Hindi Love Tips: Privacy Tips

Hot

Showing posts with label Privacy Tips. Show all posts
Showing posts with label Privacy Tips. Show all posts

May 09, 2025

Smart Phone Me Intimate And Personal Photos Na Rakhe Save,

5/09/2025 0

Smartphone Me Data Square Kaise Rakhe?

intimate couples photo with mobile privacy

Smartphones Aane ke baad se Life badi Aasani see Lagti hai, Sab kus Ak chhote se device me Save ho jata hai, Lekin Kya Aap Ye Jante hai ki kus Aisa bhi Data hota hai, jisko Smartphone par bilkul save nahi rakhna chahiye, to friends aaiye ham baat karte hai, apne smartphone me intimate, personal photos or data ko kaise Square rakhe,

(1)- Intimate Photos:
Kyo Na Kare Save- Android Smartphone me Hacking and Data Lick Hone ka khatra sabse jyada hota hai, Ager Aap Android phone me Backup lete hai to bhi Data aapka data Online Aasani Se Hack kar sakta hai, Ager Aap Intimate photo Save kar rahe hai phone me, or Galti se bhi aap Porn Site ki visit karte hai to uski Cookies aapki aise personal photos Chura bhi sakti hai, Porn Site aapko Track karti hai, And Sath-Sath Third-party Apps Me Sabse jyada  Malware ka Khatra hote hai,

Ager aapke paas koi aise photos hai to unhe USB Device me save rakhe, ya kisi Pan-drive me rakhe Pen-drive me bhi Protection ke Liye Password Lagaya ja Sakta hai, (Pen-drive With Password Protection ke liye hamari dusri post padhe,)

(2)- Personal Account Number, Aadhaar Number And PIN Number, Jaise Chije Na Save Kare,

intimate couples photo with mobile privacy

Kyo Na Kare Save- Smartphone me ye sab ak hi Location par save rakhne se Data Lick hone ki problem ho sakti hai, Phone Chori hone se ya to Virus Aa jane se, Or Online Hacking ki vajah se bhi aisa ho sakta hai,

(3)- Wi-Fi Signal Boosting App Na Kare Save

Kyo Na Kare SaveWi-Fi Signal Boosting App Ya WiFi Password Creaking app ya aise hi koi or app install karne se aap Apne phone ke shath Risk lete ho, aise app jyadatar Spyware hote hai, jo aapke phone ko Virus ya Malware se Infect karte hai, aise me aapka data hackers ke paas ja sakta hai,

4, Online Shopping And Internet Banking Password Na Rakhe smartphone me Save,

Online Shopping And Internet Banking Password

Kyo Na Kare Save- ebay, Paypal, Flipkart, Ya Net banking ke password ya Other account ke password kabhi apane mobile phone me save nahi rakhna chahiye,
[Note: Har Baar Jab Bhi Aapko Log-In Karna Ho, SAVE YOUR USER ID AND PASSWORD button ko unclick hi Kare]
In Apps par agar aap log-in rahte hai to aapke account Related information Lick ho sakti hai, Is se Bachne ke liye kya kare-jitani baar bhi in apps ko use kare uske baad kaam pura hone par log-out karna na bhule,

(5)- Credit Card, Debit Card Ya kisi or Personal ID Ki photo Na Kare Phone me Save,

Credit Card, Debit Card, Personal ID Ki photo

But Why?
Jis tarah Intimate photo ka Khatra raheta hai, usi tarah ATM Card, Credit Card, Debit Card ya Kisi bhi ID Lick hone ka khatra raheta hai, Aapke Kisi bhi Banking Related Document ki Scene Copy ke jariye Banking Fraud Ho Sakta hai,

Kaise Bache?-is tarah ki photos save karne ki jagah Scene Copy  Pen-drive me rakhe, inhe online mail me rakhna ya smartphone me rakhana hamare liye khatra ban sakta hai,

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein. ya to koi problem ho to bataiye & thankqs to visit my site..

Also Read:
Read More

March 25, 2019

Apna Bank Account Safe Kaise Rakhe, Safety Tips In Hindi

3/25/2019 0

Cyber Criminals Attack Se Bank Account Safe kaise rakhe- Security Tips

Aaj Se 47 Years pahle 2 September 1969 ko pahli baar ATM Machine general Public Ke istemal ke liye Lagai gayi thi, Is Service Ko "Chemical Bank In Rockville Center, New York. Ne Sharu Kiya tha,

Beete salo ke dauran ATM ka safar Lagbhag Sabhi Country me pahuch chuka hai, Ab To lagbhag har Kilometer par ATM dikh jate hai, vaise ATM banne ki story kafi Dil-chasp hai, Aaj ki post me aapko aise hi kus rochak baate batane ja rahi hu, par is se pahle kus ATM Security tips ke baare me baat karte hai, kyu ki ATM ke liye very impotent hai, isliye ye jankari aapke paas honi bahut jaruri hai,
ATM  Full Information, Bank Account Safety in Hindi
ATM Security Tips, ATM Ke Baare Me Full Information Hindi Me,
Friends Kya aap Ye jante hai ki ATM Se paise nikalne ke baad Slip ko vahi ke Dustbin me fek dena kitana Danger ho sakta hai, nahi na? Jaanoge to dusri baar aise galati aap kabhi nahi karege.

Agar aap bhi aisa karte hai to ye post aapke liye bahut kaam ki hai, Jab bhi Aap ATM se paise nikalne jaate hai to vaha aapko bahut se log Cash nikalne ke baad Slip fadkar ya modkar vaha mojud Dustbin me fekte hua dikh jayege, Lekin Ye Laparvahi bhari bhi pad sakti hai,

ATM Slip Dustbin Me Fekna-Dangers.

Kyo Nahi Fekna Chahiye ATM Slip?

(1)- Aapko Lagta hoga ki (Slips) Rasido ko fadne ke baad aapka paisa Safe hai, to aap galat soch rahe ho, ATM Slip ke tukdo ko Hackers Decode karke aapke bank account me सेंध laga sakta hai,

(2)- Cyber Criminals Aapke Bank Account se Aapke Paise Chura sakte hai, Aise Me Apni Transactions Lagatar Check karte rahiye, OR Slip ko sambhal kar rakhe,

(3)- Yadi Bank ne Account me Update karne me koi galati ki hai, to in slip ki help se aap ise sudhrva sakte ho, isliye ATM Rasid ko hamesha apne paas hi rakhe,

(4)- ATM Machine Software par work karta hai, aise me, galatiya hone ki Aashanka hamesha bani raheti hai, Aapki ATM Slip Hi Aapke Transaction ka saboot hoti hai,

ATM Ke Baare Me 15 Rochak baate, Jo Aaj Tak Suni Na Ho,

(1)- Kaise Bana ATM?
ATM Ko Scotland Ke "John Shepherd-Barron" ne banaya tha, 1965 Me ak deen Barron paise nikalne bank 1 minute late pahuche, or bank band ho gayi, uske baad John ne socha ki kyo na ak aisi Machine banai jaaye, jis se 24 hours paise nikala ja sake.

(2)- Fist ATM:
ATM ko Automated Teller Machine kahte hai, Cash nikalne vala pahla ATM 27 June 1967 ko London ke "Barclays Bank" me lagaya gaya tha,

(3)- Pin Ki Story:
John Shepherd-Barron ATM Ki Pin Number 6 Digit rakhna Chahta the, Lekin Uski Wife Caroline ko 6 Digit yaad nahi rahte the, isliye Pin 4 Digit ka tai kiya,

(4)- India me Fist ATM:
India me paheli baar ATM ki Service 1987 me sharu ki gayi thi, Hongkong and Shanghai Banking Corporation (HSBC) ne Machine ko mumbai me lagaya tha,

(5)- ATM Se Gold
ATM machine se sirf Cash hi nahi balki gold bhi nikalta hai, Pahli Gold-Plat nikalne vali Machine "Abu-Dhabi ke Emirates Palace hotel" ki lobi me lagai gayi thi, is me se 320 tarah ke gold Item nikal sakte the,

 (6)- तैरने वाला ATM
तैरने वाला ATM pahla ATM Kerala ke kochi me lagaya tha, ye Machine "Stat Bank Of India" ne ज्ञंकार me lagai thi, iski Owner Kerala Shipping and Inland Navigation Corporation (KSINC) Company thi,

(7)- Bina Bank Account ATM:
Europe ki Coutry Romania me bina bank account ke bhi ATM ka istemal kiya ja sakta hai, Lekin india samet kai country me is tarah ki facility nahi hai.

(8)- Bio-metric ATM:
Brazil Me Banking Transaction OR Password ko jyada Safe Banane ke liye  biometric ATM ka istemal kiya jata hai, ATM par users ko fist Finger Scan karna padta hai,

(9)- ATM Ke Name:
ATM ko Kai Alag name se jaana jata hai, UK OR New Zealand me 'Cash-Point' ya 'Cash Machine' kahte hai, vahi Canada OR Australia me ise 'Money Machine' kahte hai,

(10)- Card khane Vale ATM:
1968 Me barclays bank me lagaye gaye ATM Se paise nikal ne ke liye Card ka use hota tha, ye card bank se lena padta tha, Lekin Card Machine ke andar hi rah jata tha, or har baar new card lena padta tha,

(11)- 4 Digit ke Combinations ATM:
4 Digit Ke Pin ke 0 Se 9 ke bich 10,000 Sambhav or Valid password ka Combinations mojud hai, inme sabse Common 1234, 1111 OR 0000 hai, vahi sabse kak use hone vala password 8068 hai,

