Hindi Love Tips: Internet Tricks

Hot

Showing posts with label Internet Tricks. Show all posts
Showing posts with label Internet Tricks. Show all posts

May 09, 2025

Free Me Website Kaise Banaye? Shikhe Google Class Ki Help Se

5/09/2025 0

Free Me Shikhe Google Class Ki Help Se Website Banana-Google Webmaster Academy

Google Webmaster Academy -google class

Google Class Se Shikhe Free Me WebSite Kaise Banaye-Hindi Me


Hi Friends Hamane Aaj-Tak Relationship, LifeStyle, Hindi Love Story, SmartPhone Gadgets, Android Apps, Etc...Ke Baare Me Bahut Baate Ki, Par Aaj Me Aapke Liye New Topic Le Kar Aayi Hu, Jo "Make Money Online' Ke Baare Me Hai, Or Aaj-Kal "online make money" Article Internet Pe Kafi forums Huaa He, Or Top KeyWords Me Se Ak Hai, Khas Baat Ye Hai Ki Online make money keyword kafi purana Ho Gaya Hai, To Aaj Me Us Topic ke Baare me Baat karungi But New Topic He, Jo Google Ne Abhi abhi Saru Kiya He, or Google Ki Is Pahel Ko Worlds Ke Sare Logo Ne Uska Swagat Bhi Kiya He,

Best Tarike Internet Se Paise Kamane Ka, Google Class Se Shikhe

Friends Sach Kahu To Internet Ke Is Jamane Me Bahut Sare Log Ghar Baithe Internet Ke Jariye Paise Kama Raha Hai, Ye Baat 100% Sach Hai, Kyu Ki Isme Me bhi Shamil Hu, Muje Internet Se Paise Kamane Ka Bhut Savar Ho Gaya Tha, Aaj Se 2 Years Pahele or Pagalpan Bhi, But Meri Kamjori Samjo Ya To Mera Nashib, Kyu ki muje Internet se Paise Kamane me 2 years lage, Iske Picchhe Ak Vajah Bhi Hai, Vo mery English language  Kamjor Hone Ki vajah, Par muje Jara Bhi 'अफ़सोस'  nahi he kyu ki maine is 2 years me bahut kus shikha he, or 1 month me muje, 2 years ki mahenat ka Fal Bhi Mil Gaya,


Friends, Ab main topic pe aate hai, to Chaliye baat karte hai Google Webmaster Academy ki Baare Me, Academy me alag-alag  course Hai, Or Har Course Me 1-Hour ki Class hai, Jo Behetarin tarike se website banane Or Use Bahetarin Tarike se Chalane ki jankari Deta hai,

Google Class-Google Webmaster Academy

Google ne 'Google Webmaster Academy' Name Ke ak platform banaya hai, Academy me 22 language me Internet or website ki Barikiya Samjai jayegi, 
  • -Google Class 
  • -Website banana
  • -Website ko user friendly banana
  • -Search Friendly banana
  • -SEO Friendly Banana Shikhaya jayega, Google Class Ki Khas Baat Ye Hai ki is me koi bhi hissa le sakata hai or vo bhi bilkul free, iske alava google ne apane  विशेषझों ki video bhi google ki youtube Channel par uploads ki hai, dekhane ke liye yaha click kare

Google Class Ke Expert Aapko Kisi Bhi Tarah Ka Sawalo ka Javab Denge, Course Khatam Hone Ke Baad aapki exam bhi li jati hai, exam ak Game Ki tarah li jati he or vo batati he ki kaha pe kamiya reh gayi he, Internet Jagat se Jude Duniya Bhar ke logo ne google class ki is new pahel ko Swagat kiya he,

Note : Friends Aapko Google Class ki Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.

Read More

March 25, 2019

Youtube Channels Se Monthly Lakho Me Income Kaise Hoti Hai?

3/25/2019 0
Aaj-Kal Internet Kamai Ka Bahut Badiya Jariya banta jaa raha hai, bas jarurat hai to unki sahi jankari ki, duniya me kai aise log hai jo youtube ke jariye archi khasi kamai kar rahe hai, or majedar baat to ye hai ki isme 1rs ka bhi kharcha nahi hota hai, sirf aapke paas internet data free hona chahiye, or ak computer ya to Smartphone hona chahiye,

Youtube Channels Se Har Mahine John Kamata Hai 1.20Lakh Jaane Kaise?

