Hindi Love Tips: Students Career Tips

Hot

Showing posts with label Students Career Tips. Show all posts
Showing posts with label Students Career Tips. Show all posts

March 25, 2019

General Knowledge Test, Jobs Exams Ke Liye 20 Questions And Answers

3/25/2019 1
Aise Candidate Jo jobs ke liye Exam ki taiyari me lage hai, Unke liye Aaj me General Knowledge (GK) Test Paper lekar aayi hu, Is paper me History, sports and other fields related questions diya gaya hai, jo kisi na kisi exams me puse gaye hai, in Sawalo ke jariye Na Keval Candidates, balki other Readers bhi Apna GK Test kar sakte hai, Sabhi Sawalo Ke Jawab Post Ke Last Paragraphs me diye gaye hai,  Sabhi Question me 4 option diya gaye hai, is me se aap koi bhi ak option select karke apna GK Test kar sakte hai, OR Apne Answer ko Last me diye gaye Right Answer ke Sath milakar dekhe.

General Knowledge Test, Jobs Exams Ke Liye Questions And Answers
Top 20 Most Important Questions And Answers-2016

Top 20 Most Important Questions And Answers-2016 (GK Test & GK Quiz)

Question 1:
London Olympic 2012 Me Indian Girls Mukkebaaj 'Mary Kom' Ne Padak Jita Tha?
Top 20 Most Important Questions And Answers-2016

Option:
A- Bronze               B-  Gold,
C- No Medal           D-  Silver

Note: Central Armed Police Forces Exam, 2015 asked question

Question 2:
Taro Ka Rang Kis par Depend karta hai?
Top 20 Most Important Questions And Answers-2016

Option:
A-Temperature          B- Length
C-Readies                  D-ATMOSPHERIC PRESSURE

Note: SSC CGL Exam -2014

Question 3:
Pneumonia body ke konsa parts ko Influenced karta hai?
UP Gram Vikas Adhikari Exam-2016

Option:
A-Heart.          B-  Eyes
C-Gala.            D- lung

Note: UP Gram Vikas Adhikari Exam-2016

Question 4:
India ki Sabse badi khare pani ki jheel (Lake) hai?
Madhya Pradesh Jail vibhag Sanyukt Chayan Pariksha-2015

Option:
A- Chilika Lake      B- Nakki Lake
C- Pichola Lake      D- Nainital Lake

Note: Madhya Pradesh Jail vibhag Sanyukt Chayan Pariksha-2015

Question 5:
Narendra Hirwani ne kis Team ke Khilaf ak Test Match me 16 Wickets liye the?
M.P. State Service primary Exam-2015

Option:
A- Pakistan      B- Australia
C- England       D- west Indies

Note: M.P. State Service primary Exam-2015

Question 6:
Haldi Ghat ke yuddh me Maharana Pratap ki Sena Ke Senapati Kon The?
Bihar Public Service Commission primary Exam-2015

Option:
A- Jaala Maan      B- Rana Amar Singh
C- Sher Shah        D-Hakim Khan Sur

Note: Bihar Public Service Commission primary Exam-2015

Question 7:
India Ki Sabse Badi E-Commerce Company Hai?

Option:
A- Amazon      B- Flipkart
C- Snapdeal     D- Paytm

Note: Deputy Subordinate Services Selection Exam-2016

Question 8:
Presentation banane ke liye MicroSoft office ke konse part ka use kiya jata hai?
SSC CGL Exam -2014

Option:
A- MicroSoft Word
B- MicroSoft excel
C- MicroSoft PowerPoint
D-MicroSoft Access

Note: SSC CGL Exam -2014

Question 9:
Indian Khiladi Vikas Gowda kon sa Khel-Khelte hai?
NDA Na Exam || 2015

Option:
A- Hockey      B- Raceling
C- Football     D- Discus Throw

Note: NDA Na Exam || 2015
 
Question 10:
Kis Deen Pruthvi Surya se Sabse Nikat hoti hai?
SSC Higher Secondary Level Exam -2015

Option:
A- January,      B- February,
C- March,         D- April,

Note: SSC Sanyukt Higher Secondary Level Exam -2015

All Question to Answer:

Question 1 To Answer:
 A- Bronze Medal

Extra Details:
'Mary Kom' ko London Olympic 2012 ke Semi-Final me haar ka samna karna pada tha, is se vo Bronze medal hi jeet saki, unhe britain ki 'Nicola Adams' se 11-6 se haraya tha, [Mary Kom - Wikipedia]

Question 2 To Answer:
A-Temperature. (Tapman)

Extra Details:
Pruthvi se dekhne se jyadatar Taare ak jaise hi dikhte hai, ab Durbin ki help se taaro ko dekha jata hai tab is baat ka pata chalta hai ki taaro ka rang alag-alag hai, Rango (Colors) ke dvara Scientist ko taaro ke taapman (Temperature) ke baare me pata chalta hai,

Question 3 To Answer:
D- lung (Fefade)

Extra Details:
Pneumonia ak prakar ka Infection hai, hava me mojud Bacteria OR Virus sans ke jariye fefade tak pahuch jate hai, koi Vaykti pahle se koi bimari jaise Lung Disease, Heart Disease Affected hai to yuse Severe Pneumonia hone ka khatara raheta hai, [Pneumonia: Types, Symptoms, & Treatment]

Question 4 To Answer:
A- Chilika Lake (Jheel)

Extra Details:
Chilika Jheel Odisha state ke Samundri jal me bani bharat ki sabse badi or wold ki dusri sabse badi Samudri jheel hai, ye 70 K.M. lambi or 30 K.M Paudi hai, [Chilika Lake - Wikipedia]

Question 5 To Answer:
D- West Indies

Extra Details:
Leg Spin Bowler Narendra Hirwani January 1988 me West Indies ke khilaf Chennai Test me 136 Runs dekar 16 Wickets liye the, unho ne dono pariyo me 8-8 Wickets liye the, [Narendra Hirwani - Wikipedia]

Question 6 To Answer:
D-Sardar Hakim Khan Sur.

Extra Details:
18 June 1576 ko Mughal Empire (Samrajya) ka vishal sena ka Yuddh Maharana Pratap ki Choti sena ke sath huaa tha, is Yuddh ki khas baat ye thi ki Maharana Pratap ke Senapati Hakim Khan Sur (Muslim) OR Jalal ud-din Muhammad Akbar ke Senapati 'Man Singh' (Hindu) The, [Hakim Khan Sur - Wikipedia]

Question 7 To Answer:
B- Flipkart

Extra Details:
india me online selling ke mamale me Flipkart.Com Sabse upar hai, Sachin or Binny Bansal ne Ise 2007 me sharu kiya tha, halaki March 2016 me ise Shipment girkar 37% ho gayi thi, [Sachin Bansal - Wikipedia]

Question 8 To Answer:
C- Microsoft PowerPoint

Extra Details:
Microsoft Office me PowerPoint ki help se presentations banai jati hai, isme user Clips, Arts, Photos, Texts use kar ke kai slide bana sakta hai, [Microsoft PowerPoint - Wikipedia]

Question 9 To Answer:
B-Discus Throw.

Extra Details:
Vikas Gowda ne Scotland ke Glasgow me Aayojit Commonwealth games 2014 me Asian Athletics Championships ke Discus-Throw Event me gold Medal jita tha, [Vikas Gowda - Wikipedia]

Question 10 To Answer:
A- January, 

Extra Details:

पृथ्वी 365 दिन, 5 घण्टे, 48 मिनट  me अंडाकार पथ par सूर्य ki परिक्रमा karti hai, सूर्य se पृथ्वी ki nikat hone ki sthiti ko  उपसौर or dur hone ki sthiti ko अपसौर kahte hai,

Also Read:

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.
Read More

Law Study Ke Liye Best Option Indore Institute Of Law

3/25/2019 0

Law Study Ke Liye Best Option Indore Institute

Indore Institute Of Law Wi-Fi Campus

Aaj ki post Aise Student ke liye hai jo Law Filed me Career banana chahte or best Law institute ki talas me hai uske liye khas hai, or unke liye 'Indore Institute of Law' best option sabit ho sakata hai, Indore institute of law collage ko Bar Council of India, New Delhi or Devi Ahilya Vishwa- vidyalaya [देवी अहिल्या विश्वविद्यालय] (DAVV) Indore se manyata prapt hui hai, D-Vick Hansha Research Serve 2015 me west zone ki is institute ko 5th Rank mili thi, or indian private Law Collage ke Top-20 me isko 13 Rank mili thi,

COURSES And fees:-
  • B.A.LL.B.(HONS)-( 5 YDC)
  • B.B.A.LL.B.(HONS)-( 5 YDC)
  • LL.B.(HONS)-( 3 YDC)
  • LL.M. -(2YRS)

12th Pass karne ke baad Student yaha se Law Sambandhit sabhi Course kar sakte hai, Yani vo 
  • Bachelor of Arts and Bachelor of Laws,
  • Bachelor of Laws,
  • Master of law,
  • Bachelor of business,
  • Administration And Bachelor of Law ki Study kar sakte hai,
Indore Institute Of Law building


(1)- Bachelor of Arts + Bachelor of Law
  • (B.A.LL.B.) [owners]
  • Course Duration - 5 Years
  • Course Fees -99000Rs. Par/Year
  • Course Sheet- 120 par/courses, Full Time,
(2)- Bachelor of Law (LL.B.) [owners]
  • Course Duration - 3 Years
  • Course Fees -25000Rs. Par/Year
  • Course Sheet- 180 par/courses, Full Time,
(3)- Master of Law (LL.M) [owners]
  • Course Duration - 2 Years
  • Course Fees -25000Rs. Par/Year
  • Course Sheet- 30 par/courses, Full Time,
[Note:- SC/ST/OBC KO नियमानुसार Students ko Scholarship ki suvidha (facility) bhi dee jati hai,]

Law Smbandhit kisi bhi jankari ke liye +91 9977091777 And +91 9977019777 Contact Number par Call bhi kar sakte hai,
Indore Institute Of Law  Library

Or bhi E-mail ya kus or bhi jankari ke liye maine Indore institute of law website ki link add ki hai post ke fist Paragraph me,  aap site ki visit karke contact form me jakar e-mail send kar sakte ho ya fir dusri mahiti bhi jaan sakte ho,

Indore Institute Of Law Collage Facility 
  • 1-Library
  • 2-Wi-Fi Campus
  • 3-Audio Visual Room
  • 4-Cafeteria
  • 5-Conference Hall
  • 6-Moot Court
  • 7-Hostel
  • 8-Bus Facilities
 Indore Institute Of Law Audio Visual Room

(1)-Library

Collage me Law Smbandhit or Any book ki badi Library hai, jo puri tarah air-condition (A.C.) hai, yani yaha par student puri tarah se Study pe fox kar sakte hai,

(2)-Wi-Fi Campus

Yaha par sabhi Student ko Study, Research, or Internet ki suvidha ke liye, Laptop diya jata hai, yaha par pure Campus me Wi-Fi ki suvidha hai, jis se Student kabhi bhi apna work kar sakta hai,

(3-)Audio Visual Room

Institute me Audio Visual Room bhi hai, yaha par video (Projector) ki halp se student ko study me aasani raheti he,

(4)-Cafeteria

Collage me kafi bada Cafeteria hai, jis me khan-pan ke smbandhit sabhi tarah ki chije mil jati hai,
Indore Institute Of Law Moot Court

(5)-Moot Court

Collage me ak Moot Court bhi banaya gaya hai, jo Student ki practical knowledge ke liye hai,
Yaha par student ke liye court ka mahol taiyar kiya jata hai, or kai subject or Cases par kanuni Vaad-Vivad chalaya jata hai,

(6)- Conference Hall

Conference holl gatividhi ki ek vishesh rachana hai. ek success institute  callage mein parivartan ke prakriya nirnay lena, sanchaar, sangharsh ke sankalp aur agranee jo Conference holl main chhat ke neeche liye jate  hai, jaise ki hame kis aavashyakata hai. Conference baithakon ke tahat, vibhinn tareeke aur takaneek vyaktigat pradarshan aur collage utpaadakata mein sudhaar laane ke lie charcha hoti hai,

(7)-Hostel Facility:
  1. Facility-Dining Halls
  2. Medical Aid
  3. Residential warden. 
  4. 24/7 Security
  5. Entertainment facilities
  6. Wi-FI Campus
(8)-Bus Facilities

Indore Institute of Law Student ke liye buses provides kar rahe hai, Students ke liye pick-up our drop best facility de rahe, Jyada jankari ke liye  Institute ki website par visit kare Indore Institute Of Law
 Indore Institute Of Law Bus Facilities

(1) Use full Links:-
  • -Law Journal
  • -Syllabus
  • -Internship
  • -Publications
  • -Infrastructure
  • -Career Opportunities
  • -Anti Raging
  • -Lex Bonanza
  • -Results
(2) Society:-
  • -Election Commission
  • -Moot Court
  • -Online & Media
  • -Literary
  • -Sports
  • -Event Management
  • -Placement
  • -Alumni Society
  • -Legal Aid Society
Indore Institute Of Law Class Room
(3) AMENITIES IIL:-Institute Facility
  • -Library
  • -Wi-Fi Campus
  • -Audio Visual Room
  • -Cafeteria
  • -Conference Hall
  • -Moot Court
  • -Hostel
  • -Bus Facilities

(4) Hostel Facility-


  • -Dining Halls,
  • -Medical Aid,
  • -Residential warden,
  • -24/7 Security,
  • -Entertainment facilities
  • -Wi-FI Campus

(5) Library Services:-


  • -Book Circulation Service'
  • -Reference service / Referral Service,
  • -Journals & General magazine section,
  • -Newspaper section,
  • -Web OPAC / Bibliographic service,
  • -Online Access to e-resources,
  • -E-VIDYA Digital Library service,
  • -Inter Library Loan / Document,
  • -delivery service (through DEL NET)
  • -Repro graphic services,
(6)-Contact use And Address:
Rau Pithampur Road, Opp. IIM, Indore (M.P.)
 Phone: +91-9977019777, 9977091777
Read More

Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake

3/25/2019 0

Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake-Tips 

Telephonic-Interview with girl

Telephonic Interview  Hindi Tips

Sabse Hard work ho, to Telephonic Interview hai, usko khas karke sabse  mushkil Mana jata hai, America ke "D-Survey methods Centre At Social And Community Planning Research" (SCPR) Ke Director Roger Thomas and Researcher Doctor Susan Purdon Batate hai, ki is tarah ke interview se Candidate ki Knowledge ke shath Attention or Behaviour ka bhi pata lagaya jata hai, Bas to aaj me isi topic ke baare me baat karungi, To chale Ham baat karte hai.

Telephonic Interview Ko Aasan kaise Banaye-7 Tips



(1)➧ Mentally taiyar Rahe,
Telephonic Interview ke liye Apne Aap ko hamesha taiyar rakhe, kyu ki kabhi bhi aa sakata he interview ke phone, Mind ko interview ke liye taiyar rakhe, shth hi any Logistics  taiyariya bhi karke rakhe, aise interview ke dauran apke mobile ya phone ka sahi work hi Bahut jaruri hai,

(2)➧ Puri Tarah Fox Rahe,
Aise interview ke dauran Fox rahena behad jaruri hai, Darasal, Telephonic interview ke dauran aapke aaspaas kisi tarah ka Disturb ho sakata hai, jiski vajah se aapka dhyan bhatak sakata hai, aise me mind ko puri tarah interview ki baato me lagana chahiye, aap jitane foxes honge itana jyada fayada aapko milega,

(3)➧ Puri Baat Sunne ke Baad Hi Bole,

Interview dete vakht khas impotent baat hai ki jab interviewer aapse koi Question puchh raha ho tab Aaram se or pura sune, kai baar candidate bich me hi Sawal ko katkar Answer dena saru kar dete hai, is se interview ka Flow bigad sakata hai, or interviewer ka temperament  bhi, Candidate ka Best listener hona bhi bahut jaruri hai, Baat-chit karte vakht aapko apni Voice विनम् or Slow स्वर ki rakhni chahiye interviewer ko aisa na lagna chahiye ki aap us pe havi hona chahte hai,



(4)➧ But, No Jaise Word Ko Use Na kare 
Aise Candidate jo fist baar Telephonic interview deta hai, Aksar vo But, No, Lekin, Matalab Jaise word ka istemaal bahut jyada karte hai, Ye word aapko Negative Batate hai, or is se Interviewer par galat Asar hota hai, aise word ke use karne se bache varna aisa lagata hai ki Candidate me Confident nahi hai, isliye apni baat-chit ko aaram se sune or kahe, right word ka hi use kare,

(5)➧ Interview se Fist Research Kare,

Interview ke dauran interviewer kya puchhege? Ye sawal aksar candidate ko paresan karata hai, aise me jaruri he interview ke call aane tak time rahete apne course se juddi Study ke shath company ke baare me puri research kar le, interview ke vakht company ki jankari interviewer ko impress kar sakati hai, iske liye company ki website or us company me aapka koi senior  ya parichit hai to aap unki help le sakate ho, Interview dene se pahele research kare ki interviewer kya sawal puchege, kon sa sawal puchhege, kis tarah ke sawal pusege,

(6)➧ Common Question Ke Liye Taiyar Rahe 


Interview kaisa bhi ho lekin ak kai question common hote hai, aise me ye common sawalo ke liye taiyar rahana bahut jaruri hai, to aapke liye maine kus common interview question jo sabhi interview me puche jate hai, vahi ...
  • kya is job ke liye aap kahi bhi ja sakte hai?
  • is job ke liye aapko travel karana bhi pad sakata hai?
  • is job ko lekar aapko kyu दीलचस्पी hai?
  • ham aapko job dete hai to aap kab se Join kar sakte hai?
  • Salary kitni Longe?
Telephonic interview khatm hone par aapko interviewer Thank you bolne ke shath HR ki Official e-mai id par thank you ka mail bhejana chahiye, is se bahut archa impact pad sakata hai,

