agar aap kisi subject me Expert hai or apne samne vale ko archi tarah se samja sakte ho, to Aap "E-Tutor" ka kaam sharu kar sakte ho,

Hamari country me bhi kai aise website mojud hai jo aapko E-Tutor banne me help kar sakti hai, yaha aap puri jaankari de sakte ho, Verification ke baad site aapki profile banakar apni site par add kar deti hai, jaha par Students aap se contact kar sakte hai, Process me 7 working day tak lag sakta hai,

Internet market me Fraud website ki bhi kami nahi hai, isliye aise site se bach ke rahiye, aapko apne level par kus research karni hogi taki fraud ke shikar na bane,

Me aapko personally suggest karunga ki aap www.tutorvista.com, our
www.2tion.net trai kar sakte ho, or chaho to or bhi site par trai kar sakte ho.

Online Tutor (E-Tutor) ke baare me maine aapko aage bhi bata diya hai, fir bhi aap iske baare me jaankari hasil karna chahte ho to ye post padhe, (Online Earning Ke Top 10 Idea)

 Live Online Tuition Teacher ki seva dene vali website Vedantu ka daava hai ki Tutor agar unke shath har deen 4 ghante judte hai, to vo 42000rs./month tak kama sakta hai, site isme se service or support ke liye ak Fees leti hai,

Online Tuition (tutor) teacher me success hone par aap apni site bhi khol sakte hai, ya youtube ke jariye bhi kamai kar sakte hai,


(3)-Handyman Services 


Handyman service aise hoti hai jo ghar ke Maintenance ya ghar ke chhote-mote Contraction se jude kaam karti hai,
Agar aap apni Handyman service kholana chahte ho, to aapko badhai, mistry, Plumber, Electrician ki jaankari rakhani hogi,

Aapko apne level par inka verification karna hoga, jis se customer aapki service par bharosa kar sake,

Aap apni ak personal website kholakar ya market ke sadharan (normal) tariko se apne service ki jaankari kisi khas  इलाके या feer पुरे शहेर मे faila sakte ho,

Aap apni taraf se service ko bahetar banane ke liye kai Innovative kadam udha sakte ho,
"Service Provider" कारीगरो को Customer ke shath jodta hai, or badle me vo unki fees se chhota hissa apne paas rakhta hai,

Ye service hamari country me new nahi hai, kafi purani hai, Lekin Unorganized Sector hone ki vajah se "Professional Service Provider" ki Mang kafi hai,

Aapko mistry, Plumber, Electrician ke Name or address apne इलाके ki Hardware ya Electrician ki dukan se mil jayege, ye log kaam ki talash me inke contact me rahte hai,

Name or Address Collect karne, छांटने or Add dene ke liye 7 day kafi hai, to abhi Sharu kijiye Chhoti si Handyman service or लक्ष्य rakhiye badi Service provider company स्थापित karne का॥


(4)-Finance Consultant 


Agar aap investment se judi salah dene me mahir (expert) hai, to aap is business sharu kar sakte ho,

प्रमुख बैंक or LIC apne Financial Product ko bechne ke liye Agent ki नियुक्ति करते rahte हे,

Aap kisi bhi industry (सस्था) se judkar ak week se bhi kam ki traning ke sath market me utar sakte ho,

Samay ke sath aap apne paas kai dusre banks ya industries ke product bhi offer kar sakte ho,

Ye Agent Commission Based hote hai, jis se aap bahetar kamai kar sakte ho,

Bank Loan Batne ke liye "Direct Sales Associate" bhi Niyukt karte hai, apne स्तर par sharuaar karne ke sath aane vale samay me kisi bhi bank ke DSA (Direct Selling Agents) sakte ho,


(5)-Freelancers 


Agar aap IT se lekar Content writing tak me expert ho, to aap Freelancing ki sharuaat kar sakte ho, duniya-bhar me aisi site ki kami nahi hai, jaha Freelancer khud ko Register kar sakte hai,

Thodi Research karke aap aise site ka pata kar sakte hai jaha aapko kaam or fees sahi tarah se offer ki jati ho,

Ak baat ka khas dhayan rakhe ki kai website Fraud bhi ho sakti hai, isliye thoda time research ke liye bhi de sakte ho,

Freelancer in me aap aasani se khud ko Register kar ke apne hissab se kisi bhi job ke liye bid kar sakte ho,

Ak baar Freelancing me pahechan banne par aap khud bhi apni website sharu kar sakte ho. 
  • Website Design ke liye 6000Rs.
  • Mobile Apps ke liye 13,000Rs./project ke shath sharuAat hai,
Vahi dusri taraf Translate ke dare bhi आकषँक hai,
Note: Har Kaam me Jokhim Jude hote hai, jo kai factor par निभँर karte hai, aise me अंतिम फैसले से पहले अपने स्तर पर Research jarur kare-sanju Dangar

Hi Friends post ko archi tarah se samje or sochne ke baad aap inme se koi bhi ak business ko chun sakte ho, muje umid hai ki aapko is post ke jariye ak business sharu karne ka mauka milega, or umid karti hu ki ye post aapko jarur pasand aayi hogi, and help bhi mili hogi, or koi sawal pusna chahte ho to muje comment ke jariye pus sakte ho, or business ke baare me aapke pass koi idea ho to contact form se muje mail kar sakte ho, best idea hoga to aapke name ke shath post bhi share karungi, Share and Like kare taki is post ko or bhi padh sake & thanks to visit HLS143.Com

Ye Bhi Padhe➥
TWITTER ACCOUNT SE BHI 5 TARIKE SE KAR SAKTE HO UNLIMITED INCOME
GHAR BAITHE DESIGN KARE OR BECHE LOGO, HAR MAHINE HOGI 1 LAKH KI KAMAY
APP DEVELOPER KAISE BANE APNI SKILLS KO DEVELOP KARKE- CAREER TIPS
TOP 9 WEBSITE SE COMPANIES KI FEEDBACK DEKAR HAR MAHINE KAMAYE 30,000
TOP 5 WEBSITES KE SATH APNE PASAND KA KAAM KARKE KAMAYE HAR GHANTE 500
ONLINE SURVEY KI TOP 10 WEBSITE MILTE HAI SABSE JYADA PAISE
YOUTUBE CHANNELS SE MONTHLY LAKHO ME INCOME KAISE HOTI HAI?
YOUTUBE VIDEO DEKH-KAR HAR MAHINE KAMAYE 30,000 RUPYE
PART TIME JOBS KE 9 BEST OPTION 1,HOUR ME 2,000 RUPAY KAMAYE
JOB INTERVIEW ME FAIL HONE KE 5 MOST REASONS
GHAR SE HI KARE PART TIME JOB, IN 10 WEBSITES SE KAMAYE 15000 MAHINA
EXTRA EARNING KE LIYE 5 BEST PART-TIME JOB / KAHA MILEGI JOB?
5 PART-TIME JOBS GHAR BAITHE KAMA SAKTE HAI 10,000 SE 15,000 MONTHLY
DOWNLOADS KARE 6 BEST MOBILE APPS OR KAMAYE PAISE
ONLINE EARNING KE TOP 10 IDEA JO BADAL DENGE AAPKI LIFE,
IN 5 FREE APPS KO INSTALL KARE, KAMAYE DATA OR PAISA
Read More

Snapdeal, Flipkart, Amazon ke Sath Sharu Kare Business

3/25/2019 12
Online sellers Business
Agar Aap Ghar baithe business karna chahte ho to Flipkart, Amazon, Snapdeal jaise E-commerce Companies ke sath jud sakte ho, in company ke sath judne ke liye aapko kisi tarah ka koi paise nahi dena hai, in company se jo log jude hai, unki kamai Lakho me hai, jab ki bade sellers ki bikri crore me hai, in website par aapko product jitana sale hoga, Aapko usi reshyo me Profit hoga,

E-Commerce website ke kaise bane Sellers

Kisi bhi E-Commerce site se judne ke liye aapko "Sellers Account" kholna padega, Seller account ke liye aapko kahi jaane ki jarurat nahi hai, balki har E-Commerce site ki website par hi account kholane ka option mojud hota hai, isme aapko apni puri details dalani hogi, lekin sellers banane se pahle ak baat yaad rakhe koi bhi product bechne se pahle aapke paas टिन or पैन-Card number hona chahiye , iske bina aapka Registration nahi hoga,

E-Commerce Website Par kon See product Bech sakte hai,

E-Commerce Site par aap घरेलू jarurato se jude adhiktar saman bech sakte hai, isme Clothes, jewellery, mobile, toys, shoes, auto accessories, cosmetic etc..shamil hai, E-Commerce site pe apne porduct bechane ka sabse bada fayada ye hota hai ki yaha aapka product (saman) 24 hour customer ke samne mojud raheta hai, Jiski shopping kisi bhi time ki ja sakti hai,

Kya Hai Business Model?
Apni site par aapka product bechne ke liye E-Commerce Companies kus commission leti hai, ye commission product ki kimat ke hisab se tay hota hai, yah commission 5% se 40% tak ho sakta hai, yani aapka product ki jitani price hogi us se commission kat kar aapko payment diya jayega, Iske alava product customer tak pahuchane ke liye Shipping charge bhi sellers ko dena hota hai, jo product ke weight ke mutabik tay hota hai,

Kaise Start kare business?

E-commerce Warehouse:
Agar aap pahle se koi product nahi bechte hai or new business sharu karna chahte hai to pahle aapko market me thodi research karni hogi, yah pata lagana hoga ki market me kis chij ki demand sabse jyada hai, agar aapko product ke baare me pata chal jata hai to aapko us product ke manufacture ya Wholesale मंडी ko ढूंढना hoga, Is tarah aap manufacture ko direct Consumer se jod sakte ho,

E-commerce site ke product sell karke Kitne paise kama sakte hai?

Online Shopping:
E-Commerce Companies pe aap kitani kamai kar sakte hai, iska koi paimana nahi, Amazon, or Flipkart par bade Sellers WS Retail or Cloudtail ka yearly turnover hajaro-crore rupay hai, WS Retail ka 2014-15 me turnover 10,000 crore rupay tha,

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.


Also Read:
Read More

Mushroom Ki Kheti Kaise Shuru Kare, Yearly Ho Sakti Hai 3 Lakh Ki Kamay

3/25/2019 0
Hello Friends, Last Post Me Hamne Low Invest 6 Best Business Ideas Ke Baare Me Discuss Kiya Tha. Jise Reader Ne Kafi Pasand Kiya. To Chale Aaj Ak Aur Bahetarin Business Idea Ke Baare Me Baat Karte Hai.. Jiska Name Hai Mushroom Farming Business.


Mushroom Farming Business Kaise Start Kare? Yearly Ho Sakti Hai 3 Lakh Ki Income

mushroom farming business in hindi language
Better Earnings Ke Liye Mushroom Ki Kheti Ak Best Option Hai. Ye Kheti, Un Kheti Me Se Ak Hai Jiske Liye लंबे-चौड़े Kheto Ki Nahi Balki Ak Room Hi Kafi Hai. Mushroom Ki Kheti Se Hone Vale Fayde Ko Dekhkar In Deeno Es Ki Kheti Me Cities Ke Log Bhi Jyada Interest Le Rahe Hai.

Yahi Vajah Hai Ki Aaj Kal Naye Naye Tariko Se Mushroom Ki Kheti Ho Rahi Hai. Is Article Me Aapko Bata Raha Hu Aise Hi Mushroom Ugane (Growing Mushrooms)  Ke Ak Khash Tarike Ke Baare Me Jinme Total Kharch Ka 3 Guna Tak Income Hoti Hai. Saal-Bhar Me Aap Sirf Ak Room Me 3 Se 4 Lakh Rupees Ki Income Aasani Se Ho Sakti Hai. Vo Bhi Sirf 50,000 Se 60,000 Rupees Kharch Karne Par.
How To Start A Mushroom Farming Business At Home
1. गेहूं Se Paida Hone Vala Mushroom (Oyster mushroom):-
investment required for mushroom farming
Is Mushroom Ko Ugane Me Gehu Ke Bhoose Aur Dano Ka Istemal Hota Hai, Yah Mushroom 2.5 Se 3 Month Me Complete Ho Jaata Hai. Jyadatar Iska Production Punjab Samet North Indian States Me Hota Hai. Is Mushroom Ko Sabse Pahle 'Himachal Pradesh University' Ke Professor. Anant Kumar Ne Year 2013 Me Ugaya Tha. Professor Anant Kumar Apni Is Method Ka Patent Karane Ja Rahe Hai. Ab jante Hai....
2. Mushroom Cultivation Business Me Kitana Aata Hai Kharcha:-
  • Cost of Rs.50 / - per kg:
Professor Anant Kumar Ke Anusar 1 Kg. Mushroom Ko Taiyar Karne Me LagBhag 50 Rupees Ka Kharch (भूसा, गेहूं Aadi Sab Saman Kharida Jaaye To) Aata Hai. Vaise Hi 15 Kg. Mushroom Banane Ke Liye 10 Kg. गेहूं Ke Dano Ki Jarurat Hoti Hai. Man Lijiye Ki Aap Ak Baar Me 10 Quintal Mushroom Uga Lete Hai To Aapka Total Kharch 50,000 Rupees Aata Hai. Iske Liye Aapko 100 Square-foot Ke Ak Kamare Me Raik Jamani Hogi.
 how to start a mushroom business at home
3. Kaise Hoti Hai Mushroom Ki Kheti:-
  • 10 Kg. Lagta Hai Bij
Sabse Pahle Gehu Ko Ubala Jaata Hai, Aur Is Par Mushroom Ka Powder Dala Jaata Hai, Jis Se Mushroom Ka Bij Taiyar Ho Jaata Hai. Ise 3 Month Ke Liye Is Bij Ko 10 Kg. Gehu Ke Bhoose Me 10 Gram Bij Ke Hisab Se Rakha Jaata Hai. 3 Months Ke Baad Gehu Ke Ye Daane Mushroom Ke Roop Me अंकुरित Hone Sharu Ho Jaate Hai. Iske Baad Inhe 20 Se 25 Days Ke Liye Polythene Me Dalkar 25 Degrees Centigrade Temperature Vale Room Me Rakha Jaata Hai. Iske Baad Mushroom Bechne Ke Liye Taiyar Ho Jata Hai.
cost of starting a mushroom farm
4. Mushroom Farming Ki, Kaise Kare Marketing And Kitani Hogi Income.:-
  • Retail Store Se Kar Sakte Hai Contract
Oyster Mushroom Ki India Me Sabse Adhik Demand Hai, Branded Store Par Bhi Sabse Jyada Oyster Mushroom Hi Bikta Hai, Is Mushroom Ki Price Kam Se Kam 150 Se 200 Rupees Par/Kg Milate Hai. Aap Better Marketing Kar Kisi Retail Store Se Contract Kar Sakte Hai. Kam Se Kam 150 Rupees Par/Kg. ke दर Se 10 Quintal Mushroom Ki Kimat 1,50,000 Rupaye Hoti Hai. Aise Me Mushroom Saal Me Do Baar Paida kiya Jaay To Yah Rakam Aasani Se Double Yani Ki 3,00000 Rupees Tak Pahuch Jaati Hai.
mushroom ki kheti kaise kare in hindi
5. Kis States Me Hota Hai Sabse Jyada Mushroom Ka उत्‍पादन:-
  • India produces 40% of mushroom production in Punjab
India Me Sirf Akela Punjab Hi 40% Mushroom Ka Production Kar Raha Hai. Aapko Bata Du Ki Punjab Our Haryana Me Hi Sabse Pahle 1987 Me Food (खाद्य) Mushroom Ki Kheti Sharu Hui Thi. India Me Karib 15,000 Tonnes/Year Mushroom Ka  Production (उत्‍पादन) Hota Hai. Punjab Our Haryana Dono States Ko Milakar Is क्षमता Ka 60% Se Jyada Mushroom Ka उत्‍पादन Karte Hai. Is Me Bhi Karib 40% Shareholding (हिससेदारी) Akele Punjab Ki Hai. Yaha Almost 6000 Tons Mushrooms Ka उत्‍पादन Hota Hai. Last 2 Years Me Punjab Me Mushroom Ke Production Me 50 Se 60% Ke Growth Ki Umid Ki Jaa Rahi Hai. India Ka Mushroom Export Quota लगभग 4000 Tons Yearly Hai. Sabse Jyada Export India Se America Ko Kiya Jaata Hai.
दोस्तों, आर्टिकल पढ़ने के लिए तहे दिल से सुक्रिया, अगर आपको हमारा ये आर्टिकल➧ मशरूम की खेती कैसे शुरू करें |How To Start A Mushroom Farming Business At Home Ke  Baare Me.. कैसा लगा, वो हमें कमेंट में जरूर बताइये। और आर्टिकल पसंद आया हो तो अपने दोस्तों के साथ सोशल मीडिया पर जरूर शेयर करे। और ऐसे ही अपडेट अपने ईमेल id पर फ्री में पाना चाहते हो तो हमें Subscribe करे। थैंक्स एंड कीप विजिटिंग।.
Ye Bhi Padhe
Read More

OLA UBER Ke Sath Kare Business, Monthly Income Hogi 25000 Se 30000

3/25/2019 2

OLA UBER Ke Sath Kare Business, Har Mahine Hogi 25 Se 30 Hajar Tak Income.

ola cabs offer
Hello Friends,
Ham Aaj Ki Post Me Aapko 'OLA UBER Business" (ola cabs) Ke Baare Me Full Guide Karne Vala Hu. To Chale Baat Karte Hai 'OLA UBER' Ke Sath Business Kaise Kare. And Jo Reader Is Business Se Interested Hai Usko To Ye Article Ak Baar Jarur Read Karna Chahiye. Ab Aapka Jyada Time Na Lete Huye Main Topic Pe Aate Hai.

Ola Uber Ke Sath Business Kaise Start Kare.

Agar Aap Less Finance Me Good Earning Ka Way Search Kar Rahe Hai, Mins Ki Low Investment Me Bahetarin Kamai Ka Jariya Khoj Rahe Hai To OLA And UBER Jaisi App Based Cab Companies Aapke Liye Ak Best Option Ho Sakti Hai. India Ki Sabse Badi Cab Company OLA Ne Apne Sath Business Partner Bane Drivers Ko Abhi Heavy Incentives And Commission dene Ka Dava Kiya Hai. Company Ka Kehna Hai Ki Is Vajah Se Company Ko loss Bhi Ho Raha Hai. In-Fact OLA And UBER Dono Companies Apne Sath Teji Se Business Partner Bana Rahi Hai.

Halaki, In Companies द्वारा Diye Jaane Vala Commission Aur Incentive Pahle Se Kuchh Cum Huya Hai, Feer Bhi Partner Bane Driver Ka Kehna Hai Ki Unhe Aaj Bhi Har Month 25000 Se 30000 Rupaye Tak Ki Income Ho Rahi Hai. Agar Aapke Pass Apni Car Hai To Yah Opportunity Aapko Bhi Mil Sakti Hai. Agar Aapke Pass Apni Car Nahi Hai To Bhi Aap Ye Business Ko Join Kar Sakte Hai. Sirf Aapko 25000 Pay Karne Par Company Aapko Lease Par Car Degi. Khas Baat Ye Hai Ki Companies Ki Spacial Scheme Ke Under 7 Se 10 Days Me Hi Aap Business Partner Ban Jayege.

OLA UBER Ke Sath Kaise Kar Sakte Hai Business, Kya Hai Process....
  • Kaise Jud Sakte Hai OLA and UBER Ke Sath.......
  • KAISE Jode UBER OLA Ke Sath Apni Car
  • Agar Aapke Pass Apni Car Hai To App Based Cab Companies Ke Sath Aasani Se Jud Sakte Ho, Aapki Income Bhi Jyada Hogi.
  • Ola Uber Ke Sath Partner Banne Ke Liye Aapke Pass Ak New Ya Very Good Condition Ki Car Honi chahiye.
  • Aapko Ola Ya Uber Ki Near Office Me Iske Baare Me Information Deni Hogi. Registration Ke Liye Customer Care Se Bhi Jankari Le Sakte Ho. (Ola Cabs Customer Care Number : 022-33553355 Ola Cabs Customer Care Email ID :support@olacabs.com)
  • Agar Aap Khud Car Drive Karna Chahte Hai Ya Driver Rakhna Hai, Ye Dono Hi Condition Me Aap Car Ko Registered Kar Sakte Hai.
  • Aap Khud Driver Ke Roop Me Apni Car Company Se Jodna Chahte Hai To Aapke Pass Commercial License Hona Chahiye. Agar Driver Rakhe To Uske Paas Bhi Commercial License Hona Jaruri Hai.
Kitne Deeno Me Start Ho Jayega Business
  • 8-10 Days Me Start Ho Jayega Business, Ye Documents Hai Jaruri.
  • Ola Cabs Ke Liye Jaruri Documents.
Aapko Apni Car Ki Registration Karane Ke Liye Kuchh Documents Jama Karana Jaroori Hoga.
PAN card, New Bank Account Details, Driver's License Ki Photocopy, ID Proof, Address Proof, Car Ke Documents Ki Photocopy, Vehicle Documents, Police Verification Iske Liye Jaroori Hai.
Iske Alava Aapke Pas Modern Feature Vale Smartphone Hona Jaruri Hai. Jisme Cab Company Ka App Download Karna Jaruri Hai,

In Sabke Baad Aapka Vehicle 24 Hours Ke Under Registered Kar Li Jayegi.
Sabhi Process Puri Karne Ke Baad 10 Days Ke Under Aapka Vehicle Chalania Sharu Ho Jayega.    

Kaise Milega Aapko Bonus Aur Commission.
  • Agar Aap Ola Ke Sath Jude Hai To Aapki In Tariko Se Kamai Hogi.

  • Total Booking Amount  Par Ola Ka 20% Commission Banega.
  • Peak Hours Me Minimum 5 booking Par 1700 Rupaye Commission Milata Hai.
  • Vahi, Peak Hours Me 10 Booking Par Yah Commission 2900 Rupaye Ho Sakta Hai.
  • Single Ride Par Aapko Total Bill Ka 10% Commission Milata Hai. Bill Ola App Par Calculate Kar Liya Jaata Hai.
  • Airport Par Drop Karne Ke Liye 500 Rupaye Bonus Ke Roop Me Diya Jaata Hai.
  • Ye Sara Commission Aapke Bank Account Me Transfer Kar Diya Jaata Hai.
  • Morning 7 Se 12:30 and Evening Ko 5 Se 11 Baje Tak Ke Samay Ko Peak Hours Mana Jata Hai.

NOTE: Company Ki Taraf Se Diye Jaane Vala Commission Samay-Samay Par Badlata Hai. isliye Ise Aapko Apni Taraf Se Check Karna Jaruri Hoga.

Uber Ke Sath Kaise Aur Kitani Hogi Income. (Kaise Milega Bonus And Commission)

  • Agar Aap Uber Ke Sath Jude Hai To Aise Ho Sakti Hai Aapki Earnings....
  • Total Booking Amount Par Uber Ka 20% Commission Banega.
  • Peak Hours Me Single Ride Ke Liye 250 Rupaye Bonus Milegi.
  • Agar Minimum Business Guarantee 7200 Rupaye Ki Hoti Hai To Earning 2280 Rupaye Ki Ho Sakti Hai.
  • Airport Drop Par Ola Ki Tarah Uber Bhi Bonus Deti Hai.
  • iske Alava Kuchh External Bonus Bhi Hote Hai, Jo Monthly Basis Par Account Me Transfer Kar Diya Jaata Hai. 
  • Peak Hours Morning 7 Se 12:30 and Evening 5 Se 11 Baje Ko Mana Jaata Hai.
Business Opportunity For 25000

  • Agar Aapko Driving Ka Experience Hai But Aapna Vehicle Nahi Hai. To Taxi Aggregates Ki Spacial Scheme Ka Fayada Utha Sakte Ho.
  • Company Khud Aapko Lease Par New Car Chalane Ke Liye De Rahi Hai. 
  • Iske Liye Aapko Sirf 25,000 Rupaye Down-payment Karna Hoga.
  • Aapko Monthly fixed Driver Subscription Fees Ke Sath Hi Ride/Par Commission Dena Hoga.
  • Is Scheme Se Jude Hai To Bhi Aap Mahine Me Best Saving Kar Sakte Ho. 
  • Company Aapko Ye Bhi Facility De Rahi Hai Ki 3 Years Ke Baad Car Aap Apne Naam Kar Sakte Ho.
Kis Vehicles Ke Sath Ban Sakte Hai Partner.

Ola And Uber Alag-Alag Segment Me Aapko Ye Moka De Rahi Hai, Maruti Alto, Indica, Swift Dzire Jaisi Cars Ke Sath Aap Inke Business Partner Ban Sakte Hai. Luxury segment Me Bhi Ye Companies Apni Service De Rahi Hai, Jisme BMW Se Mercedes tak ki Sevaye Milati Hai.
Aasha Karta Hu Ki Aapko Ye Article Pasand Aaya Hoga, Aise Hi Aur Post Ke Liye Hame Subscribe Kare, And Apne Friends Ke Sath Is Article Ko Share Jarur Kare.
BUSINESS IDEAS se related aur bhi article hai jo aapko jarur padhna chahiye..⬇



Read More

March 23, 2019

Ghar Me Shuru Kar Sakte Hai Ye 6 Business, Har Mahine Hogi Best Income

3/23/2019 9
Aaj Ki Post Me Baat Karte Hai Kus Aise 6 Business Ideas Ke Baare Me. Jo Low Investment Ke Sath Koi Bhi Ghar Par Hi Start Kar Sakte Hai. By The Way, Business To Har Koi Karna Chahta Hai, But Problem Ye Hoti Hai Ki...Konsa Business Kare? Business Kaise Start Kare? Konsa Business Karna Chahiye? Ye Sabhi Sawalo Ke Jawab Ke Sath Aapko Is Article Me..Small Business Ideas, Business Plan, Business Tips Ki Hindi Me Full Details Me Step By Step Jankari Share kar Raha Hu. Aaiye Baat Karte Hai In 6 Business Ideas Ke Baare Me Jise Koi Bhi Apna Sakta Hai

6 Business Ideas In Hindi With Low Investment

online business ideas in hindi
Badalti Jarurate Aur Fast Advance Technology Me Business Karne Ke Kai Sare Chances Hai, Aise Me Aapke Paas Sabse Badiya Chance Ghar Se Business Karne Ke Hai. Jise Thode Space Me Bhi Kiya Ja Sakta Hai. Iske Tahat "Day-Care" Se Lekar Mushroom farming, Small gym, Kholane Ke Options Mojud Hai. Aaj Ham Aapko Aise 6 Business Ke Baare Me Bata Rahe Hai, Jinhe Ghar Se Kiya Ja Sakta Hai, Sath Hi Unse Best Income Bhi Ki Ja Sakti Hai.
1. Mushroom Farming (मशरूम की खेती)
mushroom farming in hindi language
Agar Aapke Paas Ak Room Khali Pada Hai To Aap Usme Mushroom Ki Kheti Kar Sakte Hai, Halaki Us Kamre Me Roshni Nahi Aani Chahiye. Sath Hi Use Aapke 'Living Aria' Se Thoda Door Hona Chahiye. Mushroom Farming Se Hone Vale Fayde Ko Dekhkar In Deeno Iski Kheti Me Cities Ke Yuva (युवा) Bhi Kafi Interest Le Rahe Hai. Yahi Vajah Hai Ki Aaj-Kal Naye-Naye Tariko Se Mushroom Ki Kheti Ho Rahi Hai, Oyster Mushroom Farming Me Total Kharch Ke Teen Guna Tak Income Ho Jaati Hai. Is Mushroom Ko उगाने Me गेहूं Ke भूसे Aur दानों दोनों  Ka Istemal Hota Hai. Yah Mushroom 2.5 Se 3 Month Ke Ander Complete Ho Jaata Hai.

2. Day-Care or Creche (डे केयर और क्रेच)
how to open a daycare center at home
Baccho Ki Dekh-Bhal Ban Sakti Hai Inka Jariya
Cities Me Couples Ki 'Changing Life Style' Ki Vajah Se "Day-Care" and Crèche Ki Demand Teji Se Badhi Hai, Aise Me Aap Ak Se Do Kamre Me Ye Business Kar Sakte Hai. Jiske Liye Children's Ke Play Activity Se Judi Jaroori Chijo Ke Alava Food Aadi ki Arrangement Karni Hoti Hai. Aap Apni सहूलि‍यत Ke Hisab se Decide Kar Sakte Hai Ki Aap Kis Age Group Ke Children's Ko Handle Kar Sakte Hai, Day-Care Me Ak Bacche Ki Monthly Fees karib 1500-2500 Rupaye Aasani Se Hoti Hai.

3. Gym
start your gym business low investment

Aisa Jaroori Nahi Ki Gym 100 Yards Ke House Me Hi Lagaya Jaaye Us Se Cum Jagah Me Bhi Gym Lagaye Jaate Hai And Chalte Bhi He. Aap Especially Women's Ke Liye Gym Bana Sakte Ho. 4-Lakh Rupaye Me Aapko Kafi Equipment Mil Sakte Hai. Gym Ke Business Ke Sath Sabse Best Yah Hota Hai Ki Isme Running Cost Bahut Cum Hoti Hai. NOTE: Gym Ke Business Ke Baare Me Full Guide Ke Liye Next Post Tak Intezaar Kare. Me Jald Hi Iske Baare Me Article Aapke Sath Share Karuga.


4. Blog
BLOG/website se paise kaise kamaye

Ye Mera Sabse Favorite Business Hai, Iski Ak Khas Vajah Bhi Hai, Kyu Ki Is Business Me Aapko 1 Rs. Ka Bhi Invest Nahi Karna Hota Hai, Sab Kus Free Me. Our Vo Bhi Aapki Ak Alag Pahechan Ke Sath, Isme Nahi Koi Aapka Boss Hoga Aur Nahi Aap Par Koi Control Karne Vala. Me Bhi Is Business Ko Last 2 Years Se Kar Raha Hu. Iska Main Point Ye Hai Ki Aap Jab Chahe Tab Is Business Me Apna Time De Sakte Ho. Apne Time Ke Mutabik Is Business Ko Handel Kar Sakte Ho. Sirf Aap Kisi Ak Subject Me Except Hona Chahiye. Is Business Ko Google Provide Kar Raha Hai, And Is Business Me Lagatar Teji Aa Rahi Hai, Kyu Ki Google Ki Ak Report Se Pata Chala Hai Ki World Me Sabse Jyada Internet User Hindi Language Ke Hai (23.4 Crore-2016). Aur 2021 Tak 53.4 Millions User Indian Hindi Language Ke Hoge. Isliye Sabse Jyada Chances Is Business Me Hai. Is Business Ke Baare Me Jyada Jankari Ke Liye Aap Google Pe Search Kare.."Free Me Blog Kaise Banate Hai"

Ghar Baithe Best Income Ka Aasan Tariko Me Se Ak Hai Blog/Website Write Karna. Matalab Ki Aapko Sirf Free Blog-Spot Ya WordPress Par Blog Banana Hota Hai Uske Baad Aapko Kisi Ak Subject Par Articles Write Karna Hota Hai. Uske Baad Jab Reader Badhega To Google Aapko Ads Provide Karti Hai. Jab Visitors Aapke Article KI Visit Karege Tab Use Ads Bhi Show Hogi, Us Par Vo Click Karege Tab Aapko Paisa Milata Hai, Vo Direct Aapke Bank Account Me Credit Ho Jaata Hai, Ak Ads Click Ka Aapko 3-3500 Rs. Tak Milata Hai. Us Se Jyada Bhi Milte Hai Our Cum Bhi Mil Sakte Hai, Muje Yaha Tak Milata Hai. Uske Baare Me Jyada Jankari Ke Liye Aap Google Pe Search Kar Sakte Hai. internet Pe Aaj Lakho Hindi Blog Ban chuke Hai Jo Free Me Blog Banane Ke Baare Me Shikhate Hai.

Aap Koi Bhi Subject Select Kar Sakte Hai, Aapke Blog Ko Read Karne Vale Ki Kami Nahi Hai Internet World Me. Is Me Bhi Vo Log Bahut Successful Huye Hai, Jo Apni Pasand Ke Subject Par Expert Hai. Vo Apni Pakad Ke Subject Par Blog Likhte Hai. Blog Ak Website Jaisa Hi Hota Hai Magar Isme Aapko Apni Aur Se Kus Bhi Kharch Nahi Karna Hota Hai. India Me Aise Bhi Blogger Hai Jo Monthly Lakho Rupaye Sirf Ak Blog Se Kama Rahe Hai, Isme Koi Shak Bhi Nahi Hai, kyu Ki Khud Aap Bhi Ise Check Kar Sakte Hai. iske Liye Me Aapko Yaha Par India Ke Most Popular Blog Ka Example De Raha Hu. Aap Uski Income Report Check Kar Sakte Ho.
5. Online Survey Job
online survey jobs without investment

Badalte Samay Ke Sath Online Jobs Me Logo ki Demand Pahle Ki Tulna Me Kafi Badhi Hai. Aise Me Aap Online Survey Me Thoda Time Dekar Ghar Baithe Best Income Kar Sakte Hai, Jyadatar Companies Aapko Chances Deti Hai Ki Unke Products Ke Liye Aap Logo Ke Preview Le And Public Demand Ke Service Delivery Ki बारिकियां Bataye. Products Ka Survey Karke Company Ko Dene Ki एवज Me Aapko Achhi-Khasi Income Mil Sakti Hai. Iske Liye Aapko Kisi Company Ke Office Me Jaane Ki Jaroorat Nahi Hai. Aap Sirf Online Survey Company Se Contact Karke Unke Liye Kaam Start Kar Sakte Hai.

6. Hobby Classes
short business plan in hindi language
Apni Hobby Ko Banaye Income Ka Jariya
Aap Me Painting Karni, Guitar Bajane Jaisi Koi Bhi Hobby Hai To Aap Dusro Ko Apani Hobby Ki Te-lent SE Sikhakar, Apne Liye Rojagar Ki Raah Banane Ke Sath Best Income Bhi Kar Sakte Hai. Hobby Classes Se Aap Monthly 25000 Rupaye Tak Ki Income Pa Sakte Hai. iske Liye Aapko Daily Tuition Dene Ki Bhi Jarurat Nahi Hai. Weekly Aap 3 Se 4 Class Bhu Le Sakte Ho. Iske Liye Per/Person 1000 Rupaye Ya Us Se Bhi Jyada Charge Liya Jaata Hai.
Umid Karta Hu Ki Aapko Ye Article Pasand Aaya Hoga, Aise Hi Aur Post Ke Liye Hame Subscribe Kare, And Apne Friends Ke Sath Is Article Ko Facebook, Twitter,  Whatsapp, Google Pluse, Par Share Jarur Kare.

Business Ideas se related aur bhi article hai jo aapko jarur padhna chahiye..⬇
Read More