(12)- ATM Chori Ho To:
Yadi koi paisa chori karne se irade se puri ATM Machine ko udhake le jaye, to ise lekar jyada door nahi ja sakta hai, darAsal, is Machine me ak chip install hai, jise GPS se track kiya ja sakta hai,

(13)- ATM Me Ink (इंक):
ATM Ke Andar Jis jagah par Note rahte hai, vaha par ak blue ink vali bottle rahti hai, yadi koi jabardasti note nikalne ki koshis karta hai ya feer machine todne ki koshis karta hai to ye ink note par fail jati hai,

(14)- Sabse Ucha ATM:
Wold ka sabse ucha ATM Nathu-La me hai, iski uchai कुपूप  se 14,300 feet hai, ise "Union Bank OF India" Operate karti hai, ye india-china border par mojud Army ke liye hai,

(15)- India me Birth ATM Inventor:
John Shepherd-Barron ka janm 23 June 1925 ko india ke Shillong (Meghalaya) me huaa tha, unke Father Wilfred Shepherd-Barron Chittagong Port Commissioners ke chief engineer the,


Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.

Read More

Chori Ho Chuke Phone Me Kaise Delete Kare WhatsApp Account

3/25/2019 0

Chori Ho Chuke Phone Me Kaise Delete Kare Whats App Account-Save Personal Data

Whatsapp account

Jara Sochiye agar aapka phone chori ho jaye ya fir kho gaya ho to whats app account aapke liye Badi mussibat ban sakate he?, ye to aap sab janate hi ho, apana smart phone chori hone par kaise kariye whats app account deactivate  aaiye aaj ham baat karte he.. Aapka Mobile phone Kho jane ki position me ak E-mail karana hoga, jo whats app ke support departments ko jayega, uske baad vo aapka whats app account deactivate  kar denga, iske liye aapko Support@whatsapp.com par ak mail bhejana hoga,

Whats App Mail Me Kya Likhe?

Whats app ko mail karane ke liye fist mail id likhe, Subject me Lost/Stolen:Please Deactivate My Account Likhe, or iske aage apna contact number likhe, (international format me likhe, +91xyz)
Whatsapp account deactivate screenshot
Is mail ko send karane ke baad 1-month tak account band (deactivate) hone ka intejaar kare, incase aapka mobile mile jaye to aapna whats app account jari rakh sakate ho, or login kare, varana aapka whats app account hamesha ke liye band ho jayega,

Whats Account Delete kaise kare,


Ab baat he aapke pass mobile  hone ke bavjud bhi aap whats app account delete karana chahte ho to sabase pahele aap Mobile ki setting me jaye, (application manager)yaha par Apps ke option me jakar whats app select kare, jab aap use open karte hai, to whats app ki sabhi details mojud hoti hai, yaha aap clear data ke option par jaye, or whats app se judi sabhi detail mita de,

Iske alava bhi ak rasta hai,
Aap apane whats app par jaye, vaha se setting pe jaye, vaha se aage jakar aapko setting ka option milega, jisme Delete My Account likha hoga, yaha par aap conform karake apana account delete kar sakate ho,
Whatsapp account deactivate screenshot

Ak Hi Mobile Par Dusre Number par Whatsapp kaise Chalaye,

Agar aap dusre number par bhi whatsapp chalana chahte ho to chala sakate ho,
Iske liye upar batai gayi same possess hai, sirf aapko "cheng Number" par click karana hoga, fir apana new number add kare jis number se aap whatsapp chalana chahate ho vahi, baad me confirmation Cod dalakar apana new whatsapp account chalu kar de.

Sort Time Ke Liye Whatsapp Account Deactivate Kaise kare?


Whatsapp account disable karane ke liye aap apana Whatsapp account ki setting me jaye vaha whatsapp likha hoga vaha jakar aap Disable Remove Update option milega, use follow karake apna account sort time ke liye deactivate kar sakate ho,

Whatsapp me milega Twitter or Facebook jaisa Features,

Worlds ke most popular me se ak messages app whatsapp ak new feature add karane ja rahe ho, jo facebook or Twitter messages me diye jate features jaisa hi he, Haal hi me to sirf Beta Version App me Cot Reply ka option diya gaya hai,

Rapport ki baat mane to company mention feature ka testing kar rahi hai, yani ki aap kisi chet karate vakht kisi user ko bulana chahate ho to aap 'mention' ke jariye tag kar sakte ho, Ye feature aise hi kaam karega jaise facebook or twitter me "@" Lagakar logo ko tag karate hai, iske alava  ye feature ki help se kisi user ko group me jodane ka kaam bhi aasani se hoga, iske liye whatsapp ki taraf se ak link generate hogi, jise send karake aap apne whatsapp group me invite kar sakte ho,