(7)➧ Interview ko Record bhi kare 

Telephonic interview ke dauran aapke mobile phone me recording ka App ho to use start karde, or baad me use sune, aisa karne se aapko apni galatiya samaj me aa jayegi, is se aage ki taiyari karne me help milegi, or aapko pata chalega ki aapne kaha pe mistake  ki hai, or aap use dusri baar sudhar sakate ho,


Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite kare-sanju
Read More

5 Part-Time Jobs Ghar Baithe Kama Sakte Hai 10,000 Se 15,000 Monthly

3/25/2019 19

5 Part-Time Online/Offline Jobs Ghar Baithe Kamaye 10 Se 15 Hajar Rupaye Mahine

Yadi Aap Ghar Baithe Extra Earning Karna Chahte hai To Part-Time Job ke Options Ki Kami Nahi Hai, Daily Sirf 3 Se 4 Hours ka time Dekar Aap Part Time Job Ke Jariye Mahine Me 10,000 Se 15,000 Rupaye Tak ki Kamai Badi Aasani Se Kar Sakte Ho, Yadi Aap Jyada Time De Pate Hai To Mahine me 20,000 Rupaye Tak ki Income bhi Ki Jaa Sakti Hai, Ham Aapko Aise Hi Kus Popular 5 Jobs Ke Baare Me Bata Rahe Hai, Jo Truthfully Hai, Or Aap archi income bhi pa Sakte Ho, Aapko Pasand Aaye To Aap Try Kar Sakte Ho, 
Part-Time Online/Offline Jobs

(1)-Data Entry Job

Part-Time me Offline Data Entry Ki Job Aap Kar Sakte Hai, Isme Companies Aapko Online Data Provide karvati hai, is Data Ko 'MS Wold' me Type karke Vapas Companies ko Bhejana Hota Hai,

Kya Honi Chahiye Skills?
Is Work ko Karne ke Liye Aapko English Typing Aana Chahiye, Iske Alava MS Wold, Computer Ka Basic Knowledge bhi Hona Chahiye,

(2)- Form Filling Job
Yah Job Bhi Aap Ghar Baithe Hi Kar Sakte Ho, Is Job Me Aapko Form Me Details Fill Karni Hogi, yah Detail Or Form Online Hi Send Kiye Jaate Hai,

Is Job Ki Skills:
Is Job Ko Karne Ke Liye Aapko Computer Ka Basic Knowledge, internet Surfing Or Website ko Open Karna Aana Chahiye.

(3)-Online Ad-posting Jobs

Is Job Me Aapko Companies ke Ad Alag-Alag Classified Websites Par Post Karne Hote Hai, Aap Jitane Jyada Ad Post Karte Hai, Utana Jyada Payment Aapko Milata Hai, Ye Job Aap Kahi Se Bhi Kabhi Bhi kiya Jaa Sakta Hai,

Is Job Ke Liye Jaruri Chije
Is Job Ko Pane Ke Liye Aapke Pass Computer Ya Laptop Hona Chahiye, Jisme Internet Connection Ho. yadi Aapke Pas Yeh Chije Nahi Hai to Aap Cyber Cafe me Bhi Kus Ghante jakar Aap Yah Job Kar Sakte Ho,

(4)- SMS Send Karne Ki Job:

Companies Apne advertisement Message ke Jariye bhi Karvati Hai, Apne Product ko Jyada Se Jyada Logo Tak Pahuchane ke Maksad se Mobile Users Ko Related Product ke SMS karvaye Jaate Hai,

Iske Liye Aise Logo Ki Jarurat hoti Hai Jo Product Ke Message Ko Users Ko Send Kare, Part-Time Income Ke Liye Free Time Me Aap Ye Kaam Bhi Kar Sakte Ho,

(5)- Copy-Pest Karne Ki Job

Isme Companies Ke Liye Aapko Ad Post Karne Hoge, Alag-Alag Classified me Aap Jitane Jyada Ad Pest karege, Utani Income Aapki Hogi, is Job ke Liye Kisi Tarah Ki Skills Ki Jarurat Nahi Hai,

Aapko Sirf Internet Surfing Aana Chahiye, Aapke Computer ya Laptop me Internet Connection Hona Bhi Jaruri Hai,

In Websites Ke Jariye Mil Sakti Hai Job:



Is Website ki Top Blog Posts:

Ad Clicking Jobs
Data Conversion Service
Fastest Data Entry Work
Accuracy In Data Conversion
Data Entry Skills
Responsibilities of Data Entry operators

Pages:

Earn Money Online
Email Reading Jobs
Freelance Jobs
Government Jobs
Home Based Business
Home Business Ideas
Make Money Online
Online Surveys
Proofreading Jobs
Student Jobs
Weekend Jobs
Work from Home

Aise Or Bhi Bahut Sari Websites Hai Jo Is Tarah ki Job Kar Rahi Hai, Job Dhoodhne ke Liye Aap Internet par Bhi Or Website Search Kar Sakte Ho,

Ye Bhi Padhe➥
TWITTER ACCOUNT SE BHI 5 TARIKE SE KAR SAKTE HO UNLIMITED INCOME

GHAR BAITHE DESIGN KARE OR BECHE LOGO, HAR MAHINE HOGI 1 LAKH KI KAMAY

APP DEVELOPER KAISE BANE APNI SKILLS KO DEVELOP KARKE- CAREER TIPS

TOP 9 WEBSITE SE COMPANIES KI FEEDBACK DEKAR HAR MAHINE KAMAYE 30,000

WORLD KI TOP 5 WEBSITES KE SATH APNE PASAND KA KAAM KARKE KAMAYE HAR GHANTE 500

ONLINE SURVEY KI TOP 10 WEBSITE MILTE HAI SABSE JYADA PAISE, EARNING 1 LAKH.

YOUTUBE CHANNELS SE MONTHLY LAKHO ME INCOME KAISE HOTI HAI?

YOUTUBE VIDEO DEKH-KAR HAR MAHINE KAMAYE 30,000 RUPYE

PART TIME JOBS KE 9 BEST OPTION 1,HOUR ME 2,000 RUPAY KAMAYE

JOB INTERVIEW ME FAIL HONE KE 5 MOST REASONS

GHAR SE HI KARE PART TIME JOB, IN 10 WEBSITES SE KAMAYE 15000 MAHINA

EXTRA EARNING KE LIYE 5 BEST PART-TIME JOB / KAHA MILEGI JOB?

5 PART-TIME JOBS GHAR BAITHE KAMA SAKTE HAI 10,000 SE 15,000 MONTHLY

DOWNLOADS KARE 6 BEST MOBILE APPS OR KAMAYE PAISE

ONLINE EARNING KE TOP 10 IDEA JO BADAL DENGE AAPKI LIFE,

IN 5 FREE APPS KO INSTALL KARE, KAMAYE DATA OR PAISA
Read More

Students ke Education Career ka Best Parts Collage Life Ke Baad Ki 5 Situation Tips

3/25/2019 4

Students ke Education Career ka Best Parts Collage Life Ke Baad Ki 5 Situation Tips

Student collage life photos

Ye post aise Student ke liye hai jo collage life ke aakhri deeno me hai, Or Aap bhi ko collage life ke baad me student ki situation kya hoti hai iske baare me janna chahte ho to ye post jarur padhe, Har Students ke Education Career ka Best Parts Collage Life hoti hai, ye to aap sab jante hi hai, or aap sab ye bhi archi tarh se jante hai ki collage life ke 2 se 3 years ke time me study ke shath shath masti, new friends, party, ghumna, firana, or bahut sare reason ke bich me degree kab puri ho jati hai uska hame pata hi nahi chalata, our un yaado ko bahut miss karte hai, fir collage ki padhai puri hone ke baad hi hamare samane ak sawal aa jata hai, our vo sawal hota hai AB AAGE KYA KARE YAAR? (jaruri nahi ki ye sawal sabhi ke samane aate hai)

To aaj me aisi hi situation ke baare me baat karungi, to chale baat karte hai ham, kon si situation collage life ke baad, student ke samane khadi ho jati hai jab student collage se pass-out hota hai,

Collage Se Pass-Out Hone ke Baad Aage Kya our kya Situation Aati hai

  • Study Stop, Horror Movie Start:
  • Cool Rahkar Decision Le- Sirf Aap Akele Nahi hai,
  • Collage Pass-out ke Baad Bhi Planning nahi karna,
  • Masti Ke Shath Planning Bhi Important,
  • Khud se Decision Lena bahut jaruri.
Student ki Collage Life Ke Baad Ki Situation

(1) Study Stop, Horror Movie Start:
Collage ke study dauran hi kus student ko placement mil jata hai, to dusri taraf kus student ko degree pury hone ke baad turant job mil jati hai, Lekin jyadatar student aise hote hai jin ke pass aage ka koi plan nahi hota, to aaj ka main topic yahi hai,

Ak baat jahir hai ki jab student ke pass aage ka koi plan nahi hoga to parents ko bhi tension to hogi na! Lekin student ki tension use vakht or bhi badh jati hai jab koi Relative ya to padoshi aapke Features plan ke baare me pusta hai, tab ak ahesas hota hai ki "Ab Life me Horror Movie Start Ho gayi hai" Or Bahut sare student in sabhi sawalo se bachane ke liye Ak rasta nikal leta hai or keh dete hai ki Master degree ya to aage badhana chahte hai,

Student Collage life

(2) Cool Rahkar Decision Le- Sirf Aap Akele Nahi hai,
Collage Life puri hone ke baad aise student jinke paas koi job offer ke Features plan nahi hai, to ak baat yaad rakhiye ki isme sirf aap akele hi nahi hai, lekin aapke shath bahut sare our bhi student hai, bahut sare students aise bhi hote hai jisko arche marks nahi mile hote, Iski vajah se vo sab jagah job ke liye apply nahi kar pate hai, halaki kam marks aane se kai darvaje aapke liye band ho jate hai ye baat sach hai, lekin aapke liye khidkiya to hamesha khuli hi raheti hai, to bas ak baar khidaki se pravesh karlo darvaje apane aap khul jayege, bas jaruri hota hai sirf cool rahkar design le,

(3)-Collage Pass-out ke Baad Bhi Planning nahi karna

Collage ke pass-out hone ke baad aise student jiske pass aage ki planning nahi hoti hai jyadatar problem usi ke shath hi hoti hai, khas kar ke aise student ka koi perfect Decision nahi hota, or nahi koi ak plan hota, or vo kisi ak subject pe focused nahi kar pate hai, matlab ki aise student ka mind focused nahi hota, ye padhkar bhi kus karke aaye hai, or karana bhi kus our chahte hai, our mind me bhi kus our hi hota hai, vo sochte hai ki me film maker ban javu, comedian ban javu, ya to fir dono kaam sharu kar du, ya to isi tarah ki dusri baate sochte hai, in sab ke bich sochne me hi speedy samay nikal na sharu ho jate hai our vo sochata hi raheta hai, our ak 1 years ke baad hajaro-lakho students pass ho kar competion or jyada tuff kar dete hai, our is tarah se student ke man me dar baithane lagta hai,

(4)-Masti Ke Shath Planning Bhi Important

Yadi Aap ki age 20 ke karib hai our aap collage se Graduation kar rahe ho, to aane vala years aapki life ka sabse best years hoga, halaki, ye vo time hota hai jab masti-majak ke shath sath apne study pe bhi series hona bahut jaruri hota hai,
Shath me apne features planning me bhi focused karna hota hai, ye aisa samay hota hai jab aapke paas apne drama pura karne ka mauka hota hai, Life me shayad is se bahetar mauka dusri baar kabhi milata bhi nahi hai, is time pe kus student relationship me bhi bandh jate hai,

(5)- Khud Se Decision Lena Bahut Jaruri

Collage se pass hone ke baad yahi nahi sochna chahiye ki aapke relative our padoshi kya sochte hai, our parents ke man me kya hai, is se koi ferk nahi padata, aise me aapko kya karna hai is baat ka Decision khud ko hi lena chahiye, iska control kisi dusre ke hath me na de, halaki ye itana Aasan nahi hota, features ke baare me sochne se kai student dar jate hai, to aise me apne personal experience ke adhar pe is baat ki planning karni chahiye ki aap me vo power (samata) hai jise aap aasani se dhik kar sako, ab aapke liye aisa time aa chuka hai jab bahut sari alag-alag job ke liye Apply karna hai,


Job, Interviews, Study, Education, Ke baare me Padhana chahte ho to Niche ki Link Open Kare,

Read More

12th Ke Baad Student Kis Field Me Career Banaye

3/25/2019 0

12th Ke Baad Student Kis Field Me Career Banaye-Hindi Me.

IT Sector me -Best Carrier Options

In Courses Se Bana sakte hai Student Apni Bast Career.

Life me Success hone ke liye 'Right Time pe Right Decision' lena bahut jaruri hai, Khas karke 12th ke baad Students kiss field me aage badh raha hai, ye bahut impotent hai, Software Company NASSCOM  (National Association of Software and Services Companies) ka manna hai ki IT Sector me in Deeno, siddhe tuar par 3.5-Million or any Madhyam se 10-Million se jyada logo ko Rojgar de raha hai, Yani ki Aap IT Sector me aage bathate hai to Kamyabi ka chance 100% raheta hai,



IT Sector Me -Best Career Options

Information Technology(IT) ke Field do (2)-hisse (part) me Software And Hardware me Divide hai, aise me is field me Career banne ya aage bathne se pahele ye select karana bahut jaruri hai ki Student ke liye best option kya hai

Software Field:

  • Programming
  • App Developer
  • Software Developer

Hardware  Field:

  • Hardware
  • Networking

Software or Hardware me jamin-aasman jitana fark hai, aise me in field me aage bathne se pahele ye baat Clear honi chahiye ki Student kya bahetar kar sakata hai, Halaki, Job ki guaranty Dono hi Field me Dusre field ki compare me bahut jyada hai, Ak Serve ke mutabik 2020 tak IT Field me Job ke Chance 100% hone vale hai.

Software field Me Job And Salary:

Software Field me job option ki baat kare to is me bahut sari  job uplabdh hai, lekin inme jyadatar programing ki Knowledge honi chahiye, Isliye Student ke paas B.E Computer Science, B.Tech, BE IT, MCA, BIT ki Degree ya Language Courses ka Diploma Hona bahut jarury hai,

Software Field Job and Salary information: -Job And Salary


  • (1)Fount-And Developer - Yearly Package: Lagbhag 6 Lakh Rupay tak
  • (2)Software Developer -Yearly Package:  6.25 Lakh Rupay tak
  • (3)UI/UX Designer - Yearly Package: 6.50 Lakh Rupay tak
  • (4)Java Developer - Yearly Package: 6.70 Lakh Rupay tak
  • (5)Software Engineers - Yearly Package: 6.80 Lakh Rupay tak
  • (6)Mobile Developer - Yearly Package: 6.80 Lakh Rupay tak
  • (7)Data-Base Engineers - Yearly Package: 6.80 Lakh Rupay tak
  • (8)Mobile Engineers - Yearly Package: 7.20 Lakh Rupay tak
  • (9)DevOps Engineer - Yearly Package: 7.40 Lakh Rupay tak
  • (10)Software Architect - Yearly Package: 8 Lakh Rupay tak


IT Sector me -Best Carrier Options

IT Sector, Hardware Field - Job and Salary information:

Hardware ke bhi Do part Hardware And Networking me Divide hai, Hardware me Computer, Mobile, ya kisi Any Electronics Product or unke Parts ki Manufacturing ki jati hai,
  • -Motherboard
  • -Ram
  • -hard Disk
  • -Processor
  • -Circuit Board
  • -Modem ya Any Parts

Hardware me do type ki Job hoti hai, (1)-ak jo ye Manufacturing karte hai vo or (2)-dusre jo inhe Repair karte hai vo, yadi aap Manufacturing ko best tarike se samaj sakte ho to or aap is unit ke kisi bhi parts me join karle to aapko Starting Package me 4 se 5 Lakh Rupay tak mil jata hai, or dusri khas baat ye hai ki ye profession me jaldi hi 15 Se 20 Lakh Rupay Yearly ya unse bhi kahi guna jyada Salary ho jati hai, Dusri taraf, jo log Repairing ka kaam karte hai vo bhi Aasani se Monthly 40,000 se 50,000 Rupay tak kama sakate hai,



IT-Networking me Job And Salary, Information

Networking kise kahte hai?
Do(2) ya unse bhi jyada Computer, Printer, Server ya Any device ko aapas me jodana, use Networking kehte hai, Networking ka sector lagatar bathta ja raha he, Small office se Lakar Malty-National Company, School, Collage, Government Sector sabhi jagah pe Networking ka kaam hota hai, aise me is Sector me Jobs ka chance jyada rahta hai,

Starting me Networking Jobs me 5 se 6 Lakh Rupay Yearly Package Aasani se mil jata hai, or Jaise-Jaise Aapka Networking Expressions bathata jata hai, vaise Aapki yearly package bhi 10 se 15 Lakh tak pahuch jati hai,

IT-Networking Jobs: 
  • -Computer / Network Sports Technician
  • -Information Technology (IT) Manager
  • -Network Administrator
  • -Network Engineer, IT
  • -Network Specialist
  • -Network Sports Engineer
  • -Senior Network Engineer
  • -System Engineer (Computer Networking / IT)
Kaha Se kar Sakte Hai Software And Hardware Ka Courses

Software ki Study ke liye B.Tech, BE, BCA, BIT or inki Master Degree ke shath kai Language Courses ke Diploma bhi hote hai, Computer Science or Information Technology ki Study me Programing shikhai jati hai, or dusri taraf Hardware ko lekar filhaal koi Degree ya Courses nahi hai,

Halaki, kai Institute 6-Month or 1-Year ka Diploma Courses karate hai is Institute me Hardware ke shath Software ki Study bhi shikhai jati hai,

Networking ke Courses:
  • -Certificate Course
  • -InterNational Stratification 
  • -Hardware And Networking Diploma

Read More