Kai baar Hamare Mobile Ya Camera me Lage Memory Card Hamari jarury file, Photos, Video, Song, Document, Contact Number, E-Mail, etc..Delete Ho jate hai, agar Hamne ise kisi our jagah par save nahi kiya hai to hamare paas Photos, Video, our File ko Dobara vapas Pana impossible ho jata hai, Ab aapko Pareshan hone ki jyada jarurat nahi hai, Kyu ki Aaj me Aapke liye aise post lekar aayi hu, jis se Aap badi Aasani se mobile ya memory card se delete huye data ko Aasani se Vapas pa sakoge, vaise to mobile se deleted data ko recover kaise kare iske baare me internet pe bahut sari post aapko mil jayegi, lekin me aapko aasan tricks batane ja rahi hu, shayad aapko data recover karne me easy hoga,
Sabse Pahle Kya Kare?
- Agar aapke Memory Card Se Photos, Video, Document, File, Contact Number, Delete ho Gaye hai to sabse pahle aap apna mobile phone turant off kar de,
- Iske Baad Apne Mobile me se Memory card Ko nikal de,
- Recovery se Pahle ak baat ka khas dhayan Rahe ki Memory Card ko ak baar nikal ne ke baad yuse kahi bhi use Na kare,
Kya Sabhi File ko Vapas Pa Sakte hai?
- Memory Card se Delete Hui Har tarah ki File Recovery ki Ja Sakti hai,
- Inme Photos, Videos, Music Song, File, Document, Contact Number, And E-mail Jaise Our bhi Dusri File Shamil hai,
- Delete Hua File Vapas Pane Ke Liye Computer me "Recuva" Software Download kare,
- Recuva App. Google Play Store se bhi Aap Download kar sakte ho our maine yaha link di hai Yaha se Bhi Recuva Download kar sakte ho,
- Ye Windows 2000 ya is se upar ke Version me support karta hai,
- iske Baad Memory-Card Ko Card-Reader Se Connect Kare, our feer Card-Reader ko Computer Se connect kare,
- My Computer me Card-Reader ak Alag Drive Ke Roop me Dikhai dega,
Aage Ka Process Kya Hai?
Jab My Computer Me Card-Reader Alag Drive ke Roop Me Dikhai dene Lage to iske Baad Recuva Ko Open Kare, Ise open karne ke baad kai tarah ki file Recover karne ka option aayega, isme Photos, Videos, E-Mail, Document, File jaisa kai Option hoga, yaha aap jis type ke data recover karna chahte ho vo option select kare, jaise ki aapki photos delete hui ho to photos option ko select kare,
Iske baad Browser ka Button dikhega ki Kis Location me se Delete Hui File Recover Karna Chahte ho, yaha My Computer me jakar memory card vali Drive ko select kare,
Iske baad Scan ka button par click kare, Kus hi Second me Delete hui Sabhi file show ho jayegi, inhe select karke Recover ke option par jaye, Iske Baad inhe Desktop Ya apni man-pasand Location par Save kar Le,
Phone Se Delete Hui Contact Number Recover Kaise Kare?
Aapke Mobile Phone Me Gmail Account Activate hai, matalab ki aap G-mail id use karte ho to aapki delete hui contact number bhi hasil kar sakte ho, bas iske liye aapko jis e-mail id use karte ho vo gmail Acconut computer me Log-in kare jo aapke phone me activate tha, yaha Compose karne ke option ke upar Gmail ka 'icon' diya huaa hai, is par click karne ke baad aapko contact ka ak option milega, yaha par aapko phone me save contact number mil jayega,
- Bhul Gaye Pattern Lock, bina Data delete kiye kaise kare unlock,
- Facebook Photos Ko Video Me Kaise Convert Kare-Features
- Freedom 251 SmartPhone ki Delivery 28 June se Start hogi.
- Bina Internet Ke Free Me WhatsApp Kaise Use Kare-Chat Sim
- Chori Ho Chuke Phone Me Kaise Delete Kare WhatsApp Account
- Mobile ke Baare me Khas 6 baate Jiske baare me hame pata nahi hota he.
- Mobile phone me parsonal apps ko kaise kare hide- 6 Step
- Chori Ho Chuke Phone Me Kaise Delete Kare WhatsApp Account
Note : Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.
Hi
ReplyDelete