Youtube cbannel eran money

Internet ke jariye bahut sare ways hai paise kamane ka, par inme se best hai youtube se paise kamane me, kyu ki isme aapko mahenat kam or paise jyada milte hai, isliye ki ak baar apne ak video youtube channel par uploads kar diya to paise kamana sharu ho jayega, iske baad aapko kus bhi nahi karna padta hai, bas jyada paise kamane ke liye or video uploads karna padta hai, and SUBSCRIBE jyada hona chahiye, iske baare me bahut sare article likh chuki hu, feer bhi kus log isko Fraud mante hai,

America me jyadatar log internet se paise kama raha he, or ham isko paise kamane me support karte hai, par india me koi is tarah ki baat karte hai to use Fraud mante hai, vahi hamari kamjori hai, na khud kus kar pata hai, nahi kisi ko kus karne deta hai, bina soche samje khud ki speech dene lagta hai, me to kehti hu ki duniya me aise koi chij hi nahi hai jo Fraud ho, Fake ko bhi Original banane ki insan me takat hai, vo chahe to Fake company se bhi fayada utha sakte hai, par hosla hona chahiye, kus karne ka, sirf sochne se kus hasil nahi hota,


Ak baat me aapse kehna chahugi, Muje aaj bhi yaad hai, ak baar facebook se offer mila tha, ki SMS Karke ghar baithe mahine kamavo 30000 Rupay or maine company ka plan 2500 me le liya, lekin jab maine payment kar di baad me pata chala ki sms se nahi balki company ka Promotions karke paise kamana hota tha, feer bhi maine 15 day me 15 hajar kama ke job chhod di thi, kyu ki is company se public ko kam or company ko 90% hissa le jati thi, mera kehna ka matlab ye hai ki har kisi offer me sabkus galat nahi hota bas iske baare me pahle jankari hasil kar le, or google ne vo sab aasan kar diya hai, ak click se hasil kar sakte ho, Aaj ki post me america ke john ki baat karne ja rahi hu,
The Report Of The Week-youtube channel owner

CNN Money Ke mutabik America ke John Youtube ke jariye har mahine 1800$ (1.20 Lakh Rupay) kamate hai, iske liye unko kahi nahi jaana padta hai, ye sab vo ghar baithe karte hai,

Youtube se kamane ke liye kya karna padta hai,

  • Youtube Par Banaye Chennal

John Ne Youtube par The Report Of The Week Name Se Channel banaya hai, is Channel par 90,899 SUBSCRIBE hai, John Is channel par kus time ke baad youtube par video uploads karte rahte hai, users ke dvara video dekhne ke badle jo ads milti hai, youtube iska hissa john ko deta hai,

John Ko Monthly Kitne Paise Milte hai?

  • Har Mahine Ki Kamai 1.25 Lakh Rupay

Youtube par "The Report Of The Week" Channal par video ke badle John ko har mahine youtube se 1500$ (dollar) yani ki 1.05 Lakh Rupay milte hai, Jabki 300 dollar (20,000Rs.) Food Reviews ke liye donations ke roop me milata hai,

YouTube par Kaise Video Uploads karte hai John?

  • Food Reviews Ki Video Uploads karte hai John

Youtube par John Big Brands ke Foods ke Review dalte hai, in foods ka review vo khud karte hai, isme "Pizza-Review, Sandwich-Review, Health Drinks-Review, Burger-Review" or dusre foods item shamil hai, apne taja reviews me John ne Burger King ke Cheetos Chicken Fries ka Review kiya hai,

Kaise Hota Hai Foods Items Ka Review

  • Big Company ke Karte Hai Food Review

Kisi bhi Food Item ke liye John Yuse Kharid kar ise Khate hai, or khane ke baad apna Feedback dete hai, John Abhi tak 600 se jyada Food Item ka Review kar chuke hai, isme KFC sahit kai big Brands shamil hai, Food review ke liye john 1940 ke Dress Sense me Video shoot karte hai, aisa karna yuse archa lagta hai,

Kis se Mil Rahi hai John Ko Takkar

  • Youtube par Food Reviews ki Kai Channel Hai,

Youtube par Food Review karne vale John akele hi nahi hai, unke channel ki tarah kai or logo ne youtube par food review ke channel banaya hai, John ko JoeysWorldTour(SUBSCRIBE-169,126) OR Daym Drops (SUBSCRIBE-679,140) Se Kadi Takkar mil rahi hai, Ye dono Channel bhi youtube par review karte hai,


Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Kare
Read More

Aapke Smartphone Ki Fingerprint Scanner Kar Sakte Hai Ye 12 Kaam

3/25/2019 0
Aaj Ke Article Me Ham Baat Karne Jaa Rahe Hai 12 Amazing Work With Smartphone Fingerprint Sensor. Smartphone User Jyadatar Fingerprint Ka Use Sirf Phone Ko Unlock Karne Me Hi Karte Hai, But Aaj Ham Janege Ki Smartphone Ki Fingerprint Phone Unlock Karne Ke Alava Dusre Kis Kaamo Me Use Kar Sakte Hai.

Smartphone Ke Fingerprint Sensor Se Phone Unlock Karne, Selfie Lene Ke Sath Hi Aise Kaam Bhi Kar Sakte Hai Jiske Baare Me Aapko Pata Nahi Hoga. Is Se Aap Phone Ko Back Karne, Screenshot Lene, Home-Screen Open Karne, Background Me Chal Rahi App Ko Show Karne Jaise 12 Kaam Kar Sakte Hai. Iske Liye Aapko Google Play Store Se Ak Free App Download Karni Hogi. Jiska Name Hai Fingerprint Quick Action. Ye Application Sirf Android 6.0 Marshmallow Aur Unse Up Ke Version Par Work Karti Hai. Isko Use Karna Bahut Hi Aasan Hai, Yah App Sirf 1MB Ka Hai. Yaha Ham Aapko Isko Use Karne Ki Full Process Bata Rahe Hai.
smartphone-fingerprint-sensor-12-awesome-works

Step-1
Fingerprint Quick Action Install Karne Ke Baad Aapko Aap Se Related Kuchh Information Dee Jayegi Inko Read Karke OK Button Par Click Kare.


Step-2
Ab Enable Fingerprint Quick Action Par Click Kare. Ye Setting Me Accessibility Me Le Jayega. Ab Accessibility Ko ON Kare.


Step-3
App Me Jakar Non Xposed Mode Setting Par Click Kare. Agar Auto Retry ON Nahi Hai To Right Par Tik Kare.


Step-4
Back Aakar Respond To Enrolled Fingerprint Only Click Karke Single Tap Action Option Par Click Kare.


Step-5
Yaha 12 Kaamo Ki List Open Hogi, Jinhe Aap Fingerprint Sensor Par Single Tap Karke Kar Sakte Hai. Kisi Ak Kaam Ko Select Kar De.


Step-6
Agar Aapne Screenshot Select Kiya Hai To Ab Jaise Hi Aap Fingerprint Par Single Tap Karege Screenshot Aa Jayea.

Dosto Ye Article Aapko Pasand Aaya Ho To Like, Share, Comment Karna Na Bhule. Thanks And Keep Visiting... Aur Bhi Article Padhna Chahte Ho To Niche diye Gaye Link Par Click Kare.
Read More

Bina Internet Ke Free Me WhatsApp Kaise Use Kare-Chat Sim

3/25/2019 2

Bina Internet Ke Free Me WhatsApp Kaise Use Kare-Chat Sim

Chat Sim Card Slot

Social Media mobile messaging app Me WhatsAap Kafi popular HuAa Hai, Website Stasista Rapport mutabik WhatsApp Ke users worldwide February 2016 Me 1-billion monthly active users the.

bina internet ke free me kaise use kare WhatsAap,

Post Ka Title Dekhate hi Ye baat aapko Fraud Lagegi, Ki ye impossible hai, Social Media mobile messaging app internet ke bina kaise chal sakati hai, Lekin Ye Baat 100% Right Hai kyu ki Ab Market me Ak New Sim Launch Huaa Hai Jiski Help se aap beena internet connection ke WhatsAap or Social media ki chuni gayi app ko free me use kar sakate ho,  Iska Name Hai, Chat Sim

Chat Sim Kya Hai?

Chat Sim Card Slot

Chat Sim Ham Jaise Idea, Airtel, Bsnal, Etc..operator Company Ke  Sim card use karte hai vaisa hi Hai, jise aap Apne Mobile phone me lagane se Beena internet connection ke WhatsApp or any ether messaging App ko free me use kar sakate ho,
Kaha Se Kharide Chat Sim
Chat Sim Card Slot

Chat Sim kharidane ke liye sabase pahele company ki Official Website www.chatsim.com par Visit kare, Iske baad By-Sim par click kare, Step Follow kare or Order Place Kare, Ye Chat Sim E-Commerce Website www.amazon.com par bhi available hai,

Chat Sim Features And Using 
Chat Sim Card Slot

Chat Sim Sabhi Smart Phone par Work karata hai, Chat Sim ko Apne Mobile ke Micro or Nano Dono Sim Slot me use kiya ja sakata hai, Chat Sim ki Help se Aap Beena internet connection se world me kahi bhi apne friends ya kisi ko bhi messaging kar sakte ho, or khas baat ye hai ki aapko Data-Roaming ki chinta karne ki jarurat nahi he, kyu ki vo pahele se Roaming free kiya gaya hai,

Chat Sim Price
  • Indian User Ke liye chat sim ki price 950Rs. Validity 1-Years.
  • Iske Alava Free me Images or Messaging use karane ke liye 950Rs. Chukana hoga,
  • Maltimedia Richarg ke Liye -950Rs.
  • Or 557Rs. Shopping Charge ke chukana hoga,
  • Kool Milakar Total-3407Rs. Aapko kharch karana hoga,
Aapko Nahi Lagata ki 1-years ke liye Ye to kus jyada hi ho gaya, is se archa to hamara internet pack hai, jo kabhi 98 me 1-GB 3G ka offer bhi deta hai, or Sabhi Site bhi open kar sakate hai, to friends meri taraf se compnay ka ye idea bakavaas, vahiyaat hai, 

Lekin ye post likhane ka mera matalab un logo ke liye hai, jo sabse jyada time Traveling me bitate hai, or social media app ka using bahut karate he,iske liye chat sim bahetar hai, 

Chat Sim Kitane Apps par Work karega

Chat Sim Se Aap WhatsAap, Messenger, Vchat, Hike, Etc..Aap ko beena internet connection me use kar sakte ho, ye Chat Sim is type ka fist sim Card hai.

Kya Ise Kharidana Sahi Ya Galat Hai,

Ise kharide ya na kharide ye aapke internet using par depend karata hai, or iske baare me maine aapko aage bhi bata diya he, Agar aap jyada samay Traveling me bitate hai, to aapko Sim Chat lena chahiye.

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.
Read More

WhatsApp New Feature Video Calling-Kaise Use Kare Process

3/25/2019 2

Android User Ke Liye Aa Gaya New Feature WhatsApp Video Calling.

WhatsApp New Feature
Whatsapp me Long Time Waiting ke baad Video Calling Ka Feature Aa gaya hai, Yani Ab Whatsapp User Voice Calling ke Sath-Sath Video Calling bhi kar sakte hai, Ye Feature Whatsapp ke BETA Version me Aaya Hai, Users Ko Video Calling Feature ko use karne ke liye Apna Whatsapp Update karna Hoga, bina Update ke is Feature Ka use nahi kar sakte hai, Sath Hi Video Call Feature Un User ko diya ja sakta hai jiska Whatsaap Beta Version se Update hoga, to cahliye friends Jante hai Whatsapp Update And Video Calling karne ki Sari Process.....

Step-1
Whatsapp Update karne ke liye Sabse pahle Play Store Se ko Open Kare,

Step-2
Ab Play Store Ke Manu me jakar "My Apps & Games" par Jaye,

Step-3
Yaha Aapko Upar Ki Taraf 'Installed' 'All' Or 'Beta' Likha Huya Najar Aayega,

Step-4
Ab Beta Par Click Kare or Whatsapp Massager ko Update kare,

Step-5
Update Hone Ke Baad Aap Jise Video Call karna Chahte ho Yus User Ke Chat box me Jaaye.

Step-6
Upar Ki Taraf Dial Symbol par Click kare, Voice Or Video ke Option Milege.

Step-7
Video Call Par Click Karte Hi Front Camera On ho Jaayega, Or Video Call Lag Jayega,



Read More

Android User Ke Liye Free 3G/4G Unlimited Internet Data

3/25/2019 4
Unlimited Free Internet

Unlimited Free Internet Data Uses ki Step-By-Step Jankari hindi me

Internet ke chalte samay me service provider ne internet ki mang ko dekh ke data pack bahut mahenga kar diya hai or din-b-din mahenga hota ja raha hai, jo aam aadmi ke liye bas ki baat nahi hai, fir bhi aaj ke young generation internet ke beena ak pal bhi nahi rah sakte hai, ab to aadat si ho gayi hai, or muje to lagta hai ki service provider iska fayada utha rahe hai, kyu ki start me 78 me 1gb data milta tha ab vo 178 me mil raha hai, vo bhi aapke number pe offer ho to varna us se bhi jyada charge lete hai, Hamari halat dhobi ke kutte jaisi ho gayi hai na internet ko ham chhod karte hai or nahi iske beena rah sakte hai, jaise ki kisi hasina ke pyar me ham pagal ho gye hai aisa haal bana diya hai internet ne hamara,

Dusri taraf dekhe to aaj kaal bahut sari free internet use karne ki tricks batai ja rahi he internet pe, Aap internet pe search karoge ki free unlimited internet kaise use kare to hajaro result aapke samne aa jayege vo bhi hindi me but us me di gayi sari tricks workout nahi karti koi kaam kar jati hai to thode din me bund ho jati hai,

Par aaj me aapke samane ak aisi tricks le kar aayi hu jo 100% workout karti hai, me bhi is trick use kar rahi hu aaj subah se or abhi tak free me hi internet use kar rahi hu vo bhi 3G, ak baat aapko bata du ki aap 2G (GSM)mode par ye tricks use na kare varna balance kategi kyu ki ye tricks Only WCDMA single ko block kar sakati hai, Isliye me aapse personally suggest  karungi ki Aap Only WCDMA Mode select karne ke baad ye tricks use kare,
Unlimited Free Internet
Aaj-kal kisi bhi work ke liye internet ki jarurat padti hai, or Full Speed Internet ke liye 3G/4G data use karana padata hai, or data pack activate karne ke liye bahut sare paise bhi kharch karna padata hai, (297=2GB 3G(1GB+1GB Night)28 Day) Itana kharcha kare bina jo hame free me internet use karne ko mile to hamara bahut sara paise bach sakte hai, to bas aaj me usi  ke baare me bata ne ja rahi hu, jo free me 3G/4G data use karne ki bahut hi aasan tricks or 100% workout hai,

Free me 3G/4G data pane ke liye jaruri chije,
  • (1)-Smart Phone
  • (2)-Smart Phone Case
  • (3)-Duct Tap
Kya hai Tricks
Tap ko katkar fold kare, or kamse-kam 4 ya 5 tukade (later) banaye, or sabhi later ko ak shath joint kar de, ise smartphone or back-cover ke bich me rakhna hai,

[Note-Ak baat ka khas khayal rakhe ki tap ki lambai (length) itani hi rakhe ki smartphone ke camera or fleas light na dhake]

Aisa karne ke baad aap Unlimited Free internet data use kar sakte hai, ye sab karne ke baad aapka smartphone Service Provider ko Data uses ka file rapport nahi send kar pata,

[Ye Tricks ThioJoe - YouTube Youtube Channel se li gayi hai, Creator ne dava kiya hai ki ye tricks 100% Effective hai- usi aadhar par ye tricks me aapko bata rahi hu, aap chaho to is youtube channel par ja kar video bhi dekh sakte ho, maine uski link Channel name par add ki  hai,]

Tricks Kaise karti hai Work
Unlimited Free Internet
Jab bhi aap koi Document Downloads karte hai  ya E-mail check, Video, movie downloads, gaming, ya website surfing karte ho tab aapka smartphone us file ko downloads karata hai, or is baat ka record rakhata hai ki is Process me kitana data use huaa hai, ise TCP Data Packet kahete hai, Downloads complete hone ke baad aapka smart phone 'TCP Data Packet' Service Provider Ke Server ko send karta hai,

Is se Server ko pata chalata hai ki aspne kitane data use kiya hai, ise File Rapport kehte hai, Duct Tap ki help se ham File Rapport ko Service Provider tak pahoch ne se rok sakte hai, aise me company ke paas aapke dvara uses kiya gaya data ke koi record nahi hoga,

Kaise Milta Hai Free Internet Data
Duct Tap par kiye gaye Research ke mutabik iska Transmission Value 0.001 hai, File Rapport Send karne ke smart phone dvara liye use kiye jane vale signal ko 99.9% block kar deta hai, Jab smart phone ka signal Duct Tap ke paas hota hai, tab Duct Tap me Sort Magnetic Filed banata hai, aisa isliye hota hai kyu ki Duct Tap ak Insulator Hai, ise 'Eddy Currents' kehte hai, ye Special Property Duct Tap or Platinum Paper me hi milati hai.

Unlimited Free Internet

Kaise Free Internet Data Check kare
Halaki, aap apna data uses ya bile tab tak check nahi kar payege jab tak aapka agal bile nahi aa jata, Duct Tap lagane ke baad aapke Smart phone me bhi data uses ka koi record nahi rahega, Aise me free data ke bare me jab tak aap sure na ho jaye tab tak limited data use kare,

Friends aapko ye tricks kaise lagi uske baare me hame comment karke bataiye, or trick work na kar rahi ho ya to or koi problem ho to comment karke bataiye me jald hi aapki problem solve karne ki koshis karungi, or aapko is trick me success ho gye to bhi bataiye ki aapne kaise kiya, Or Like and Share kare jiski vajah se ye post maximum logo tak pahoch sake or free internet ka fayada utha sake.

Ye bhi Read Kare: Hindi Love Shayari Ki Most Popular Post
Read More

Internet Ki Speed Test Karne Ki Best Application, TRAI MYSPEED APP

3/25/2019 2

Ghar Baithe Milegi Sabse Fast Internet Speed, Download Karna Hoga Government App.

Internet Speed Test Download-TRAI MYSPEED APP

Ab Aapko Slow Internet Speed ka samna Nahi Karna padega, Aap Ghar Baithe Fast internet speed ka maja le sakte hai, Aap soch rahe hoge ki par kaise? To bas, uske baare me aaj aapko batane ja rahi hu, ki internet speed fast kaise ki jati hai, vo bhi government ki free app ke jariye, to chale friends baat karte hai, internet speed fast karne ke liye aapko kya-kya karna hoga, is se pahle aapko ak baat bata du ki ye koi tricks nahi hai but government ne hi hamare liye ak app Lunch ki hai, usi ka name hai...Trai MySpeed App Friends aapko kus bhi tricks use nahi karni padegi, bas aapko is app ko google play store par se download karni hogi, Ye App Telecom Regulator Trai Ne Lunch kiya hai, Jo Aapko Kisi Bhi Location par Best Internet Speed Option Select karne Ka Mauka Deta hai,

Kisi Bhi Location par Fast Internet Speed Ka Best Option-Trai MySpeed App.

Kya hai Service?
Is Website par Click kare "TRAI Analytics" yaha se bhi internet speed test kar sakte ho, Trai ne trai myspeed app Name se portal lunch kiya hai, jisme Aapko Mobile par mil rahi  internet speed se lekar, Telecom company ki Call Drop ke Status pata chalega, yani ki Aap ghar baithe jaan sakoge ki Kon se Location par Kis Company ki service bahetar hai, iske alava aapke Aria me internet speed kitani mil rahi hai company ki 2G, 3G, 4G, par kya Speed hai, ye sab jaankari aapko TRAI ke new portal me mil jayegi,

Kaise Milegi Service? kaise Kare Download:

Kaise Kare Intenet Ki Speed Test:
Internet Speed Test Karne Ke liye Aap Mobile par Android Version ki Trai MySpeed App Download Kar sakte ho, iske liye trai ne trai myspeed app lunch kiya hai, ya to Trai ki website par jakar bhi internet speed test kar sakte ho, is app ko aap google play store android our IOS platform par se download kar sakte ho, jaha par aapko sabhi Telecom Company yo ki detail mil jayegi,

App download karke aap jis location me internet speed test karna chahte ho use search-baar me check kar sakte ho, ye App aapko ye bhi bata dega, ki aapke aria me best service kis company ki hai,

Is App se Kya Hoga Fayada?

Company ka Selection karna Hoga Ab Aasan:
Trai ki is pahel se aapko bahut bada fayada hoga, in new service se aapko company ka selection karne me aasani hogi, yani ki aap jab bhi kisi location par new Connection lena chahoge to aapke paas ye jaankari hogi ki aapke aria me kon si company ki service bahetar hai, is se aapko company ka selection karana aasan hoga,

Kaise kare Company ke Khilaf ‎Complaint?

Internet Speed Test-TRAI MYSPEED APP
Yahi nahi ki aap sirf internet speed test hi kar sake, balki company ke khilaf ‎Complaint bhi Aap direct trai se kar sakoge, jis se Aapki ‎Complaint ka Solution bhi bahut jald ho jayega,

Internet Speed Test Ke Alava Aap Company ke Call Drop ka Status ki jaankari bhi le sakte ho, jis se Aapko Company ke Selection se lekar Company ke khilaf ‎direct trai Complaint karne me aasani hogi,

Call Drop par Kis Company Ke Khilaf Sabse Jyada Complaint.

Last 3 Years ke Duran Poor Service And Call Drop ki Sabse Jyada Shikayate Bharti AIRTEL Telecom Regulator Company ke khilaf mili hai, Airtel ke baad sabse jyada Vodafone Reliance Communication (R.Com) ke khilaf aayi hai,
"Telecom Minister Monoj Sinha ne Haal hi Me Parliament Me ye jankari de hai"
Ak Tihai Complaint Airtel ke khilaf
Telecom Minister ne kaha, Telecom Regulatory Authority Of India (TRAI) se mile Poor Sevice our Call Drop ke Aakde ke mutabik 2016 ke fist 6 month me sabse jyada Ak Tihai Shikayate Airtel ke khilaf aayi hai,

30-June-2016 tak ke uplabdh data ke mutabik ise dauran 9720 Shikayate mili hai, inme 3257 Complaint akele airtel ke khilaf aayi, Vodafone ke khilaf 2130, Reliance R.Com ke khilaf 1526 our Idea Secular ke khilaf 997 Complaint trai ko mili hai, 2016 ke fist 6 month me dusre telecom company ke khilaf Complaint 500 se bhi kam rahi hai.


Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein. Trai MySpeed App ko download karne me ya to company ke khilaf shikayar karna chahte ho our koi problem ho rahi ho to hame comment ke jariye bataiye, aapko ...143.Com ki taraf se puri tarah se help ki jayegi, thanks and keep visiting..

Also Read:
Read More

Jio Sim Ki Internet Speed Kaise Boost Kare, Hindi Tricks

3/25/2019 2
31 March Ke Baad Reliance Jio Ki Free Service Khatm Ho Jayegi, Yani Ki 31 March Ke Baad Users Ko Paise Kharch Karne Hoge. Halaki, Aaj Bhi Aise Kai Users Hai Jinki Jio Sim Par 4G Ki Speed Nahi Aati Hai, "Preview Offers" Ke Time Jio Sim Par 20 Se 25 Mbps tak Ki internet Speed Mil Rahi Thi, But Ab Ye Speed Kafi Slow Ho Chuki Hai, Yani Ki 4G Sim Par 2G internet ki Speed Mil Rahi Hai. Aise Me Kus Settings Ki Help Se Hame Jio Sim Par 4G Ki Speed Mil Sakti Hai.

Jio Sim Par Nahi Mil Rahi 4G Ki Speed, 6 Tricks Se Kare Speed Boost

increase jio 4g speed

Jio 4G Sim Ki Speed Aise Kare Boost


STEP-1. APN Settings Change Kare:
how to increase reliance jio speed

Users Reliance Jio 4G Ki Speed Badhane Ke liye APN (Access Point Names) Settings me Changes Kar Sakta Hai. Iske Liye Settings Me Jaaye Our "Mobile Network" Ke Option Ko Select Kare. Yaha Par "Preferred Network" Type Ko LTE Me Set Kare, Ab Vapas Jakar "APN" Select Kare, Our Scroll Karte Huye Niche Jakar "APN Protocol" Option Ko Select Karke Ise 'lpv4/lpv6' Kar De. Iske baad 'Bearer' Option Me Jakar LTE Select Karke Setting Save Kare.

TRICK-2: Rooted Phone Ke Liye:
reliance jio speed problem

Yadi Aapke Pas Root Kiya HuAa Android Phone Hai, To "3G & 4G Speed Optimizer Apk" App Aapke Phone Me Download Karke Install Kae, Aur Network Speed Select Kare, Vaha Aapko 12/28/7 Select karna Hai. iske Baad, Apply Par Click Karke Phone Ko Restart Kare.

TRICK-3 VPN Ka Use Karna:
3g/4g speed optimizer pro apk cracked

'Snap VPN' Ko Play Store Se Download Kare. App Open Karne Par Aapko Country Ki List Or Uske Samne Signal Strength Dikhai Degi. Best Signal Strength Vali Country Ko Select Kare Our Connect Kare. Jaise Hi Connection Ho Jata Hai, Apne Internet Ki Speed Check Kare.

TRICK-4 LTE Band Change Kare:
reliance jio ki speed kaise badhaye

Band 40 Bahetar Speed Offer Karta Hai, Jabki Band 3 & 5 Bahetar Coverage Deta Hai, Band 40 Me Aapko 50 MBPS Ki Downloading Speed Milati Hai. Aap LTE Band Ko Apne Aap Se Badal Sakte Ho, Yadi Aapka Phone Qualcomm Ya MediaTek chipset vala ho.

TRICK-5 Server Ka Name Change Kare :
mobile internet ki speed fast karin

Aap "APN Setting" Me Jakar Server Par Jaye, Yaha Aapko www.google.com Type Karna Hai, Our Setting Ko Save Karna Hai. Tab Aap Internet Ko Connect Kare Our Ak Baar Feer Internet Ki Speed test Kare.

TRICK-6 Clear Cache:
 jio ki speed badhane ke nuskhe

User Jab Bhi Smartphone Par Internet Ka Use Karta Hai To Kuchh Temporary Files Uski Ram Me Save Ho jati hai, ise "Cache Files" Kehte hai, Aise Me Best Internet Speed Ke Liye Cache Files Ko Hamesha Delete Kare.

Note :  आपको ये पोस्ट पसंद आई हो तो लाइक करें अगली पोस्ट के लिए Follow का बटन दबाए और हो सके तो whatsapp और facebook पर share भी कर दें.. हमारे सभी पोस्ट पढ़ने के लिए Logo पर क्लिक करें.... धन्यवाद...

Spacial Post:


Read More

2G Internet Pack Par Milegi 3G Speed Follow Kare 5 Step Tricks

3/25/2019 8
Hamari Country me Haal to Reliance Jio 4G Speed Dhoom Macha Rahi hai, Jio Ki Unlimited Welcome Offer ne Bahut Sari Companies ko hila ke rakh diya hai, Lekin Aaj Bhi Sabse Jyada User 2G Internet Chalane Vale hai, Log 4G Use Kar Rahe Hai, iske pise Ki Vajah Jio ki Free internet hai, 2G Internet pack Popular Hone ki Vajah hai..2G Internet Pack 3G OR 4G Se Sasta Hota hai 2G Internet User Ko Speed Kam Milati hai, But Ak Tricks hai Jise Follow karne Se Aap Bhi 2G Pack par 3G Speed ka Maja Le Sakte Ho,

Haal Me Bahut Sari Companies 2G pack par 3G Speed De Rahi hai, Isme Airtel, Idea Shamil Hai, Kisi Or Companies ke baare me pata nahi hai, but Jo Company 2G pack Par 3G Speed De Rahi hai, is se Aapko Browsing ke sath downloading Speed bhi 3G hogi, Lekin Jis Company 2G pack par 3G Speed Nahi De Rahi us me Sirf Aapko ye Tricks Se Browsing me hi 3G Speed Milegi Downloading me nahi. Ye Tricks Use karne Ke Liye Aapke Aria me 3G Network hona Jaruri hai, varna 3G Speed Nahi Milegi. Or Aapka Headset 3G Support Hona Chahiye.

2G InterNet Pack Par Chalaye 3G Speed 

2g internet pack 3g speed
Step-1
Sabse Pahle Aapke Mobile ke Menu Par Jaye Or Settings Icon Par Click kare,

Step-2
Settings Me jaane ke baad Aapko "Wireless & Network" ka Option dikhega Ya More ke Option hoga, yus par Click kare, "More" Ke undar "Mobile Network" Par Click kare,

Step-3
Yadi Aapka Smartphone Dual Sim Support karta hai to Aapke 2G pack vale sim ko Fist Slot me Enter kare, kyu ki Dual Sim vale heaset me only Fist Slot hi 3G Network Support karta hai, Yaha Par Aapko Fist Sim Select karke Network type me jakar Aapko 3G Select Karna Hai,

Step-4
Ab Network Mode ko Tap karke ON kar le, yaha par Aapko WCDMA & GSM Mode, GSM Only, WCDMA Only Option me Se WCDMA Only ko Select karna hoga,

Step-5
WCDMA ONLY select karne ke baad Apne Smartphone ko Ak baar Restart karke ON kare, Aapko 2G Pack Par 3G Speed Milegi,

Note: Shayad Aapke Mobile me Setting thodi Alag bhi Ho sakti hai, To Aapko Sirf WCDM Only Kahi Se Dhoodhna Hoga, Agar Na Mile To muje Comment Karke Bataiye, me Aapki Help Karugi, Agar Aapko Comment Karne me koi Problem ho Rahi Ho, ya to Captcha Select karna Padta ho to CROME Browser Se Is Site Ko open Kare Or Apna Google plus ya or Koi Id Se Sirf Ak Baar Log in Karna Hoga, uske baad Jab Bhi App Crome Browser Se Site Open karege or Comment Karna Chahege to Baar Baar Log in Karne ki Jarurat nahi Rahegi, Automatically Aapke Name Aa Jayege,

Read More

World Me Sabse Jyada Kon Si Language Google Pe Seach Ki Jaati Hai

3/25/2019 0

Google Search Me Indian Hindi Language Users 23.4 Crore

Digital Wold Me Indian Languages Ke Users Ne English Ko Pichhe Chhod Diya Hai, Jisme Hindi Sabse Jyada Google Pe Search Hone Vali Language Ban Chuki Hai, Consulting firm KPMG and Search Engine Google Ki Ak Report Ke Mutabik Indian Language Ke Internet Users Ki संख्या 2011 Se 2016 Ke Bich Yearly 41% Ki Dar Se Badhkar 23.4 Crores Ho Gayi Hai. To dusri taraf English Users Ki संख्या 17.5 Crore Hui Hai.

Internet Pe Google Search Me Indian Hindi Language Users data
Report Ke Anusar, Bite Kus Year's Se India Me Internet Ki स्वीकार्यता  Bhari Teji Se Increase Ho Rahi Hai. Iske Chalte Indian Languages Ne User's Ke Mamle Me English Ko Pise Chhod Diya Hai.

2021 Tak Indian Languages Ke Users Ki संख्या Hogi 53 Crore
Indian Language Growth
Report Ke Anusar 2011 Me Indian Language Ka User Base 4.2 Crore Tha. 2016 Me Ye Badhakar  23.4 Crore Ho Gaya. Dusri Taraf English Language Ke Users Ki संख्या 17.5 Crore Rahi. Report Ke Mutabik, Is Base Par 18% Ki Growth Se Indian Language Ke Users 2021 Me 53.4 Crore Tak Pahuch Jayega.

Hindi Dominance In The Acceptance Of The Internet

Internet  Ki स्वीकार्यता Ke Mamle Me Hindi Kafi Aage Hai, Indian Languages Me Fist Tamil And Second Rank Par Hindi Hai. Report Ke Anusar Inke Baad Kannada, Bengali and Marathi Bhasha Ka Number Aata Hai, Internet Ki Acceptance Me 42% Ke Sath Tamil Fist Rank Par hai. Jab ki Hindi Ki baat kare to ye आंकड़ा 39% Hai.

90% Indian Languages Ke Users Mobile Par Chalate Hai Internet.
TOTAL INTERNET USER MOBILE DEVICE
Report Ke Mutabik, Indian Languages Ke 90% Users Mobile Devices Ke Jariye Internet Use Karte Hai. Total Internet Users Ki Baat Kare To Sirf 78% Hi Mobile Se Internet Ka Use Karte Hai.

Internet Par Sabse Jyada Time Spend ग्रामीण Users Karte Hai.
Internet HINDI Users IN CITIES BASE DATA
Internet Users Ke Mamle Me Cities Ki Comparison Me ग्रामीण Bharat Aage Hai. Gramin Bharat Me Everyone User Har Week 530 Minutes Internet Par Kharch Karte Hai. Jab Ki, Cites Ke Users Ak Week Me 487 Minutes Internet Par Lagata Hai.

Increased Impact Of Digital News

Category-Vise Baat Kare To Digital News Ka Effect Teji Se Grow Ho Raha Hai. 2016 Me Digital News Ke Users Ki संख्या Approximately 10.6 Million Thi, Jis Ko 2021 Tak 22% Ki Growth Ke Hisab Se, 28.4 Million Tak Pahuch Ne Ka Estimate Lagaya Ja Sakta Hai.
Social Media Growth
Dusri Taraf Social Media Growth Ke Mamle Me Digital News Users Se Pise Rahega. Report Ke Anusar 2016 Me Social Media Ke Users 11.5 Crore The. Jisko 2021 Tak 21% Ki Growth Ke Sath 30.1 Million Tak Pahuchne Ka Anuman Lagaya Ja Raha Hai.

Friends, aapko "Hindi Love Tips" ka ye article kaisa laga? agar Pasand aaya ho to hume comment kare. And Please is article ko jitna ho sake utna share kare Facebook, Google+, Tumblr, Whatsapp and other social media sites pe. Take care and have a nice day all of you.
INTERNET Se Related Aur Bhi Article Hai jo Aapko Jarur Padhna Chahiye..⬇
Read More