Google Searching Ko Effective Kaise Banaye-Advance Search Tips - Hindi Love Tips

Hot

March 23, 2019

Google Searching Ko Effective Kaise Banaye-Advance Search Tips

Internet Ke Jariye Kus Search Karna Ho To Google Sabse Bada Helper Sabit Hota Hai, News, Photos Se Lekar Google Har Koi Websites Ke Option Aapko De Deta Hai, But Google Par Searching ko Or Bhi Bahetar Kiya Ja Sakta Hai.

Google Search Code Ki Help Se Searching Bahetar Kaise Banaye

Google Search Codes
Aapko bata du Ki Search Karne Ke Liye Kai Aise Codes hai, Jinse Search Jyada Effective ho sakti hai, Yuse Google Advance Features Bhi Kahte hai, Aaj Aapko Aise Hi Google Search Tips ke baare me batane Ja Raha hu, Jo Google Ne Hi Searching ko Bahetar banane ke liye Kus Khas Searching Codes Banaye Hai.
Google Search Ko Kaise Banaye Aasan:-
Google Ne Searching Ke Liye Kus Khas Codes Banaye Hai, In Codes Ki Help Se Sahi Disha Me Or Improved Search Kiya Ja Sakta Hai, Ye Bahut Hi Normal Codes hai, Jo Lagbhag Sabhi Users Ko Pata Hota Hai, Lekin Codes Ke Uses ke baare me Information Nahi Hoti. Aise Me Ham Yaha Par In Codes Or Inhe Istemal Karne Ka tarika bata rahe hai.
Google Search Ke Best Results Ke Liye Try Kare Google Important Codes:-
Google Voice Command:
Search ko Aasan Banane ke Liye Google Ne Voice Command ki Facility Start Ki Hai, System Me Mic Lagakar Aap Iska Use Kar Sakte ho, Ye Aapko Voice Interaction ko Follow karke Search Karta Hai, Google App Par To Hindi Me Search ka Option Bhi Diya gaya hai, Jyada Jankari ke Liye Aap Google Support Page ["Ok Google" voice search & actions] ki mulakat Le Sakte Ho. 

Coat () Search:
Yadi Aap Koi Coat, Kisi Novel ka Sentences Ya Paragraphs Search Kar Rahe Hai To Coat () ka Use Kare. Jyadatar Websites Coats ke दौरान () Ka Istemal Karti Hai, Aise Me Coat me Likhkar Search Karne Se Google Aapko Sirf Vahi Page Show karti hai, Jinme Yus Line ke Word Yusi क्रम me लिखे Huye Hai.

Aapko Ak Line Adhuri Yaad Aa Rahi Hai, To Yuse Asterisk (*) yani Star ke Sath Search Kare, Google Improved Results Search karega, Example ke taur par Koi Song ki Line Yaad hai, par Title yaad Nahi Aa Raha to Ye Kafi useful hoga, Jaise Ki.. Search type.. Kitna Pyaara *Marte Hai. Search Result.. Kitna Pyaara Hai Yeh Chehra Jispe Hum Marte Hai mp3 download 

Minus (-) Ka Istemal:
Yadi Searching ke time Kai Unwanted Web Pages Bhi Aa Rahe Hai, Tab Minus (-) Use Karke ise Dur kita ja Sakta Hai. Example :Jacket -nehru

(:) Istemal kab kare?
Kisi Website ne Kab-kab Kisi Khas Word Use kiya hai Agar is baat Ka Aapko Pata Lagana Ho to Site: ke Name Se ise Search Kiya Ja Sakta Hai, Jaise Ki Aapko India Government par "Pranab" word ke istemal vale Pages chahiye to Aap Google pe Aise Search Kare... Pranab site:india.gov.in

Aapko Dusra example du to meri Site par Kitne page par "Sanju" Name Use Huaa Hai, ye Janne ke liye Aap Type kare.... Sanju site:hindiloveshayari143.com

Google Archive Page Ka Use:
Google Par Aap Lagbhag 100 years Old Data Bhi Search Kar Sakte Ho, Vahi Saalo Purane News Paper bhi Dekh Sakte Ho, Iske Liye Search Kare.... "google news archive searchOr Feer Jis Years ya Date ki News Search karna Hai Yus date Par Click Kare.

VS Ka Use Kab Kare?

Match Or Kisi Ki Compare ke time Aksar VS ka Istemaal kiya jaata hai, Halaki, Google par VS lagakar Aap Kai chijo ki Tulana bhi kar Sakte Hai, Jaise "Pizza VS Burger" Search karne Par Aapko in deeno se jude nukshan or Fayade mil jayege,

Google Images Size Search:
Google Par Aapne Koi Image Search Ki Lekin Uska Big Size Nahi Mil Raha, to Open Image Ke Right Box me "Search by image" par Click Kare. aapko Same Image Alag-alag Size me Mil Jayegi.

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.

YOU MAY ALSO LIKE: