11 Tips Se Badhaye Phone Ki Battery Life Nahi Karna Hoga Baar- Baar Charge - Hindi Love Tips

Hot

March 23, 2019

11 Tips Se Badhaye Phone Ki Battery Life Nahi Karna Hoga Baar- Baar Charge

Smartphone ke Jaldi Discharge hone Se Sabhi Pareshan Rahte hai, Lekin Kuchh Aasan Tips Ko Follow karne Se Phone ki Battery Life Badha sakte hai, Is Me Phone Ko Baar-Baar Charge Karne Ki Jarurar Nahi Rahegi.
Battery life savings tips

Bina Software Install Kiye Aise Badhaye Mobile Phone ki Battery Life

Smartphone Ne Hamare Sare Kaam Aasan Kar diye Hai, Lekin Ak Pareshani Hamesha Raheti hai, Or Vo Hai, Battery Life Ki, Kabhi Sath Me Power-Back Le ke ghumna padta hai, to kabhi Switch-Bored Ke Paas Mobile ko Plug-in Rakhke bethna Padta hai,

Play Store par Battery Life Savings Android Apps to bahut sari hai, Ye 99% Battery Savings ka dava bhi Karti hai, par sab Fake hai, balki aapke Call Phone ki battery ko teji se Low karti hai, Ye Battery Saver Apps Me Bahut sare Ads Show hoti hai, iski vajah se Aapke Smartphone ki battery Jald khatam ho jati hai, And Ads par click karne se App Developer ko income hoti hai, or aapki battery low hoti hai, & Aapke Mobile Phone Ki Ram, Memory Space bhi Kam Karti hai, jis se Aapke Smartphone ki Speed bhi Kam ho jati hai, or Call Phone Slow ho jaata hai, To Friends Bina Apps install Kiye Smartphone ki Battery Life Kaise Badhaye iske baare me Me Aaj Aapke Liye 11 Tips Lekar Aayi hu, jis se Follow karne Se Aapki kahege ki Vaah......amazing.

1. SmartPhone ki Brightness ko 50%
Apne SmartPhone ki Brightness ko 50% se kam Rakh Kar Aap Apne Phone Ki Battary Life Badha sakte ho, Sath Hi "Auto-Brightness Mode" ko Off Karke Battery Life Badhai ja Sakti hai,

2. 15 Seconds Ka Rakhe Sleep Time.
Screen Ke Sleep Time ko 15 Seconds Se Jyada Nahi Rakhna Chahiye, Is Se Bhi Deen-bhar me Kafi Battery bachai Ja Sakti hai,

3. Jyada Battery Kharch Karne Vale Apps
Hamare Phone Me Install Apps Kitani Battery Kharch Kar rahe hai, iske baare me ham befikar rahte hai, Lekin Ye Low Battery Life ke Liye Khas Vajah Ban Sakti hai, Kon Sa App Kitni Battery khate hai ye janne ke liye Aap Settings > Battery me Jakar dekhe ki Kon Sa Apps Jyada Battery Consume kar Raha hai, Phone Ki Battery Bachane ke Liye Uska Use Kam Kare, Ya To Extra App ki Cache Clear kare, Or Notification Bina Vajah ki Off Rakhe,

Phone Ke File Manager me Bina kaam ke extra Folder ko Remove kare, Jaise Ki Android And Aap Photos Editing, Video Player, Or Koi Bhi Apps Use Karte Ho to iska Folder File Manager me Save Hota Hai, isme Cache or Backup files Stores hoti hai, joki vo kisi kaam ki nahi hoti, ise remove kare, Is se Aapki Battery Life Badhane se Alava Ram Space, internal Memory, bhi badhegi, Aapke Phone bhi Fast load hoga,

Sabse Jyada Battery Net, game Play karte time khati hai, Bina Activities Par Data Connection Off Rakhe, Facebook Apps Bhi Sabse Jyada battery khane me No.1 par hai, kyu ki aapke data ON hone par Notification Aati Rahti hai, or Battery Consume hoti hai, isliye Facebook Apps ko Clear Cache kare, Or Jab Use Na Karna Ho To Force Stop Kar de,

4. Battery Saver Mode Ko ON Rakhe.
Ise Settings > Battery > Battery Saver me Jakar ON Kar Sakte Ho, is se 90 Minutes ka Extra Tock-Time milane Ke Sath Hi Battery Ki Life Badh Jaati Hai,
(ye Option Sabhi Mobile Headset par na bhi ho, To Maine Bataye Agale 3 Tips me bhi Manual Settings ho Jayega, jaise Ki Brightness kam rakhana,)

5. Dark Wallpaper Ka Use Kare.
AMOLED Display Vale phone Jyada Power Use Karte Hai, AMOLED Display Hone Par (Jo Lagbhag Sabhi Samsung Smartphones Me Hoti Hai) Dark Ya Black Wallpaper Ka use Kare, ye Battery Savings me help karta hai,

6. NFC Ko Tern Off Kar De.
Smartphone battery ko leke Hui Search ke mutabik NFC Ko ON hone se Bahut Sari Battery Kharch hoti hai, Ise Settings > Wireless & Networks > NFC me Jakar Off Kiya Ja Sakta Hai, And GPS, Wi-Fi, Bluetooth, ko bhi bina kaam ke Off Hi Rakhe, kyu ki vo sab On hone Par Searching karte rahte hai, yus se bhi bahut sari battery bachai ja sakti hai,

7. Phone Ko Vibration Se Hata De.
Phone me Vibration ON Hone par Jyada Battery Kharch Hoti hai, Battery Bachane Ke Liye Dial-Pad-Tones. Screen Locking Sounds. Touch Sounds Sabhi ko Silent mode par Rakhe,

8. Widgets ka Use Minimum kare.
WIDGETS mod par Phone Apps ko Big Size me Screen par watch karna Best Experience Ho Sakta hai, But Ye Battery Ke liye Sahi nahi hai, ise Off Hi Rakhe,

9. Background Apps Ko Off Kar De.
Smartphone me Bahut Apps Jaise Mail, Facebook, Twitter, Google+, Whatsapp, Linkednl, News App, Facebook Pages Manager, Messenger, ON Rahte hai, Jo Ki Lagatar Battery Consume karte hai, Is se Aapka Phone Jaldi Discharge ho jata hai, In Sabhi BackGround Apps Ko Tern Off Karde,

10. Gestures Features Ko Off Kare.
Agar Phone me Eye-Tracking ya AIR Gestures Features Available hai to ise Disable kar de, ye Feature use nahi hote but lagatar battery khate rahte hai,

11. Sabhi Connectivity ko Ak Sath Use Karne Par.
Phone Me Wi-Fi, Bluetooth, GPS, Ak Sath Use Karte hai, ye Sabhi System ak sath ON hone ki vajah se Phone Ki Battery Discharge hone Lagti hai,


Note:-  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.

Also Read-Very UseFul Article..