Top 10 Famous Love Stories Jo Ban Gayi Itihaas me amar
Friends, Is baat ka sabse pata hota hai, ki pyar ke sabhi dushman hote hai, jab koi sacha dil se pyar karta he, True Love karata he to unke khilaf bahut sare dusman khade ho jate hai, pata nahi aisa kyu karte hai log, or khas baat to ye hoti hai ki unka hamne kus bigada bhi nahi hota hai, par log kehate hai na ki sachhe pyar ki fill samjana har kisi ke bas ki baat nahi hai, fir bhi hamare pyar ke bich koi na koi to divar ban ke khada ho jate hai.
Sach kahu to pyar se log jalane lagte hai, vo hamra sacha pyar bardaast nahi kar pate hai, Fir bhi me ak baat kehna chahungi ki log to kehate hai ki sachhe pyar ki jit hoti he, lekin kabhi kabhi haar bhi hoti hai, dosto sachha pyar haar jate hai, vo dushamani ki is divaar ko todne me nakamyab hota hai, Dosto Sachha pyar kab harta hai, kya aapko pata hai? Bas ye janne ke liye hi ye post likh rahi hu,

True Love tab haar man jata hai, jab koi apna hi aapke samne dushman ban kar khada ho jata hai, fir chahe vo apne ma-baap ho, ya to apne ijjat ya garima ke sawal ho, tab inshan apne pyar ki bali chada dete hai, or kare bhi to kya ? Ye baat aaj ke jamane me hi lagu hoti hai, aisa nahi he dosto but barso pahele bhi aisi halat khadi hoti thi, iska natija hamare samne hai, or ham use aaj bhi itihas ke panno ko yaad karte hai, or yugo-yug yaad karte rahenge, To chale aaj ham baat karte hai hamare vo itihas ke panno ki jisne pyar ke liye apni kurbani dedi, Apne pyar ke liye mot ko gale laga liya,
(1)-Shah Jahan Or Begum Mumtaz Ki Love Story
|
|
Shah Jahan or Begum Mumtaz ke baare me kaha jata he ki 30 hour tak प्रसव पीड़ा se zuj ne ke baad
17-June-1631 ki Subah Me Mumtaz Shah Jajan ki Baaho me Dam toda tha, Mumtaz ki aakhri Echha ke anusaar or Bagum mumtaz ki Yaad me Shah Jahan ne "
Taj Mahal" banavaaya tha, isi Taj Me Mumtaz or Shah Jahan dono ko dafana ya gaya hai,
Aaj bhi jab koi 'Taj Mahal' ko dekhata hai, to Shah Jahan or Mumtaz ki Love Story ko Yaad karta hai, to friends aaj HindiLoveShayari143.com aapko aise hi Top 10 Love Stories ke baare me batane ja rahe ho, jo aaj tak log unhe yaad karte hai,
(2)-The Love Story of Salim and Anarkali
|
|
Salim ak Mughal Prince thai, Jab Anarkali kanij thi, Salim ke father Akbar ne In dono ke Pyar ko Kabhi Kabul nahi kiya tha, Salim ko Aage Chalkar Mughal ki Satta Sambhalni thi, or Akbar ko is baat ka Dar tha, ki Salim Kanij ke pyar me pagal hokar unki jimmedariya kahi bhul najaye, isliye Unhe Salim ke samne ak Shart rakhi ki, ya to vo Mot ko gale laga le, ya to Anarkali ko unke Havale kar de, Salim ne mot ka rasta chuna, Lekin Anarkali ne aakhri samay me aa ke Khud ko Akbar ko havale kar diya hai, Akbar ne sabke samne Anarkali ko Divaro me chunva diya,
(3)- THE REAL PRITHVIRAJ CHAUHAN-SANYOGITA
|
|
Prithviraj Chauhan Kannauj King Jaichand ki bety Sanyogita se Dil de baitha tha, Lekin Afsos ki baat ye hai ki Jaichand or Prithviraj dono ak dusre ke bich badi hi dushmani ki divar thi, ak baar Jaichand ne Sanyogita ka स्वयंवर Rachaya, Lekin Prithviraaj Sanyogito ko bhari sabha me se Uthake le gaya, isliye ak to purani dushmani thi, or ab dushmani me or aag lagi, Jaichand ne Mohammad Ghori ke shath milke Prithviraj par hamala bol diya, Prithviraaj ko bandhak banakar unki dono aankhe me garm Loha dal diya, bahut kafi yatana yo ke baad Prithviraaj ne khud ko mot ke havale kar diya, Jab Sanyogiti ko is baat ki khabar mili to khud ko ak virangna ki tarah satti ho gayi.
