Apna Bank Account Safe Kaise Rakhe, Safety Tips In Hindi - Hindi Love Tips

Hot

March 25, 2019

Apna Bank Account Safe Kaise Rakhe, Safety Tips In Hindi

Cyber Criminals Attack Se Bank Account Safe kaise rakhe- Security Tips

Aaj Se 47 Years pahle 2 September 1969 ko pahli baar ATM Machine general Public Ke istemal ke liye Lagai gayi thi, Is Service Ko "Chemical Bank In Rockville Center, New York. Ne Sharu Kiya tha,

Beete salo ke dauran ATM ka safar Lagbhag Sabhi Country me pahuch chuka hai, Ab To lagbhag har Kilometer par ATM dikh jate hai, vaise ATM banne ki story kafi Dil-chasp hai, Aaj ki post me aapko aise hi kus rochak baate batane ja rahi hu, par is se pahle kus ATM Security tips ke baare me baat karte hai, kyu ki ATM ke liye very impotent hai, isliye ye jankari aapke paas honi bahut jaruri hai,
ATM  Full Information, Bank Account Safety in Hindi
ATM Security Tips, ATM Ke Baare Me Full Information Hindi Me,
Friends Kya aap Ye jante hai ki ATM Se paise nikalne ke baad Slip ko vahi ke Dustbin me fek dena kitana Danger ho sakta hai, nahi na? Jaanoge to dusri baar aise galati aap kabhi nahi karege.

Agar aap bhi aisa karte hai to ye post aapke liye bahut kaam ki hai, Jab bhi Aap ATM se paise nikalne jaate hai to vaha aapko bahut se log Cash nikalne ke baad Slip fadkar ya modkar vaha mojud Dustbin me fekte hua dikh jayege, Lekin Ye Laparvahi bhari bhi pad sakti hai,

ATM Slip Dustbin Me Fekna-Dangers.

Kyo Nahi Fekna Chahiye ATM Slip?

(1)- Aapko Lagta hoga ki (Slips) Rasido ko fadne ke baad aapka paisa Safe hai, to aap galat soch rahe ho, ATM Slip ke tukdo ko Hackers Decode karke aapke bank account me सेंध laga sakta hai,

(2)- Cyber Criminals Aapke Bank Account se Aapke Paise Chura sakte hai, Aise Me Apni Transactions Lagatar Check karte rahiye, OR Slip ko sambhal kar rakhe,

(3)- Yadi Bank ne Account me Update karne me koi galati ki hai, to in slip ki help se aap ise sudhrva sakte ho, isliye ATM Rasid ko hamesha apne paas hi rakhe,

(4)- ATM Machine Software par work karta hai, aise me, galatiya hone ki Aashanka hamesha bani raheti hai, Aapki ATM Slip Hi Aapke Transaction ka saboot hoti hai,

ATM Ke Baare Me 15 Rochak baate, Jo Aaj Tak Suni Na Ho,

(1)- Kaise Bana ATM?
ATM Ko Scotland Ke "John Shepherd-Barron" ne banaya tha, 1965 Me ak deen Barron paise nikalne bank 1 minute late pahuche, or bank band ho gayi, uske baad John ne socha ki kyo na ak aisi Machine banai jaaye, jis se 24 hours paise nikala ja sake.

(2)- Fist ATM:
ATM ko Automated Teller Machine kahte hai, Cash nikalne vala pahla ATM 27 June 1967 ko London ke "Barclays Bank" me lagaya gaya tha,

(3)- Pin Ki Story:
John Shepherd-Barron ATM Ki Pin Number 6 Digit rakhna Chahta the, Lekin Uski Wife Caroline ko 6 Digit yaad nahi rahte the, isliye Pin 4 Digit ka tai kiya,

(4)- India me Fist ATM:
India me paheli baar ATM ki Service 1987 me sharu ki gayi thi, Hongkong and Shanghai Banking Corporation (HSBC) ne Machine ko mumbai me lagaya tha,

(5)- ATM Se Gold
ATM machine se sirf Cash hi nahi balki gold bhi nikalta hai, Pahli Gold-Plat nikalne vali Machine "Abu-Dhabi ke Emirates Palace hotel" ki lobi me lagai gayi thi, is me se 320 tarah ke gold Item nikal sakte the,

 (6)- तैरने वाला ATM
तैरने वाला ATM pahla ATM Kerala ke kochi me lagaya tha, ye Machine "Stat Bank Of India" ne ज्ञंकार me lagai thi, iski Owner Kerala Shipping and Inland Navigation Corporation (KSINC) Company thi,

(7)- Bina Bank Account ATM:
Europe ki Coutry Romania me bina bank account ke bhi ATM ka istemal kiya ja sakta hai, Lekin india samet kai country me is tarah ki facility nahi hai.

(8)- Bio-metric ATM:
Brazil Me Banking Transaction OR Password ko jyada Safe Banane ke liye  biometric ATM ka istemal kiya jata hai, ATM par users ko fist Finger Scan karna padta hai,

(9)- ATM Ke Name:
ATM ko Kai Alag name se jaana jata hai, UK OR New Zealand me 'Cash-Point' ya 'Cash Machine' kahte hai, vahi Canada OR Australia me ise 'Money Machine' kahte hai,

(10)- Card khane Vale ATM:
1968 Me barclays bank me lagaye gaye ATM Se paise nikal ne ke liye Card ka use hota tha, ye card bank se lena padta tha, Lekin Card Machine ke andar hi rah jata tha, or har baar new card lena padta tha,

(11)- 4 Digit ke Combinations ATM:
4 Digit Ke Pin ke 0 Se 9 ke bich 10,000 Sambhav or Valid password ka Combinations mojud hai, inme sabse Common 1234, 1111 OR 0000 hai, vahi sabse kak use hone vala password 8068 hai,

(12)- ATM Chori Ho To:
Yadi koi paisa chori karne se irade se puri ATM Machine ko udhake le jaye, to ise lekar jyada door nahi ja sakta hai, darAsal, is Machine me ak chip install hai, jise GPS se track kiya ja sakta hai,

(13)- ATM Me Ink (इंक):
ATM Ke Andar Jis jagah par Note rahte hai, vaha par ak blue ink vali bottle rahti hai, yadi koi jabardasti note nikalne ki koshis karta hai ya feer machine todne ki koshis karta hai to ye ink note par fail jati hai,

(14)- Sabse Ucha ATM:
Wold ka sabse ucha ATM Nathu-La me hai, iski uchai कुपूप  se 14,300 feet hai, ise "Union Bank OF India" Operate karti hai, ye india-china border par mojud Army ke liye hai,

(15)- India me Birth ATM Inventor:
John Shepherd-Barron ka janm 23 June 1925 ko india ke Shillong (Meghalaya) me huaa tha, unke Father Wilfred Shepherd-Barron Chittagong Port Commissioners ke chief engineer the,


Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.