Twitter par @WABetainfo name ko is hendal se kus screenshot twitte kiya gaya he, isme ye dekha ja sakata he ki kaise logo ko "@" Lagakar tag kiya ja raha hai,
Khabar hai ki whatsapp ke is feature ko filhaal Whatsapp ke iso beta version me diya ja raha he, Dusre screenshot me link dikhai gayi hai, jis se apne dosto ko bhejakar apane group me invite kar sakate ho, filhaal to ye saaf nahi he ki ye feature aam logo ke liye kab diya jayega, par jankari milane par aapko jarur share karungi,

Note : Whatsapp features ki is post se aapko kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.
Read More

Aadhaar Card Correction Online And Offline 6 Step Process

3/25/2019 8

Aadhaar Card Correction Online And Offline 6 Step Process

Aadhaar Card online update

How to Update/Change your Aadhaar Details[ Aadhaar Card]
How to Change Aadhaar Card Name and Address [Online & Offline]

AADHAAR Card Changes via Post [Name, Address, Phone, Gender]

Aadhaar Card Me hui kisi bhi galti ko sudhar ne ke liye UIDAI ki Official website ke Aadhar "Self Service Update Portal" par jakar Aap Khud Correction kar sakte hai, is portal ki help se aap apni koi bhi details Jaise Name, Address, Phone number, Gender, Date of Birth, Photo, E-Mail Id, etc.. online hi update kar sakte ho, Aaj Aapko HindiLoveShayari143.Com batane ja raha hai ki kaise aap beena pareshan hua apne Aadhaar card ko correct kar sakete hai, is se aapko fayada yah hoga ki government office me jakar line me khade rahne ki pareshani nahi bhugatni padegi, or aapka time bhi bach jayega,

Online Aadhaar Card Ko Kaise Update kare?

Aadhar Self Service Update portal

Process-1
UIDAI ki website me "Aadhaar Self Service Update Portal" par jakar click kare, 12 Digit ka Aadhaar Card Number or Text/Digit Verification Dalkar "Send OTP" par click kare,

Process-2
Aapke Registered Mobile Number Par "One Time Password" Aayega, ise box me Dalkar Log-in kare, OTP sirf 15 minute ke liye hi Veiled hote hai, isliye aap update ki sari process jaldi kare,

Process-3
Name, Address, Phone number, Gender, Date of Birth, Photo, E-Mail Id Jo bhi update karna hai use check mark kare, uske baad "Data Change" karke submit kar de,

Process-4
Jo bhi Information Change ki hai un se related Document Scene karke upload kare or submit kar de,

Process-5
Aakhir me Aadhaar card update karne ke liye agency chune, Aapke mobile par Confirmation massage ke shath "update Request Number" (URN) aayega,

Process-6
URN safe rakhe, Kyu ki "update Request Number" or Aadhaar Number se hi "update status" track kar sakte hai, 2-3 week me Updated Aadhar Card aapke home par by-post mil jayega, friends hai na Easy? kaise lagi post comment me bataiye, or aadhaar card updating me koi problem ho rahi ho to bhi bataiye

Aadhaar Card Ko Online Lock Ya Unlock kaise Kare-Security Tips


Modi Sarkar Jald hi "Unique Identity Regulations" ko Notify karne ja rahi hai, iske baad Aadhar Sabhi pramukh sevaओं ke liye jaruri ho jayaga, aise me Aadhar ke Andar feed aapke "Sensitive information ki Security" aane vale deeno me kafi aham hogi, Aaj Me aapko aise tariko ke baare me batane ja rahi hu, jinke jariye aap apne Aadhar ke data ko 100% secure kar sakte hai,

Aadhaar Me Hoti Hai aapki "Sensitive information"

Online Aadhaar Data Ko 100% Secure Kaise Rakhe? 4 Step-Tricks


Country me abhi tak 105 Crore Logo ke Aadhaar Number Jari kiye ja chuke hai, iske tahat har व्यक्ति ka ak "Unique number" hota hai, jisme aapke Name, address, Phone Number, Education Qualification ke sath-sath Bank Account ki details or PAN Card details bhi link hoti hai, aise ye bahut jaruri hai ki Aapka Aadhaar Data 100% Secure rahe,

Iske Alava Aadhaar me Aapki Biometric detail bhi Feed hoti hai, yani Aapki photo, Finger Print, EYERISE detail (आखों की स्कैनिग) bhi feed rahti hai, Aadhar ke new feature me all details ko aap secure kar sakege,


Aadhaar Card Ko Lock And Anlock Karne ka Right (अधिकार) hai aapke paas?


Lock/Unlock Biometrics

Ji ha, aapko diya gaya hai, apne aadhaar data ko secure karne ke liye lock and unlock karne ka full Rights, par kyu diya gaya aapko ye अधिकार, to aaiye me aapko batati hu full details me.

Aadhaar data ko lick hone ki आशंका ko lekar hamesha sarkar ko विपक्षी दलों or Experts ke virodh ka samna bhi karna pada hai, ise dekhte huye ab "Unique Identification Authority of India" (UIDAI) 
Ne usme ak new feature jod diya hai,

  • Jiske jariye aap apne aadhaar ko apni इच्छानुसार Lock Ya Unlock kar sakte hai,
Yani, aap agar chahte hai, to aap apne Aadhaar ko Lock kar sakte hai, uske baad Aapke data ko koi bhi kisi bhi tarah se Read nahi kar payege, ise tarah aap jab chahe tab feer se unlock bhi kar sakte hai,

Koi Bhi Nahi Kar Payega Miss Use.

Ye Suvidha Aapki इच्छा ke Aadhaar par milegi, Yani aap jab tak chahe tab tak card ko Lock rakh sakte hai,

Jab tak Card Lock rahega, us samay tak aapke card ki koi bhi information Read nahi kar payega, is se sabse bada fayada Aadhaar card ko kho jaane par hoga, aap usi time apne card ko lock kar payege,

  • Iske baad agar aap chahege, ki Aadhaar card ko Unlock kiya jay, to yuse unlock bhi online hi kar sakege,

Kaise Milegi Online Facility? Lock And Unlock ki Facility.



Aadhaar ko Lock ya Unlock karne ke liye aapko UIDAI ki Website par jana hoga,

Jaha par "Aadhaar Services" par aapko Lock ya Unlock karne ka feature mojud hoga,


  • Aadhaar Services par Click karne ke baad 4 option milega.
  • Verify Aadhaar Number  
  • Verify Email/Mobile Number  
  • Lock/Unlock Biometrics  
  • Check Aadhaar & Bank Account Linking Status

In me se "Lock/Unlock Biometrics" ke option par click karna hoga, ye sab na karna ho to aap yaha se bhi direct link par ja sakte ho, iske liye yaha click kare,
(This feature can be used to Lock/Unlock Biometric details.)

Jaha par aapko Enter 12 Digit Number. Me 12 digit vale aadhaar number enter karna hoga, uske baad Enter the Security Code me diya gaya number enter kare,

Aadhaar Number Feed Karne ke baad uske niche likhe Security code feed karna hoga, upar maine bataya usi tarah. Jise ok karne ke baad aapke Registerd Mobile Number par OTP Code aayega, yuse Feed karne ke baad aap apne card ko Lock kar sakte hai,



Government agency and the company will vigorously.

Central Government jald hi "Unique identity Regulation ko अधिसूचित karne ja rahi hai,

Iske Sambandh me Authority ne Aham niyamo ko taiyar kar liya hai, jiske tahat Aadhaar ke Miss Use par 3 years tak ki saja ka bhi Pravdhan kiya ja raha hai,

Agar Government ya niji company kisi or maksad ke liye  Aadhaar number ka use karti hai to yah apradhik mamala banega,

Aapke Hath me Hogi Aadhaar Ke Safety.
  • khud kar sakege Lock and UnLock. Safety
  • Online Milegi Ye Facility.
  • Jab Chahe kar sakege Unlock
  • Lock hone par koi bhi nahi kar payega Mis Use 
Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein. Aadhaar Card Ke Baare Me Koi Sawal pusana chahhte ho to muje comment me bataiye, Visit ke liye thanks-Sanju Dangaro to muje comment me bataiye, Visit ke liye thanks-Sanju Dangar
Read More

Aise Pata Kare Ransomware Virus Ka Aur Protect Kare Apne Windows Computer Or Laptop.

3/25/2019 0

Kaise Protect Kare Apne Computer Ko Malicious Virus Ransomware Se.

how-to-find-ransomware-virus-and-protect-your-windows-computer-or-laptop
Hello Friends,
Ab Jo Article Aapke Sath Share Karne Ja Raha Hu Vo Bahut Important Hai. Kyu Ki Is Article Ki Help Se Aap Apna Laptop, Computer Ko Virus Se Secure Kar Sakege. Agar Aapke PC Me Kahi Ransomware Virus Chhupa Hai To Bhi Use Aasani Se Remove Kar Payege. Baat Karte Hai Ransomware Virus Attack Ki Jo World Ki 100 Se Bhi Jyada Country Par Attack Kar Chuke Hai, isme India Bhi Shamil Hai, Iske Baare Me Jyada Baat Na Karte Main Topic Pe Aate Hai. Duniya Ke Ab Tak Ke Sabse Bade Cyber Attack Ke Ransomware (रैनसमवेयर) Name Ke Virus Ka Role Samne Aaya Hai.

