Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake - Hindi Love Tips

Hot

March 25, 2019

Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake

Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake-Tips 

Telephonic-Interview with girl

Telephonic Interview  Hindi Tips

Sabse Hard work ho, to Telephonic Interview hai, usko khas karke sabse  mushkil Mana jata hai, America ke "D-Survey methods Centre At Social And Community Planning Research" (SCPR) Ke Director Roger Thomas and Researcher Doctor Susan Purdon Batate hai, ki is tarah ke interview se Candidate ki Knowledge ke shath Attention or Behaviour ka bhi pata lagaya jata hai, Bas to aaj me isi topic ke baare me baat karungi, To chale Ham baat karte hai.

Telephonic Interview Ko Aasan kaise Banaye-7 Tips



(1)➧ Mentally taiyar Rahe,
Telephonic Interview ke liye Apne Aap ko hamesha taiyar rakhe, kyu ki kabhi bhi aa sakata he interview ke phone, Mind ko interview ke liye taiyar rakhe, shth hi any Logistics  taiyariya bhi karke rakhe, aise interview ke dauran apke mobile ya phone ka sahi work hi Bahut jaruri hai,

(2)➧ Puri Tarah Fox Rahe,
Aise interview ke dauran Fox rahena behad jaruri hai, Darasal, Telephonic interview ke dauran aapke aaspaas kisi tarah ka Disturb ho sakata hai, jiski vajah se aapka dhyan bhatak sakata hai, aise me mind ko puri tarah interview ki baato me lagana chahiye, aap jitane foxes honge itana jyada fayada aapko milega,

(3)➧ Puri Baat Sunne ke Baad Hi Bole,

Interview dete vakht khas impotent baat hai ki jab interviewer aapse koi Question puchh raha ho tab Aaram se or pura sune, kai baar candidate bich me hi Sawal ko katkar Answer dena saru kar dete hai, is se interview ka Flow bigad sakata hai, or interviewer ka temperament  bhi, Candidate ka Best listener hona bhi bahut jaruri hai, Baat-chit karte vakht aapko apni Voice विनम् or Slow स्वर ki rakhni chahiye interviewer ko aisa na lagna chahiye ki aap us pe havi hona chahte hai,



(4)➧ But, No Jaise Word Ko Use Na kare 
Aise Candidate jo fist baar Telephonic interview deta hai, Aksar vo But, No, Lekin, Matalab Jaise word ka istemaal bahut jyada karte hai, Ye word aapko Negative Batate hai, or is se Interviewer par galat Asar hota hai, aise word ke use karne se bache varna aisa lagata hai ki Candidate me Confident nahi hai, isliye apni baat-chit ko aaram se sune or kahe, right word ka hi use kare,

(5)➧ Interview se Fist Research Kare,

Interview ke dauran interviewer kya puchhege? Ye sawal aksar candidate ko paresan karata hai, aise me jaruri he interview ke call aane tak time rahete apne course se juddi Study ke shath company ke baare me puri research kar le, interview ke vakht company ki jankari interviewer ko impress kar sakati hai, iske liye company ki website or us company me aapka koi senior  ya parichit hai to aap unki help le sakate ho, Interview dene se pahele research kare ki interviewer kya sawal puchege, kon sa sawal puchhege, kis tarah ke sawal pusege,

(6)➧ Common Question Ke Liye Taiyar Rahe 


Interview kaisa bhi ho lekin ak kai question common hote hai, aise me ye common sawalo ke liye taiyar rahana bahut jaruri hai, to aapke liye maine kus common interview question jo sabhi interview me puche jate hai, vahi ...
  • kya is job ke liye aap kahi bhi ja sakte hai?
  • is job ke liye aapko travel karana bhi pad sakata hai?
  • is job ko lekar aapko kyu दीलचस्पी hai?
  • ham aapko job dete hai to aap kab se Join kar sakte hai?
  • Salary kitni Longe?
Telephonic interview khatm hone par aapko interviewer Thank you bolne ke shath HR ki Official e-mai id par thank you ka mail bhejana chahiye, is se bahut archa impact pad sakata hai,

(7)➧ Interview ko Record bhi kare 

Telephonic interview ke dauran aapke mobile phone me recording ka App ho to use start karde, or baad me use sune, aisa karne se aapko apni galatiya samaj me aa jayegi, is se aage ki taiyari karne me help milegi, or aapko pata chalega ki aapne kaha pe mistake  ki hai, or aap use dusri baar sudhar sakate ho,


Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite kare-sanju