Job Interview Me Jaane Se Pahle 5 Common Hindi Tips.
Job Interview Me Heartbeat Control Karne Ke Liye Kya Kare-5 Hindi Tips
Job Interview Face Karne Ka Naam Sunte hi kai logo ki dil ki dhadkane bath jati hai, is liye Kai baar योग्य Candidate's bhi Selections se baahar ho jate hai, Dil ki dhadkano ko kabu me rakha ja sakta hai, agar hamko pahle se malum ho ki ham kis tarah ke interview face karne ja rahe hai, to friends aaj me yahi batane aayi hu ki Job Interview Me Heartbeat Control Karne Ke Liye Kya Kare, Interview me ab kahi tarah ki Category shamil ho gayi hai, chalo dekhte ha kitani or kaisi Category me interview liye jate hai, or kis tarah se interview liye jate hai, Fist ham baat karte hai....
Alag-Alag 5 Tarike Se, Liye Jaate Job Interview ke Baare me,
- (1)-Telephonic Interview
- (2)-Video Interview
- (3)-Panel Interview
- (4)-Group Discussion Interview
- (5)-One-To-One Interview (Face-To-Face Interview)
(1)-Telephonic Interview
Is tarah ke interview me Interviewer Candidates se Telephones par hi baat karta hai, Halaki, ye jyadatar aise Candidates ke shath hota hai, jo pahle se job me ho, or use Kus years ke expiration ho, Telephonic interview me kus jyada saval-javab nahi puchhe jate,
Telephonic Interview Me Heartbeat Control Karne Ke Liye Kya Kare?
- Aise Jagah par hi Interview de jaha shanti ho,
- Interviewer se khul kar baat kare,
- aisa karne se aapka Confidence bathega,
- Heartbeat kam hogi,
- Aise time pe aap ak lambi sanse (सांस) le, isme bhi archa fayada hota hai,
[Note:- Telephonic Interview Ke baare me maine ak post bhi share ki hai, isme puri jankari di gayi hai, aap ne agar nahi read ki he to fist is post ko read kare Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake ...]
(2)-Video Interview
Is tarah ke interview me Interviewer Aapse kisi TV, ya Monitor, yaha tak ki badi screen vala smart phone or Tablet par bhi baat kar sakta hai, or halaki, video Interview ka duar teji se bath raha hai, is Interview ko Spaic's, Face time, ya fir youtube, Video Conference ke jariye liya jata hai,
Video Interview Me Heartbeat Control Karne Ke Liye Kya Kare?
- Kisi aise Cyber Cafe me jakar interview de Jaha par A.C. Laga ho,
- ye na ho sake to apne ghar ke camre ke akaant me bath kar inetview de, taki koi aapko disturb na kare,
- Screen par hamesha interviewer se najare milakar hi baat kare,
- Isme Confidence bathega, or dhadkane kam hogi,
- Agar aap Smart Phone ya Tablet me se interview de rahe to Stand ka istemaal jarur kare,
- is se aapka hath thak na jaye or confidence bana rahe or eye-contact bhi ho sake,
- Baat-Chit ke dauran body ke movement na karte hua hatho ka movement kare, aisa karne par aapka pressure Realise hoga,
(3)- Face-To-Face Interview
One-To-One Interview ko Face-To-Face Interview bhi kaha jata hai, interview ka ye sabse purana Pattern hai, or Difficult bhi, jyadatar office me HR ya kisi or Person se is tarah ke interview liya jata hai,
One-To-One Interview Me Heartbeat Control Karne Ke Liye Kya Kare,
- Mind ko Interview me Direct kare or Kus Archa soche,
- Interview me kya hoga iske baare me pahele se Na soche,
- Interviewer ke samne Cool rahkar baat kare, aisa karne se confidence bathata hai, or HeartBeat kam hoti hai,
(4)- Penal Interview
Penal Interview ko sabse Difficult Interview mana jata hai, is Interview me ak Candidates se kam-se-kam 3 ya jyada log ki penal sawal pusti hai, UPSC Ki Exam ke dauran isi tarah ke Interview hote hai, isme kai alag-alag Subject ke Expert ak shath baithte hai,
Penal Interview Me Heartbeat Control Karne Ke Liye Kya Kare,
- Penal Interview me Cabin me jaane se pahle uske baare to bilkul na soche,
- Penal me jo Interviewer aapse Sawal puchh raha hai, uska answer sirf usi ko dekhkar hi de, is se aap me Confident bathega,
(5)- Group Interview
Penal Interview ki tulna me Group Interview ak-dam ulta hota hai, yaha par kai candidates ke Interview ak shath liye jate hai, aise Interview me jyadatar kisi ak topic par group me discuss karai jati hai,
Group Interview Me Heartbeat Control Karne Ke Liye Kya Kare,
- Khud ko Dusre se Baraabar ya us se bhi upar samje,
- Yadi aapko kisi sawal ka jawab nahi aata to dusre se pas kar de,
- Aisa karne se aapka confident Loos nahi hoga,
- Group discuss ke dauran jo bhi aapko pata hai vo bol de, ye na soche ki ye galat to nahi hoga na?
Job Interview Me Jane Se Pahle Follow Kare Ye 4 Impotent Common Tips
- Voter Ki Bottle hamesha Shath rakhe, interview me jaane se pahle aksar gala shukh jata hai,
- Exam se judde sabhi document, Certificates shath lekar jaye,
- Apne pass Pen or Notepad Rakhe, dimag me kus aata hai to use Note-out jarur kare, kai baar aisa hota hai ki likhi hui baato se interview me kafi help milati hai,
- Apna CV or Interview Later hamesha shath lekar jaye,
- 12th Ke Baad Student Kis Field Me Carrier Banay
- Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake-Tips
- Law Study Ke Liye Best Option Indore Institute Of Law
- Job Interview Me Fail Hone Ke 5 Most Reasons
- Part Time Jobs Ke 9 Best Option 1,Hour Me 2,000 Rupay kamaye
- Top 10 Programming Languages Courses Sikhe 4 Month Me Job..
Note : Aapko ye Interview ke Baare me Post Kaisi lagi Or Post Se Kus help mili ho, ya Pasand ayi ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein And Thanks To Visit Hindi Love Shayari-Sanju