(4)-The Real Love Story Of Bajirao-Mastani
|
|
Bajirao ne Mastani ko paheli baar yuddh ke medan me ladte hua dekha tha, Mastani ka hunnar dekhkar bajirao un par fidda ho gye the, isi ka natija tha ki Bajirao, Mastani ko unke shath pune le aaye the, Lekin uski paheli patni Kashibai or unke pure parivaar ko ye rishta manjur nahi tha, Sajish rachakar dono ko alag kar diya, ye gum Bajirao bardaasht nahi kar paye, or yuddh ke maidan me hi dam tod diya, dusri taraf mastani ne bhi bajirao ki yaad me khudkushi kar li,
(5)-The Real Love Story Of Noor Jahan And Jahangir
|
|
Mughal King Akbar ka beta Jahangir, NoorJahan ke pyar me pagal tha, or dusri taraf noorJahan ne Jahagir ko pane ke liye unke pahele pati 'Sher Afgan' ko dhokhe se Marva diya tha, NoorJahan bahut hi sahsi mahila thi, or Jahagir se Sahadi ke baad mughal ki sari satta NoorJahan ne Sambhali thi,
(6)-The Real Love Story Of Heer And Ranjha
|
|
Heer ke parivaar valo ko uske Ranjha se Pyar par atraaz tha, Lekin baad me unhe kisi tarah samaj or parivaar ko Shadi ke liye samja liya, lekin yaha bhi Heer ke parivaar valo ne ak chaal chali thi, Shadi ke deen hi Khane me jahar mila diya tha, is baat se Heer or Ranjna Anjaan the, Jab Ranjha ko is baat ka pata chala to vo bhagte hua Heer ke paas aaya, lekin tab tak to der ho gayi thi, Apne pyar ko marata dekh kar Ranjha bhi jahar vala khana kha ke Heer ke paas hi Dam tod diya,
(7)-The Real Love Story Of Sohni And Mahiwal
|
|
Sohni or Mahiwal Ak dusre ko Beintehaa Mohabbat karte thai, ak baar Mahiwal bimar pade to Sohni milane ke liye nadi paar karke jaane lagi, vah ghade ke sahare nadi paar karti thi, aisa dour kafi dono tak chala, ak baar Sohni ke parivaar (gharvalo) valo ne pakke ghade ki jagah kaccha ghada rakh diya, us deen Sohni jaise hi nadi me utari turant ghada tut gaya, jiski vajah se Sohni nadi me dub ne lagi, yah dekhkar mahiwal, Sohni ko bachane nadi me kud pada, par durbhagay vas dono ki nadi me dubke mout ho gayi.
(8)-The Love Story Of Aurangzeb And Zainabai
|
|
Aurangzeb ko duniya sirf ak Krur Shasak ke Roop me janati hai, Lekin ye Krur Shasak ke seene me bhi ak dil tha, kaha jata hai ki is mughal shasak ko bhi ak mahila se pyar tha, jiska naam tha Zainabai, Zainabai Nachne-gaane ka kaam karti thi, apni Chhavi or janane me jahangsai ke dar se Aurangzeb ne kabhi apne pyar ko kisi ke samne nahi aane diya,
(9)-The Love Story Of Amrapali and Bimbisara
|
|
Magadh ke king Bimbisara yuddh ke maidan me ladte hua ghayal ho gye the, fir vesh badalkar Vaishali pahuche, jaha nachne-gane vali Amrapali ne aam sainik samjakar Bimbisara ki seva ki, is dauran Bimbisara ka dil Amrapali par aa gya, jiske baad unhone shadi kar li, kaha jata hai ki Bimbisara ko 400 Rani thi, par Amtapali ki jagah sabse khas thi,
(10)-Chandra Gupta Maurya and Greek Princess, Helen
|
|
Magadh ke king ChandraGupta Greek ki Princess Helena ke Divane the, iske liye vo Helena ke pita Seleucus ke shath yuddh karne ke liye taiyar ho gaye, yudh mme Seleucus ko harane ke baad Helen se shadi ka prastav rakha,
Friends aapko Ye Top 10 Famous Real Love Stories kaise Lagi, Comment me jarurat bataiyega or aapke pass bhi koi story ho to muje contact form me mail kar sakate ho, Agar aapko ye stories pasand aayi ho to Like, And Share kare,-Sanju
➧ YOU MAY ALSO LIKE ➤