Ye Malware Category Ke Ye Virus Users Ke PC Ya Laptop Ki Screen Par Scary Messages or Pornographic Pictures Display Karke Browser, Operating System Ya Personal Data Ko Block Kar Deta Hai. Iske Baad Text Massage Ke Jariye फिरौती Magta Hai, Jo Bitcoin Name Ki Digital Currency Me Hoti Hai. UK or Other Country's Me Huye Attack Me Ye फिरौती Minimum 300 Bitcoin (About Rs 3.25 crore) Magi Jaa Rahi Hai. Cyber Except Ritu Maheshwari Ke Anusar Ye Virus Windows Operating System Wale Computers Ko Fist Target Bana Raha Hai. Ye फिरौती Vasul Ne Wala Virus Hai Ransomware......

Ransomware Virus Ko Remove Kaise Kare/Computer, Laptop Ko Secure Kare.

Ransomware Do Tarah Ke Hote Hai.
  • (1)- WinLock
  • (2)-Crypto

(1)-WinLock Ak tarah Ka Non-Encryption Ransomware Hai. Jise Ransomware Trojan Ke Name Se Bhi Jaante Hai.

(2)- Crypto Ransomware Ak Aisa Ransomware Hai Jo User Ke Document Ko Encrypt Karte Huye Yuse hijack Kar Leta Hai, Uska Extension Change Kar Deta Hai. Our Feer User Ko फिरौती Ke Roop Me Paisa Dene Ka Massage Bhejta Hai. Paise Aksar TOR Browser Ki Help Se Bitcoin Ke Jariye Liye Jaate Hai.

Apne PC, Laptop Me Virus Ko Kaise Search Kare...

Agar Aapke Computer Ki Speed Slow Ho Rahi Hai Or Usme Continuous Unwanted Messages Aa Rahe Hai To Ye Aapke PC Me Virus Hone Ka संकेत Hai. Computer, PC, Laptop Me Virus Aane Ka Sabse Bada Source 2 Hai: (1)-Internet (2)- External Hardware Jo Pen Drive, DVD Ya Hard Disk Ho Sakti Hai. Cyber Security Expert Andra Zaharia Bata Rahi Hai Ki Aapko Apne Windows Based Computer Me Virus Malware Kaise Search Kare Aur Malware Virus Ko Kaise Remove Kare. (SMARTPHONE ME BINA FACTORY RESET KIYE VIRUS KO REMOVE KAISE KARE)

Windows Based Computer Me Virus Malware Kaise Search, Aur Remove Kare.
 cryptolocker malware
1- Sabse Pahle Apne Computer Me Virus Defender Software Install Kare, Ye Tools Microsoft Ne Free Me Apni Official Site Par Download Section Me Available Kara Rakhe Hai Download Karne Ke Liye Link Hai.. Microsoft security software - Malware Protection

2- Microsoft Ki Is Link Se Aap Apne Operating System Ke Hisab Se Windows Defender Ya Malicious Software Removal Tool Download Kar Le And Yuse Run Karke Install Kar Le.

3- Ab Apne PC Ya Laptop Ko Windows Ki SafeMode Me Le Jakar Download kiye Gaye Defender Ya Malware Tools Se Deep Scan Karke Virus Search (Niche Di Gayi Microsoft List Me Name Dekhkar) Kare. Our Screen Par Aaye Instructions Ke Anusar Unhe Remove Karte Jaaye.

4- Kai Aise Virus Our Malware Hai Jo Is Tarah Ki Search ke Pakad Me Nahi Aate Hai. Unhe Remove Karne Ke Liye Except Ki Help Le Our Non-Pirated Anti-Virus Installs Karke Rakhe.

Microsoft Ne Jari Ki Hai 10 Ransomware Ki List.....
 locky removal tool
Microsoft Ne Apne Computers Ko Ransomware Se Bachane Ke Liye 10 Virus Files Ki Ak List Jari Ki Hai. Ransomware Windows Based System Par Sabse Pahle Attack Kar Rahe Hai. Aise Me Users Ko Apne System Me In 10 Files Ko Search Karke Anti-Virus Ya Anti-Malware Software Ki Help Se Delete Kar Dena Chahiye.

PC Me Search Kare Ye 10 Type Ki Files:


(1)- Ransom:HTML/Tescrypt.E

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very Serious)

Ye Ransomware Sabse Dangerous Category Ka Hai Jo Aapke PC Par Pura Control Kar Leta Hai. Ya Aapke Jaruri Data Tak Access Nahi Karne Deta. Ak Computer Me Aane Ke Baad Ye Internet Ya LAN Se Jude Dusre Computers Ko Teji Se Infiltrated Karta Hai.

Virus Ko Remove Karne Ka Tarika:
Microsoft Tools Ki Help Se Daily Apne System Ki Full Scanning Kare. Windows Defender AUR "Anti Malware Tools" Se Aise Virus Ko Search Kar System Se Remove Kar Sakte Hai, Iske Liye "Microsoft Safety Scanner Tools" Ki Help Bhi Li Jaa Sakti Hai. Ye Dono Hi Tools Microsoft Ki Official Site Se Free Me Download Kiye Jaa Sakte Hai.

(2)- Ransom:  HTML/Tescrypt.D

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very serious)
 remove encryption virus
Tescript D Category Ke Ye Virus Bhi Windows Based PC Ko Sabse Pahle Infiltrated Karte Hai. Ye Aasani Se Kisi Bhi External Link Me Chhupaye Jaa Sakte Hai. Inhe Search Karne Aur Remove Karne Ke Liye फिरौती Dene Ke Baad Bhi Is Baat Ki Guarantee Nahi Hoti  Ki Aapka apne Data Par Firse Control Ho Jayega.

Virus Ko Remove Karne Ka Tarika:
Microsoft Tools Ki Help Se Daily Apane System ko Full Scanning Kare. Anti Malware Tool and Windows Defender Antivirus Aaise Virus Ko Remove Kar Sakta Hai. (Download Malicious Software Removal Tool)

(3)- Ransom:HTML/Locky.A

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very serious)

Locky.A Name Ka Ye Dangerous Category Ka Encryption Virus Hai. Iska Targets Users Ka Personal Data Hota Hai. Jiske Jariye Bank Account Ya Baki Financial data Blackmail Karne Ke Liye Lock Kiya Jaata Hai. Aise Me Users Ko Ransom Dene Ke Liye Majboor Hona Padta Hai.

Virus Ko Delete Karne Ka Tarika:
Microsoft Ki Site Par Download Section Me Diye Online Ya Offline Tools Ki Help Se Apne System Ki Full Scanning Kare Aur Anti Malware Ya Windows Defender Antivirus Aise Virus Ko Deleted Kar Sakte Hai.

(4)-Ransom:Win32/Locky

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very Serious)

Win32/Locky Name Ka Ye Virus Bhi PC-Laptop Par Aapke Control Ko Khatm Kar Deta Hai, Ise फैलाने Wale Hackers Microsoft Office Tools King Files Ke Jariye PC Ko Infiltrated Karte Hai. Ye .Doc Yani Word Files Ke Extensions ke Roop Me Spam Bankar Bhi Aate Hai Jinhe Open Karne Se Computer Par Users Ka Control Khatm Ho Jaata Hai.

Email Me Aane Wale Is Tarah Ke Trojan Link Par Click Na Kare.

Way to avoid Virus Ransom:Win32/Locky:
Koi Bhi Anjan Link Ko Open Karne Se Bache, Spam Remove Karte Rahe, Aur Microsoft Tool Ki Help Se Daily Apne System Ki Full Scanning Karke 'Windows Defender Antivirus' Ko Run Kare.

(5)- Ransom:HTML/Crowti.A

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very Serious)
encryption malware
Crowti.A Name Ka Ramsomware User Ke PC Me Files Ko Encrypt Karke User Ko जर्बदस्ती Webpage Par Jaane Ke Liye Majboor Karta Hai. Is Fake Webpage Par Us Files Ko Feer Se Access Karne Ke Liye Bitcoins Me फिरौती Magi Jaati Hai.

Crowti.A Virus Ko Remove Kaise Kare.
Microsoft Tools Ki Help Se Apne System Ki Full Scanning Karne Se  'Windows Defender Antivirus' se Aise Virus Ko Remove Kiya Jaa Sakta Hai. But User Ko "CryptoDefense" Ya "CryptoWall" Jaise Anti Virus Tools Se Bachna Chahiye, Kyo Ki Ye Security Dene Ke Bajaye System Me Virus Ki पैठ Banane Ka Rasta Taiyar Karta Hai.

(6)- Ransom:HTML/Exxroute.A

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very Serious)

Exxroute.A Bhi Ak Bahut Hi Dangerous Virus Hai, Jo User Ke Hi Personal Data Ka Use Karke Yuse Blackmail Karne Lagta Hai, Is Virus Ko फैलाने Wale Hackers Bahut Sharp Hote Hai, Kyu Ki Vo Pure Time World Ke Kisi Bhi हिस्से Me Baithkar Users Ki Activity Ko Control Kar Sakte Hai. Is Tarah Ke Virus Ka Attack Un Users Ke PC Me Jyada Hota Hai Jo Security Level Ko Low Range Me Rakhte Hai Our Bina Antivirus Shield Ke Work Karta Hai.

Exxroute.A Virus Ko Delete/Remove Kaise Kare, Us Se Bachne Ka Tarika
Microsoft Tools Ki Help Se Daily Apne System Ki Full Scanning Karke "Windows Defender Antivirus" Run Karke Remove Kiya Jaa Sakta Hai.

(7)- Ransom: Win32/Cerber.A

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very Serious)

Cerber.A Especially email Ke Jariye Aata Hai, Our Felata Hai. Kuchh Cases Me Ye Kisi Pen drives Ya koi Aur external hard drive Lagane Se Bhi Enter Ho Jaata Hai, Iske Name Bhi Attractive Hote Hai, Our Kisi Celebrities Jaise Modi, Sunny Leoni, Obama Ya Kisi Current Event Par Rakhe Jaate Hai. Ye Virus .Cerber, .Cerber2 Aur .Cerber3 Jaise Extension Me Bhi Aate Hai.

Cerber.A Virus Ko Delete Aise Kare And Unse Bachne Ka Tarika.
Microsoft Tools Ki Help Se System Ki Daily Full Scanning Karne Se. Windows Defender Antivirus Se Remove Kiya Ja Sakta Hai.

(8)- Ransom: JS/FakeBsod.A

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very Serious)
 remove locky
FakeBsod.A Virus Direct Web Browser Par Attack Karke User Ko Ak Fake Massage dikhata Hai. Jisme Ak Toll Free Number Diya Hota Hai. Hacker User Ko Us Nuber Par Call Karne Ke Liye Prompt Karta Hai Taki फिरौती Dene Ka Massage Sunaya Jaa Sake. Ye Virus User Ke Browser Ke Address-baar Par Bhi Control Kar Leta Hai. Our Yuse Koi Bhi Shortcut Key Ka Use Karne Bhi Nahi Deta.

FakeBsod.A Virus Se Bachne Ka Tarika:
Browser Me Aise Koi URL Open Na Kare Jinhe Lekar Windows Ki Aur Se Koi Unsafe massage Aata Hai. kisi Bhi Vajah Se Apne Browser Ki Security Level Ko Down Na Kare. iske Baad Bhi Virus Aa Jaaye To Microsoft Tools Ki Help Se Apne System Ki Full Scanning Kare. Aur Windows Defender Antivirus Se Aise Virus Ko Search Karke Remove Kar De.

(9)- Ransom:HTML/Cerber.A

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very Serious)

Dusre Ramsomware Ki Tarah Ye Virus Bhi Email Ke Jariye Felata Hai. Aise Email Me Ak Auto Executable Virus File Hoti Hai Jo Automatically Aapke Computer Me Run Hoti Hai. Our Ak Baar Jab Computer Active Hota Hai To Ye Virus File Err Massage Bhejkar Pareshan Karta Hai Aur Data Ke Sath System Ko Apne Control Me Le Jaata Hai.

Cerber.A Virus Ko Remove Karne Ka Tarika / Unse Bachne Ka Tarika:

Agar Aapke PC Me Ye Virus Hai To Aisa Massage Aata Hai.. Attention. Attention. Attention. Your Documents, Photos, Databases and other Important Files Have Been Encrypted! Aisa Massage Aane Par Turant Kisi Except Ki Help Le. Aur Jab Tak Help Na Mil Jaaye Tab Tak Apne PC Ya Laptop Me Windows Defender Antivirus Turant Active Karke Deep Scan Karna Start Kar De. https://support.microsoft.com/en-us/help/17464/windows-defender-help-protect-computer

(10)- Ransom: JS/Brolo.C

Alert Level: Severe (Microsoft Ke Anusar Very Serious)
locky file virus ransom removal tool,
Brolo.C Ransomware Category Ke Virus User Ko Ak Interesting Massage Dikhata Hai Jisme User Ke Browser Control Karte Huye Us Par Ak Fine Lagane Ki Baat Hoti Hai, US Me Huye Is Virus Ke Attack Me Legal Agencies Ke Hawale Se Fake Message Bheja Jaata Hai. Hacker Users Ko Darate Hai Ki Agar Usne फिरौती Nahi Chukai To Agencies Uske Khilaf Action Legi. Ye Virus Users Ko Browser Ko Off Karne Se Rokta Hai, And Vo Koi Shortcut Key Bhi Use Nahi Kar Pata Hai.

Is Virus Se Bachne Ka Tarika:
Unknown Source Se Aaye Kisi Bhi File Ko Download Na Kare Our Nahi Aise Kisi Bhi Massage Par Click Kare.

Friends Aapko Maine Is Article Ke Jariye Ransomware Virus Kya Hai Aur Windows Computer, Laptop Ko Is Virus Se Kaise Protect Kare Iske Baare Me Sari Jankari Aapke Sath Share Ki Hai, Feer Bhi Aapko Kahi Pe Bhi Koi Problem aa Rahi Ho To Comment Ke Jariye Hame Bataiye, Aapki Puri Help Ki Jayegi.

Aapko is article Se Kitana Helpful  Huya Ye Bhi Bataiye, And Is Post Ko Maximum Share Kare, Apne Friends  Ko Bhi invite kare. Aapki ak Share Karne Se Kisi Ko Help Mil Sakti Hai To Isme Koi Galat Nahi Hoga, Facebook, Whatsapp, Google Plus, Linkednl, Par Jarur Share Kare. taki Virus Ko Remove  Karne Me Help Mil Sake.

Ye Bhi Padhe➥

Read More