Mobile Number Ki Tarah Port Kar Sakege Digital Locker, Har Jaruri Kaam Hoga Ab Aasan.
Digital Locker Service Kya hai, Full Guide Hindi Me.
Indian Government ne hamare liye kisi bhi tarah ki Services ke liye Apne 'Pen Card' 'Aadhar' 'Voter ID' ya dusre Documents ko Proof me dena Bahut Aasan kar diya hai, Indian Government ne "Digital Locker" ke Law Notify kar diye hai, Aise me Aap "Digital Locker" Kholakar karke Apne Sabhi Documents Jaruri Services ke liye Online Share kar sakege, Shath Hi Aap Mobile Number Ki tarah Port bhi kar sakege.
Digital Locker ke Fayde :-
Digital Locker ke jariye koi bhi Vykti apne Documents Online Rakh sakta hai, Sath hi Government our dusri Services ke liye Documents ki Hard-Copy Share karne ki jarurat nahi hogi,
Maan Lijiye ki Agar Aapne, Apna Digital Locker Account Create kiya hai, Sath hi usme Pen Card, Aadhar Card, Voter ID apni Mark-sheets Sahit dusre document save kiye hua hai, aise me in document ki jarurat padne par Sambandhit Vibhag Ya Office ke hard-copy ke roop me dene ki jarurat nahi hogi, use online hi share kiya ja sakega, shath hi kisi Vibhag ya Institute bhi use online Verify kar sakege,
Mobile Number ki Tarah Kar Sakege Port :-
Indian Government "Digital Locker Service" ke liye Desh-bhar me Service Provider Banayegi, Jo ki Web Portal ke sath-sath Mobile par bhi "Digital Locker Service" de sakege, Service Provider ke liye Licence Jari Kiya Jayega, Sath hi Koi bhi Customer Digital Locker ko Port bhi kar sakege, Yani ki Agar kisi Subscriber ko apna Digital Account Change karna hai to vah mobile number Portability ki Tarah use port kar sakege,
Teen Tarah Ki Milegi Services:-
Digital Locker Service ke 3-tarah ke Component hoge, iske tahat Aam Logo ko Apne Document Uploads karne And e-Mail Sine karne ki suvidha dee jayegi, Document Jari karne vale Government Institute Se Direct document liya ja sakega, iske Alava Repository And GateWay ki Facility bhi di jayegi, Repository ka kaam Document ko Secure Rakhana hoga, Our Getaway dene vali company Document Access ki Facility degi,
Niyukt hoge Shikayat Adhikari :-
Niymo Ke Tahat Kisi bhi tarah ki Shikayat ki Sunvai ke liye, Shikayat Adhikari bhi niyukt kiye jayege, iske alava Digital Locker kholane ke liye Maximum 5000Rs. Ki Limit tay karne ki bhi taiyari hai,
Kab Lunch Hui Thi Digital Locker Service :-
Modi Sarkar ne Digital India Campaign ke tahat July-2015 me Digital Locker Service ko Beta-Version ke roop me Lunch kiya tha, jise Ab Full Flag me lunch kiya ja raha hai, iske tahat aap apne digital locker account 'Aadhar' se Link kar, kai sari Additional services bhi le sakoge, aaj ke deen tak 20-Lakh Digital Locker Account Create hua hai,
Hi friends ise post ko maximum Share kare, jis se our bhi log tak ye information pahoch sake, taki jyada se jyada log uske baare me jaan sake, digital india me aap bhi bhagidaar bane our ise aage badhaye, And apno dosto ko shath bhi ye article share kare, our ha kaise lagi ye post, comment me jarur bataiye, our koi jankari chahiye to blog ke contact form me jake muje mail kar sakte ho.
Ye Bhi Padhe➦