Top 10 Programming Languages Courses Sikhe 4 Month Me Job Ki Guaranty ke Sath.
Friends, Computer se juddi bahut sari programming languages hai, jinhe shikh kar Lakho rupay kamaya ja sakta hai, Aaj ki post aise student ke liye hai jo Computer me jyada interested ho, vo programming languages shikh kar aasani se job hasil kar sakte hai, inme sabse khas baat ye hai ki ye sab languages courses aap 3 se 6 month me shikh sakte ho, to Aaiye ham baat karte hai Top 10 Programming Languages ke baare me
Top 10 Programming Languages of the Future
- (1) Programming Languages-Cascading Style Sheets(CSS)
- (2) Programming Language-Visual Basic
- (3) Programming Language-JavaScript
- (4) Programming Language-C
- (5) Programming Language-PHP
- (6) Programming Language-Java
- (7) Programming Language-Python
- (8) Programming Language-Ruby
- (9) Programming Language-Objective-C
- (10) Programming Language-Perl
Best Programming Language To Learn for Jobs
(1) Programming Languages-Cascading Style Sheets(CSS)
CSS ka matlab hai Cascading Style Sheets, is languages ka istemal website ke format or Layout Designing me kiya jata hai, jyadatar website or mobile Apps ke manu CSS Coding se likhe jate hai, Javascript or HTML ke shath CSS ka bahetar tarike se istemal kiya ja sakta hai, CSS ke Shath HTML or JavaScript ka course bhi karna hota hai,
Learning Time: 3 Se 6 Month
Monthly Income: 8 Se 10 Hajar
(2)-Programming Language-Visual Basic
Visual Basic Language ko Microsoft ne Develop kiya hai, Visual basic language programming ko aasan banane me programmers ki help karti hai, is me Graphic Alignment diya gaya hai, jise drag or drop karke programmer Program me kus badlav kar sakta hai, halaki company ise band kar chuki hai, Lekin iski jagah 'Dot Net' Aur C-Sharp ka update Course kar sakte hai,
Learning Time: 3 Se 6 Month
Monthly Income: 7 Se 10 Hajar
(3) Programming Language-JavaScript
(3) Programming Language-JavaScript
JavaScript ka istemal web apps banane me kiya jata hai, aapko bata du ki ye Java Aur Script dono me name ke alava kus bhi common nahi hai, dono hi Language ak dusre se bilkul alag hai, Modern Web banane me Javascript ka istemal kiya jata hai, halaki, kai baar website ke slow Browsing ki vajah se java-script ki namoshi (Aalochana) bhi hoti hai, kyu ki website pe jyada java-script ke using se site ki browsing speed slow ho jati hai, Aur iski vajah se jyada java-script use nahi kar skte hai, JavaScript ke shath HTML OR CSS ka course bhi karna padta hai,
Learning Time: 3 Se 6 Month
Monthly Income: 8 Se 10 Hajar
(4) Programming Language-C
(4) Programming Language-C
Programming Language-C, Sabse purani Language hai, aaj bhi IT company yo me "C" programmer ki sabse jyada demand hai, 'C' language ko 70 ke dashak me develop kiya gaya tha, ye language itani pasand ki gayi ki 1978 me The C Programming Language Name Ki 800 Pages ki book launch ki gyi thi, jo aaj bhi popular itani hi hai, uske baare me jaan na chahte ho to upar diye gaye link par click kare,
Learning Time: 2 Se 3 Month
Monthly Income: 7 Se 10 Hajar
(5) Programming Language-PHP
Website banane ke liye PHP bahut hi Common Language hai, WorldPress, Facebook or Yahoo jaisi company ya apni website ko banane or usko maintenance karne ke liye PHP-Languages ka istemal karti hai, PHP-Language ki jankari in sab company yo me job pane ka madhyam ban sakti hai, halaki, kai programmers hai jinhe programming language ke tuar par PHP pasand nahi hai,
Learning Time: 3 Se 6 Month
Monthly Income: 8 Se 12 Hajar
(6) Programming Language-Java
1991 me programming Language ke taur par Java ko banaya gaya tha, Oracle company ne Java Language ko Smart Tv me istemal ke liye develop kiya gaya tha, Java aaj duniya me sabse jyada popular programming Language hai, IT Sector me Java Language ki sabse jyada demand hai, mobile apps ko banane me bhi java ki aham bhumika hoti hai, iske shath android application sikhne par jyada fayada milata hai,
Learning Time: 3 Se 6 Month
Monthly Income: 10 Se 12 Hajar
(7) Programming Language-Python
Python ko 1989 me develop kiya gaya tha, iske coding read karne me kafi Aasan hoti hai, is liye developers is programming language ko kafi pasand karte hai, kai programmers ka kehna hai ki ye programming language shikhne or programming ki saruaat karne valo ke liye ye sabse aasan language hai,
Learning Time: 4 Se 6 Month
Monthly Income: 20 Se 30 Hajar
(8) Programming Language-Ruby
Programming ke liye banai gayi Language-Ruby 24 years purani hai, iske code likhane or yaad rakhne me aasan hai, ye web apps banane me istemal ki jati hai, is Language ka official Moto hi hai, programmer ka best friend.
Learning Time: 4 Se 6 Month
Monthly Income: 20 Se 30 Hajar
(9) Programming Language-Objective-C
C-Programming Language ki success dekh kar, esi se milte-julate name vale kai Language develop ki gayi, Language-Objective-C bhi inme se ak hai, is Language ka istemal iPhone ke apps banane me kiya jata hai, halaki, apple Objective-C ke shath hi company dvara banai gayi Language ka bhi apps banane me istemal karti hai,
Learning Time: 4 Se 6 Month
Monthly Income: 20 Se 25 Hajar
(10) Programming Language-Perl
Is Programming Language ko 80 ke dashak me NASA ke ak engineer ne banaya tha, Perl ka istemal 'Text Processing' me kiya jata hai Programming Language ke tuar par ye powerful or istemal karne me bhi Flexible or aasan Language hai,
Learning Time: 4 Se 6 Month
Monthly Income: 20 Se 30 Hajar
HindiLoveTips Ki Top-10 Education, Make Money Post»
- (1)-12th Ke Baad Student Kis Field Me Carrier Banaye
- (2)-Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake
- (3)-20 English Words: Writing And Speaking me Hoti Hai Mistake
- (4)-Law Study Ke Liye Best Option Indore Institute Of Law
- (5)-Mahila E-Haat Entrepreneur Direct Online Marketing Platform
- (6)-Job Interview Me Jaane Se Pahle 5 Common Hindi Tips
- (7)-Online Earning Ke Top 10 Idea Jo Badal denge Aapki Life,
- (8)-Job Interview Me Fail Hone Ke 5 Most Reasons
- (9)-Part Time Jobs Ke 9 Best Option 1,Hour Me 2,000 Rupay kamaye
Hi friends aapko post se kus halp mili ho ya pasand aayi ho to Like, Share, and Comment jarur kare.