Aaj Me Aapko Kuchh Aise Android Application Ke Baare Me Batane Ja Raha Hu Jo Study Ke Time Aapke Liye Bahut Useful Sabit Ho Sakti Hai. Aaj-Kal Google Play Store Aur Apps Store Par Students Ke Liye Maths Ke Formulas Ko Solve Karne Se Lekar Science Aur Other Subject Se Related All Type Ke Education Apps Available Hai. Ab Baat Karte Hai Un Apps Ke Baare Me Jo Education Me Kafi Helpful Hai.
➧5 Android Apps Se Banaye Study Ko Aasan
(1)-Google Docs
Agar Aap Android User Hai, To "Google Docs" Ka Use Apni Study ko Aasan Banane Ke Liye Kar Sakte Ho. Ye Application Me Kai Sare Feature Se Less Hai. Isme Aap Document Create Karne Ke Sath Yuse Edit Or Dusre Documents Ke Sath Collaborate Bhi Kar Sakte Hai. Yaha Par Aap Apne Taiyar Kiye Gaye Documents Ko Mobile Ya Feer Web Par Aasani Se Edit Kar Sakte Hai. Aap Apne Document Or Work Ko Dusre Ke Sath Share Bhi Kar Sakte Hai. Aap Is Par Bina Internet Connection Ke Bhi Work Kar Sakte Ho. Yaha Par Aapka Works Automatically Save Bhi Ho Jata Hai, Isliye Aapke Dvara Kiye Gaye Work Kahi Jayege Nahi. Google Doc Or Sheets Me Aap Data Ko Alag-Alag Andaj Or Color Me Dekh Sakte Ho.
Google Docs Additional information:
Updated : 13 March 2017
Size : Varies with device
Installs : 100,000,000 - 500,000,000
Current Version : Varies with device
Requires Android : Varies with device
Content Rating : Rated for 3+
Students Ke Liye "Smart Voice Recorder's" App Bade Kaam Ka Sabit Ho Sakti Hai. Isme Aap Apne Collage Ya Tuition Ke Lecture Ko Record Kar Baad Me Sun Sakte Hai. Aksar Dekha Gaya Hai Ki Lecture Ke Time Teji Se Likhne/Notes Banane ke Chakkar Me Students Lecture Par Jyada Fox Nahi De Pate Hai. Aise Me Lecture Ko Phone Me Records Kar Aaram Se Note Bana Sakte Ho. Is Application Ki Sabse Khas Baat Yeh Kahi Ja Sakti Hai Ki Record Voice Ko Aap PC Me Bhi Transfer Kar Sakte Hai. Or Bluetooth Se Share Bhi Kar Sakte Hai. Isme Background Record Ke Sath Card Me Recording Ki Facility Bhi Available Ki Gayi Hai.
Additional information:
Updated : 14 October 2016
Installs : 10,000,000 - 50,000,000
Current Version : 1.8.0
Requires Android : 2.3 and up
Content Rating : Rated for 3+
(3)-Evernote
Evernote Bada Hi Upyogi App Hai. Iska Use Kai Sari Chijo Ke Liye Kiya Ja Sakta Hai. Lekin College And School Ke Students Iska Use Apni Study Ko Upyogi Banane Ke Liye Kar Sakte Hai. Khas Kar Notes Taiyar Karne Ke Liye Students Iska Use Kar sakte Hai. Isme daily Note Ko Aap Modern Tarike Se Bana Sakte Hai. Note Ke Sath Hi Aap Audio, Video And Picture Ka Bhi Istemal kar Sakte Ho. Evernote Me Aap Group Project Bana Sakte Ho. Is App ki Sabse Khas Baat Yah Kahi Ja Sakti Hai Ki College Me Diye Gaye Lecture Ko Record Kar Isme Integrate kar sakte Hai, Evernote Ka Upyog Mobile Or Desktop Se Bhi Kiya Ja Sakta Hai.
Additional information:
Updated : 17 March 2017
Size : Varies with device
Installs : 100,000,000 - 500,000,000
Current Version : Varies with device
Requires Android : Varies with device
Content Rating : Rated for 3+
(4)-Cam scanner
आमतौर Par Colleges Me Jab Kisi Student ke sath notes Share karna ho, To Aas-Paas Me Photo_State Ki Dukan Khojane Lagte Hain. Lekin is kaam ko Camscanner Ke jariye Bhi Kiya Ja Sakta Hai. Camscanner bilkul scanner ka Ehsaas kara Ta Hai. application Uses me bhi behad aasan hai. Scan Kiye Gaye File JPG Aur PDF format me save kar sakte hain. Or Yuse Dosto Ke Sath Share Bhi Kar Sakte Ho, Google Play Store Par Yah application Free me available hai.
Additional information:
Updated : 6 March 2017
Size : Varies with device
Installs : 50,000,000 - 100,000,000
Current Version : Varies with device
Requires Android : Varies with device
Content Rating : Rated for 3+
Microsoft ka yah application Android users ke liye kafi useful sabit ho sakta hai. Is app ki sabse achi baat yah kahi ja sakti hai ki application main aap bilkul desktop ki Tarah अहसास Pa sakte hain. isme aap PowerPoint, Excel, MS Word file ko aasani Se Bana sakte hai, aur yuse share, edit kar sakte hain.
Note : आपको ये पोस्ट पसंद आई हो तो लाइक करें अगली पोस्ट के लिए Follow का बटन दबाए और हो सके तो whatsapp और facebook पर share भी कर दें.. हमारे सभी पोस्ट पढ़ने के लिए Logo पर क्लिक करें.... धन्यवाद...
ALSO READ: