Broadband Connection Ki Internet Speed Kaise Badhaye- 7 Easy Tips - Hindi Love Tips

Hot

March 23, 2019

Broadband Connection Ki Internet Speed Kaise Badhaye- 7 Easy Tips

Kya Aapke Internet Connection Ki Speed High-Low Hoti Rahti Hai?

high-speed-broadband-internet-connection

Agar Aapke Broadband Connection ya Wi-Fi Data Connection Ki Speed Kam Hai ya Baar-Baar Slow-High Hoti Rahti hai, To 100% Aap Pareshan Hote Honge, Kus Aasan Si Tricks Se Aap Apne Internet Connection Ki Speed Badha Sakte Ho,

1-Apne Internet Connection Ki Speed Test Kare.
Aap Apne Connection ki Speed Badhane Ki Tricks Follow Kare Is Se Pahle Apne Internet Connection ko Ak Baar Test Kar Le, iske liye Aap Ak Website Speed Test.Net ka Use Kar Sakte Hai, Ye Website Aapke Connection Ki Speed Online Test Karti Hai, Aap Ise Day Ke Alag-Alag Time Pe Test Kiya Ja Sakta Hai.

2-WiFi Boosters & Extenders Improve Your Internet Connection Speed.

boost your Computer Internet connection Speed

Apne Ghar Ke Har Kone Me Wifi Ya LAN internet Ki Speed Improve Karne Me Sabse Pahle Kaam Aayega, Agar Aapko ye problem Ho Rahi hai Net Kabhi Chalta hai Or Kabhi Bahut Slow Ho jaata hai to ye Weak Signal ki Problem bhi Ho Sakti Hai,

Iske Liye Aap WiFi Extenders Ka Use Kar Sakte Hai, Is Se Kai Meter tak Signal Range Badhai Ja Sakti Hai,

Note: Agar Aapka Modem Kisi Electronics Device Ke Pas Rakha Hai, Us Se Bhi Signal Break Ho Sakta Hai, Aise Me Apne Modem ki Change Karke Dekhe.

3-WiFi Ko Secure Kare. (Improve Your Internet Connection Speed)

Apne WiFi Password Ko Hamesha Change Karte Rahe. Iske Alava, Aap Khud Apne Router Ka Password Set kar Sakte Hai, Iske Liye Follow Karne Hoge Ye Step...
Step-1
Apne Router ki Settings Me Jaaye. Yaha Jaane Ke Liye Aapko Web Browser Me URL Ki Jagah Router Ka IP Address Add karna Hoga.

Step-2
Aapko Diye Gaye Admin Password Daliye Ye Jyadatar Wife Router par bhi Print Rahta hai, iske baad Aapke Samne Security Instruction Manual bhi Aa Jayega, Ab Apne WiFi Router ka Password Khud Set Kare, Or Ye Process Kam-se-kam har 45 Day me karte Rahe.

4-Apne WiFi Modem ki LIGHT Check Kare-
improving your broadband connection speed
Aapke Wi-Fi Router me Kai Tarah ki Light Jalati Rahti Hai. In me Se Ak Internet Connectivity Ki, Ak LAN ki, Or Ak Wireless Device ki Hoti hai, Agar Aapko Yah Pata Karna Hai Ki Koi Aapke Wifi Network ka Use Bina Aapko Bataye Kar Raha Hai, To Iska Pata Lagane Ka Ak Aasan Tarika hai ki Sabhi Wireless Devices ko band (off) kar De.

Laptop, Computer, Smartphone, Smart TV. Jaise Sabhi Devices ko Agar Band kar Diya Jaaye To Modem Me 4 Se 3 Light Off Ho jayegi, Agar Aisa Karne Ke Baad Bhi Light Off Nahi Hoti Hai, To Ho Sakta Hai Ki Koi Aapka WiFi Network Use Kar raha ho.

Yah Tarika Aasan Jarur Hai, Lekin Ise Unmistakable kahana bhi Sahi Nahi Hoga, Iski Vajah Hai ki kai baar band hone ke baad bhi Smart Devices Aapke Modem Se Connect rahti hai, Aisa Karne Se Ye Pata Chal Jayega ki Wi-Fi Ka Koi Wronng Use To Nahi Kar Raha hai, Is Me Modem Ka Password Or UserName Change kar Kuchh Had tak Unchahe Connection ko band Kiya Ja Sakta Hai, Is Se Aapke WiFi ki Speed Badhegi.

5-Technical Trick Improve Your Internet Connection Speed

1- Start Manu Me Ja Kar 'RUN' Me Jaaye Or Gpedit.msc Type Kare. Iske Baad Ok Button par Click Kare.

2- Iske Baad Aapke Computer Screen Par Ak window (tab) open hogi. Computer configuration Par Click Kare.

3- Administrative templates Par Click Kare. Iske Baad Network Par Click Kare.

4- Iske baad Aapke Samne Kai Options honge Jisme Se Aapko Qos Packet Scheduler Ko Select Karna Hai.

5- Ab Limits reservable bandwidth par Click Kare. Iske Baad Ak New Window Open Hogi Jisme 3 Option Diye Gaye Hai, Isme Se Aapko Disabled ko Select Karna Hai,

6- Iske Baad ise Window me Sabse Niche Apply ka Option Diya Gaya Hai, Is Par Click Karke OK button par Click kare.

Is Step Ko Follow Karne Se Aapke Internet Ki Speed Badh Jayegi. Alag-Alag System Or Network ke Hisab Se Speed Badal Jaati Hai. Broadband me Speed And WiFi me Speed Alag Hogi.

6- Kaise Badhti Hai Speed (Why rising Speed)

"Limits reservable bandwidth" ko Disable Karne Se Aapka Computer Window Related aise Task Allow karna Band Kar deta hai, Jiske liye Bandwidth ki jarurat padti ho. Sath hi Automatic Updates bhi Band ho Jaate hai, Or Internet Ki speed improve ho Jaati Hai,

Agar Aap Gaming ke time Is Settings ko Enable kar Dete hai to Kai Pop-ups Aate hai, Ye Na Sirf Irritating hote hai balki Net Ki Speed bhi Slow kar dete hai, Aise Me is Setting ko Disable karke Aap Apne internet ki Speed badha sakte hai.

7- Virus Ko Kare Scan.

Computer Me Kai Aise Programs hote Hai Jo Faltu me Internet Speed Ka Use Karte Hai, Virus Scan se Aise Programs ka pata Lagaya jaa Sakta Hai, Iske Alava Speed Boos Program Jaise CleanMaster etc. Users ko batate rahege ki System me kitani Memory ka use ho raha hai Or Kitni Ka Nahi. Regular Virus Scanning Se Internet Browsing ki Badhai Ja Sakti Hai,

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.