Sanju Dangar
3/25/2019
12
Agar Aap Ghar baithe business karna chahte ho to Flipkart, Amazon, Snapdeal jaise E-commerce Companies ke sath jud sakte ho, in company ke sath judne ke liye aapko kisi tarah ka koi paise nahi dena hai, in company se jo log jude hai, unki kamai Lakho me hai, jab ki bade sellers ki bikri crore me hai, in website par aapko product jitana sale hoga, Aapko usi reshyo me Profit hoga,
E-Commerce website ke kaise bane Sellers
Kisi bhi E-Commerce site se judne ke liye aapko "Sellers Account" kholna padega, Seller account ke liye aapko kahi jaane ki jarurat nahi hai, balki har E-Commerce site ki website par hi account kholane ka option mojud hota hai, isme aapko apni puri details dalani hogi, lekin sellers banane se pahle ak baat yaad rakhe koi bhi product bechne se pahle aapke paas टिन or पैन-Card number hona chahiye , iske bina aapka Registration nahi hoga,
E-Commerce Website Par kon See product Bech sakte hai,
E-Commerce Site par aap घरेलू jarurato se jude adhiktar saman bech sakte hai, isme Clothes, jewellery, mobile, toys, shoes, auto accessories, cosmetic etc..shamil hai, E-Commerce site pe apne porduct bechane ka sabse bada fayada ye hota hai ki yaha aapka product (saman) 24 hour customer ke samne mojud raheta hai, Jiski shopping kisi bhi time ki ja sakti hai,
Kya Hai Business Model?
Apni site par aapka product bechne ke liye E-Commerce Companies kus commission leti hai, ye commission product ki kimat ke hisab se tay hota hai, yah commission 5% se 40% tak ho sakta hai, yani aapka product ki jitani price hogi us se commission kat kar aapko payment diya jayega, Iske alava product customer tak pahuchane ke liye Shipping charge bhi sellers ko dena hota hai, jo product ke weight ke mutabik tay hota hai,
Kaise Start kare business?
E-commerce Warehouse:
Agar aap pahle se koi product nahi bechte hai or new business sharu karna chahte hai to pahle aapko market me thodi research karni hogi, yah pata lagana hoga ki market me kis chij ki demand sabse jyada hai, agar aapko product ke baare me pata chal jata hai to aapko us product ke manufacture ya Wholesale मंडी ko ढूंढना hoga, Is tarah aap manufacture ko direct Consumer se jod sakte ho,
E-commerce site ke product sell karke Kitne paise kama sakte hai?
Online Shopping:
E-Commerce Companies pe aap kitani kamai kar sakte hai, iska koi paimana nahi, Amazon, or Flipkart par bade Sellers WS Retail or Cloudtail ka yearly turnover hajaro-crore rupay hai, WS Retail ka 2014-15 me turnover 10,000 crore rupay tha,
Note : Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.
Also Read: