Bhul Gaye Pattern Lock, bina Data delete kiye kaise kare unlock,
Mera pattern lock last 1 years se ak hi tha , to bhulane ki to koi baat hi nahi, but ak baar ak hadse ki vajah se me bahut Depression, me chali gayi thi, To jab me subah ki chay pike me mobile me news read karna chahati thi , lekin kya huaa patta nahi, pattern rong hi lagata tha uske baad maine bahut trai ki kafi 200 baar kar chuki lekin yaad hi nahi aaya,
Fir socha ki flas marva du, vo bhi nahi kar sakati thi , kyu ki mobile me contact, family photos, video, kus document, or bahut sari chije thi , muje kus na bhi kus karake bina data delet kiye android phone me pattern ko unlock karna tha, Isliye maine forgot my password ka options chuna fir bhi nahi huaa ,
Ab koi rasta nahi tha mere paas to maine google pe pattern unlock ke baare me search kiya ,fir ak din meri kismat arcchhi thi ki ak website mily jisne thodi si jankari mili or maine bina data delete kiye hi mera smartphone ko unlock kiya, Vo kaise huaa? Iski step-by- jankari aapko sare karti hu shayad meri vajah se aapke mobile ke data bach jaye,
Kai baar jaldbaji me ya galati se ham phone ko lock karake password ya pattern lock bhul jate he, aapke samane kai baar aisi Sichuation aa gayi he , or aap apane pin, password , pattern lock ko bhul gaye, to aaj me batane ja rahi hu ak aasan tarika jo aapka data Secure (salamat) rahe ,
Kaise recover kare password:
-agar aap pattern or paasword bhul gaye ho, or aapke mobile me Forgot Password ka options he to us par click kare, apana Gmail id or password enter (fill) karake phone ka password recover kar le, Lekin kya hoga agar Gmail id or password bhi bhul gaye ho to? Agar aapke mobile phone me forgot paasword ka options nahi he to ye step follow kare-
1- android SmartPhone me Pattern Lock Recover karne ke liye khas baate-
Paasword recover karane ke liye sabse pahele aapka android smartphone rooted hona chahiye, sabhi smartphone ko root karane ki process alag-alag hoti he, Aapne headset ko root karne ke liye google search kare, phone meTWRP Recovere app install honi chahiye,
(Note: phone root karane se pahele khas dhyan de ki agar aapka process galat huaa to aapke data ko damage bhi ho sakata he, aap ise puri tarah se secure hone ke baad hi kare.
Step number 1 :
Sabse pahele aapko ByPass Lock scree zip file download karne padegi. Iske liye google pe search kare ByPass Lock scree zip file bahut sari site pe ye zip file aapko mil jayengi
Step number 2 :-
Downloads hone ke baad aapko ye file apne mobile me trasfer karni padegi , ab aap ye sochenge ki phone to lock he to ye file trasfer kaise hogi, iske liye ak aasan tarika he, Aapko Apne lock phone me se memory card nikal kar cardreader se conect kare or cardreader ko computer se conect kare, or computer me se bypaas lock scree zip file ko memory card me trasfer kar de.
Step number 3 :-
Or ab cardreader me se memory card nikalkar apne phone me laga de or phone ka power off kar de.
Step number 4 :-
Ab apane phone ka volume up or power butten ya volume dowan power button dabaye, iske baad aapke phone ki screen pe TWRP Recovery (H2-MM) 3.0.0.0.1 dikhai dega, Isme install options par click kare.
Step number 5 :-
Isme ProjectRecovery zip file ko silect kare or swipe to flash kar dijiye
Step number 6 :-
Iske baad Reboot sistem par click kare, ab aapka phone Reboot hoga, ab aap dekhenge ki aapki phone screen me se pattern lock gayab ho gaye he, Ab aap apne data ko Access kar pavonge , shath hi new password save bhi kar sakate he.- Hamari Our Bhi Bahetarin Post Read Karne Ke Liye Click Kare👇
Facebook users k lye ap ki trick kaafi madad gar hain.... thanks for this sanju SIR.....
ReplyDeleteWale F.B.liker,
DeleteMere mobile Samsung gt-s5282 model hai jo wrong pattern ki wajah se lock ho gya hai,plz koi help kare .ishme mai gmail ac bhul gya hun but mere mobile ka contact file image bahut important hai..koi help krega mere ko...my contact 8757425897
ReplyDeleteSujit kumar pattern bhul jane par use unlock karna bahut easy baat hai. Internet pe bahut sati trick mil jayegi. Aap kisi bhi trick ko follow karke unlock kar sakte ho. Aapka sabhi data secure rahega yah baat granted hai. Agar aapko meri post samaj me aa gayi ho to aap step 1 se last step tak follow kare. Aapka pattern lock" unlock ho jayega.
ReplyDeleteBhai m ap lock ka pettern bhul gya hu maine forgot bhi kiya tha and mera gaim acount bhi show ho rha h but mere pas otp send krne ka jo oppsn hota h vha pr m click nhi kr paa rha hu and app lock mai mere prsnl. Photos bhi h ao plzz hepl me bhai m kya kru
ReplyDeleteMURARI Bro.. apps ke pattern lock bhul gaye ho to maine post me bataiye gaye step follow kare, bas thoda change hoga but process same hai, kyu ki post me mobile screen pattern lock forget ki tricks batai hai, aapko app pattern lock ke liye karna hai, aur koi ideas nahi hai, aap chahe to google search ya feer youtube video ki help se try kar sakte ho.
Deleteagar aapka data bhi lost ho jaata hai to aap yuse recover kar sakte hai. iske liye sabse best application EaseUS Data Recovery Wizard pc se apne sabhi data ko secure recover kar sakte hai.
Deletebhai mera mob redmi 5a h m uska pattern lock bhul gya hu.
ReplyDeletekya ap meri help kar sakte h ise kholne me jisse mera data bhi formet na ho aur lock khul jay.
M forget possword me gya tha mger vha erase all data likha hua aata h
Please help me
ha bahut hi aasan hai, maine bhi kahi baar aisa kiya hai. aap bhi kar sakte ho, aap maine batai trick follow kare, agar aur tricks chahiye to google aur youtube pe bahut sari aasan trick aapko mil jayegi, iske liye google ya youtube pe search kare. "bhul gaye pattern lock ko bina data delete kiye unlock kaise kare" aapko bahut sari tricks mil jayegi
DeleteWhat a fantabulous post this has been. Never seen this kind of useful post. I am grateful to you and expect more number of posts like these. Thank you very much. Odzyskiwanie danych Łódź
ReplyDelete