Jyadatar youngster Startup or business ki taraf ja rahe hai, Chhoti si rakam me kai startup sharu kiye ja sakte hai, government bhi bahut sare startup ke liye Loan de rahi hai, abhi thode time pahle hi "Small industry Day" manaya gaya, to aaj me aapko aise hi kus business or startup ke baare me batane ja raha hu, inme se kai business or startup ke liye government loan de rahi hai, or khas baat ye hai ki is business me aapko jyada invest bhi nahi karna hota hai, bas chhota sa invest karke aap abhi sharu kar sakte hai ye 9 business, to chale friends baat karte hai, kya hai business plan? Kaise Star kare business? Or 9 best business ideas ke baare me...
Business Karne ke 9 Best Ideas-Government Loan Ke Sath
Party Management Business ko aap Chhota sa invest me start kar sakte ho, Iske liye aapke paas ak chhota sa office hi kafi hai, aisa isliye hai ki yah business contact par Depends karta hai, iske liye aapko Banquet Hall, Hotel, Restaurant se jude logo ke sath contact develop karna hoga, sath hi customer ko bhi apne baare me batana hoga, jiske liye social media ko major source bana sakte ho, Ye business starting me ghar se bhi kar sakte ho.
(2)-Readymade Garment Business:
Readymade Garment ke Business me bahut Scope hai, Agar aapke paas 80,000 rupay hai to aap baki paisa Mudra scheme se Loan ke chalte mil sakta hai, is Scheme Me 1 Lakh 10 hajar rupay 'Term Loan' or 2 Lakh 25 Hajar rupay Working Capital Loan ke taur par mil sakta hai,
Is se Aap 6 Machines, 6 motor or ak Overlook machine le sakte ho, iske alava working tables, cutting tables, fiber stool, steel cupboards, steel rake, iron box par lagbhag 50 thousand rupees kharch hoge, Business sat hone ke baad aapko yearly lag-bhag 5 lakh rupay se jyada profit hoga,
(3)-Food Service Business:
Ready-to-eat or 'fast food' ki badhti demand ne 'mobile food service' ke field me bhi businesses ki sambhavna badha dee hai, Tasty food-on-demand ki vajah se 'van food service' bhi ak bahetarin business ideas me se ak hai, Jise aap Chalti-Firti food service yani mobile van ke jariye jarurat mand ko uplabdh kara sakte hai,
Ready-to-eat or 'fast food' ki badhti demand ne 'mobile food service' ke field me bhi businesses ki sambhavna badha dee hai, Tasty food-on-demand ki vajah se 'van food service' bhi ak bahetarin business ideas me se ak hai, Jise aap Chalti-Firti food service yani mobile van ke jariye jarurat mand ko uplabdh kara sakte hai,
(4)-Packers and movers business:
metros city me jobs karne vale ak jagah se dusri jagah or ak city se dusri city apne saaman ko job change hone par ya transferred hone par le jate hai, aise me log ghar ka saaman khud se packed karne ki bajay is kaam ke liye paise dene ko taiyar rahte hai, aise me Packers and movers ka business bhi ak बेहतरीन business hai, iske liye aapke paas vishesh taur par Labour Skilld ki jarurat hogi,
(5)- Bakery's business:
Is business ke liye aapke paas 85 hajar rupay hona chahiye, baki rakam Mudra Schemes se mil jayegi, schemes se lagbhag 2 Lakh 95 hajar rupay ka term loan or ak 1 Lakh 50 hajar rupay ka working capital Loan le sakte hai, is se kisi bhi city me Bakery Products banane ka kaam sharu kar sakte hai, business me aap apna sara kharch nikal kar lagbhag 4 lakh rupay yearly kama sakte ho,
(6)-Beauty salons, (Parlour) business:
Is business ko koi mahila 60,000 rupay me sharu kar sakti hai, business sharu karne ke liye mudra scheme se 1 Lakh 85 hajar term loan or 54,000 rupay working capital loan mil sakta hai, is tarah aap 3 Lakh rupay me apna beauty Parlour start kar sakte ho, is business se 3 Lakh 30,000 rupay tak yearly kamai ki ja sakti hai,
Is business ko koi mahila 60,000 rupay me sharu kar sakti hai, business sharu karne ke liye mudra scheme se 1 Lakh 85 hajar term loan or 54,000 rupay working capital loan mil sakta hai, is tarah aap 3 Lakh rupay me apna beauty Parlour start kar sakte ho, is business se 3 Lakh 30,000 rupay tak yearly kamai ki ja sakti hai,
(7)-Sanitary, napkins Business:
Aapke paas 15,000 rupay hai, to aap sanitary, napkins banane ki unit sharu kar sakte ho, is project par aapka Lagbhag 1 Lakh 50,000 rupay ka investment hoga, jisme 1 Lakh 35 hajar rupay aapko Mudra Schemes ke tahat Loan mil jayega, mudra schemes se tahat Fixed capital loan ke roop me 73,000 rupay or working capital loan ke taur par 57,000 rupay ke loan ke liye apply kar sakte ho, is business me sabhi kharch nikalkar saal ke 1 Lakh 80,000 rupay bacha sakte ho,
(8)-Video Conference Facility:
bahut sare small businessmen ke paas "Video Conferencing" or board room ki Facility aam taur par nahi hoti hai, aise me board room or video Conference service provide ka business sharu kar sakte ho, iske tahat aapke pass chhota office space or video Conferencing se jude इक्वीपमेंट्स hona chahiye, jinke jariye yah service Rental Basis par start kar sakte hai,
(9)-Used car dealership:
Cars ki badhati hui mang ne aaj kal used car ki demand badha di hai, aise me aap purani cars (used car) ka business sharu kar sakte ho, used cars ki badhti hui mang ko dekhte hua Maruti, Hyundai and Mahindra jaise companies प्रीओंड car ka business karti hai, in companies ka dealership lekar aap used car ka business sharu kar sakte ho, iske liye aapko ak office space ki jarurat padti hai,
Friends kaisa laga aapko ye business ideas, inme se aapko apne sahuliyat ke mutabe aap koi bhi business sharu kar sakto ho, or koi sawal ho aapke man me to comment me muje bataiye, or post aapko pasand aayi ho to share & like jarur kare, ye business idea apne friends ke shath share jarur kare, aapki chhoti se help se kisi ki life bhi ban sakti hai,
Also Read::