Aaj ke Samay me Har Kaam Ke Liye Apps Ki Jarurat padti hai, Ak baat saaf hai ki Apps ne hamara bahut se sara kaam Aasan Kar diya Hai, or iski vajah se Life Bhi Aasan Ho Gayi hai, koi bhi kaam 1click se ho jata hai, Chahe Aap Phone par Game khel kar Ghanto bitana Chahte ho, ya duniya ke kisi Kone me baithe insan ke shath Video Calling karna Cahate ho, Sabhi apps ke jariye Aasan hota hai, par inme se kus Apps aise bhi hoti hai jo aapko pareshani me dal sakti hai,
par kya aapko pata hai, kus apps aise hi jo sirf usi ke fayde ke liye user ko muskeli me dalte hai, or ye apps kafi popular bhi ho jati hai, or ye apps user ki help karne ka daava karti hai but aisa kus hota nahi balki user ki battery life or Data jaldi khatam karti hai, aise Apps ki internet par koi kami nahi hai, bahut sari apps hai, or sirf usi ke fayde ke liye banai gayi hai, Aapko ak baat bata du smartphone par aisi apps ko install karte hai to uske baad apps par bahut sari advertise aati hai, or company app developer ko paise deti hai, ads par jitani click hoti hai usi ke hisab se apps ko paise milate hai, aise apps Lakho-Crore kamati hai or badle me hamara data chori ya jaldi khatam ho jata hai, and battery Discharge bhi jaldi ho jati hai,
To aaiye friends baat karte hai aise hi kus 6 Android Apps ke baare me jo daava to karti hai aapki help karne ka, par asal me aapki pareshani or bhi badhate hai, is se hame fayde to kus nahi milta, balki hame musibat me dalate hai,
(1)- Clean It: Android App
Aap ye soch rahe honge ki ye App ko Uninstall karne ki hame kyu salah de ja rahi hai, jab ki ye to phone ki Cash Clear karke phone ki speed badhane ka dava karti hai,
Aapko bata du ki Darasal, Phone ki cash clear baar-baar karne se mobile phone Slow ho jata hai, App ko Kaam karne ke liye ise Rebuild hona padta hai, Is Process me battery jyada kharch hoti hai, ye Mitch hai ki Running app ko Clear (stop) karne se battery save hoti hai, Agar App bhi Aisa karte ho to abhi ye karna band kar dijiye, And Clean It App ko uninstall kar dijiye, ise me aapki bhalai hai,
(2)-Music Player
Apne Name ke mutabik ye App users ko apne phone ki play list me, Store audio Play karne ki suvidha deta hai, App ko Use karte time isme kai Popup-Ads Aati hai, jyada chinta ki baat ye hai ki ye App user ka Data Uses karte hai, or Battery bhi jaldi khatem hoti hai, jo user is app ko use kar rahe hai inki kafi Complain hai ki, ise use karne se net data jaldi khatam ho raha hai, shath hi battery bhi jaldi khatm ho jati hai,
(3)- Du Battery Saver Fast Charge
Archa hoga ki aap Ye popular Battery Saving App ko install na kare, App ke Name me Fast Charge to hai, lekin ye Fast Charge Support nahi karti hai, isme kafi jyada Ads bhi aate hai, aapke phone me use hone vale all most har app me ye apne Ads Sponsor karta hai, is se Na Sirf Battery khatm hoti hai, balki net data bhi jaldi khatam ho jata hai, aise me app ko turant uninstall karna sahi hoga,
(4)- Dolphin Web Browser
Developer dvara Claim kiya jata hai ki ye App Ads Free hai Or Flesh Supporting App hai, Jabki ager app ye app download kar rahe hai to aisa apne Risk par hi kare. Darasal hota ye hai ki is Browser par ager aap INCOGNITO mode me kus bhi dekhte ho to ye us file ko Aapke phone me save kar deta hai,
(5)- QuickPic
QuickPic Photo Gallery app hai, ye use karne me aasan or user Friendly app hai, AndroidPit website ne ise 2015 ke best apps me se AK (1) bataya hai, ye app photo Lunching me help karne ke shath hi isme Private photos ko bhi hide kiya ja sakta hai,
Last Years me Ise Cheetah Mobile ne Lunch kiya tha, Company ne Users Ke Data ko Apne Sever par Uploads karna Saru kar diya hai, to aise me users ke Private photos and Personal data Lick hone ka Khatara Badh gaya hai, agar aap bhi is app ka istemal kar rahe hai to yuse turant Uninstall kar de.
(6)- ES File Explorer.
Is App ke two Version play store par available hai, ak Paid hai or dusra free hai, free version ke shath aapke phone me kai bloatware and Adware download ho jate hai, ye phone ke data ke shath hi phone ki memory bhi अोँक्यूपाई karte hai, iska dusra sabse bada Drawback ye hai ki ye app download karne par kai Additional app bhi download karne padte hai, is me jo Popup-baar hai yuse Disable bhi nahi kiya ja sakta hai,
Also Read:
- Mobile phone me parsonal apps ko kaise kare hide- 6 Step
- In 5 free apps ko install kare, kamaye data or paisa
- Android Smart Phone Me intimate And Personal Photos Save-Privacy Tips
- Internet Speed Test Download Now-TRAI MYSPEED APP
- 5 day me shikhe english bolana, ye 8 best android apps ki help se
- downloads kare 6 Best Mobile apps or kamaye ghar baithe paise
Note : Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein. Ager aapke paas aise koi or bhi app hai jo aapke battery life and Net Data jaldi khatm ho jane ki vajah banti hai to hame comment karke bataiye, or koi question ho to bhi aap bataiye. And thanks to visit site.
Android smartphones ma internet istamaal karnay k lye dholphin browsers se acha browser our koi ho he nahi saakta... Hats off...
ReplyDeleteFeedback ke liye Thanks par muje lagta hai shayad aapne dholphin browsers ki policy read nahi ki hogi.
Deletefree net ki koi trick bataen pls
ReplyDeletethanks Vickyaftab bro.. Vaise To internet pe free me net chalane Ki bahur sari tricks hai. And vo state pe depending hai ki vo kis location par work karegi ya nahi. Maine to bahut sari tricks ka test kiya hai but 90.99% work nahi karti hai.is vajah se me aisi post ko share nahi karta hu.
Delete