Android Phone Hang Aur Slow Hone Ke Top 10 Reasons And Solution Tips - Hindi Love Tips

Hot

March 25, 2019

Android Phone Hang Aur Slow Hone Ke Top 10 Reasons And Solution Tips

Android Smartphone Ne Hame Bahut Sare Features Diye Hai Jiski Vajah Se Ham Bahut Sare Kaamo Ko Aasani Se Kar Sakte Hai, Android Smartphone Ki Vajah Se Hamari Life Me Bhi Badlav Aaya Hai. Vaise To Smartphone Ko Use Karna Bahut Aasan Hai But Problem Tab Sharu Hoti Hai Jab Smartphone Purana Ho Jaata Hai,  Tab Usme Jyadatar Hang Aur Slow Hone Ki Problem Aane Lagti Hai. Yani Ki Phone Ka Use Karte Time Vo Let Response Karta Hai Ya Feer Hang Ho Jata Hai. Is Condition Me Phone Ko Baar-Baar Restart Karna Padta Hai Ya To Kabhi-Kabhi Battery Remove Karni Padti Hai. Lekin Aapko Ak Baat Batana Chahuga Ki Android Phone Slow Hone Ki Vajah Kabhi Bhi Uska Purana Hona Nahi Hoti But Smartphone Ka Hardware Specification Aur Software Ke Sath User Dvara Ki Jaane Wali Kuchh Galatiya Bhi Shamil Hoti Hai.
Android phone running slow and hanging solution


Android Phone Ki Speed Slow And Hanging Problem Ka Solutions

Reason  No.1
👉Smartphone Ki Ram Cum Hona:


Ab To Market Me 8GB Wale Mobile Phone Bhi Lunch Ho Chuke Hai. Ram Jyada Hone Se Multitasking Ke Time Bhi Ye Smartphone Slow Ya Hanging Ki Problem Nahi Hoti Hai. Itana Hi Nahi, In Phone Ko Restart Karne Ki Bhi Jarurat Nahi Hoti Hai. Actually, Jab Baat 4 Se 5 Saal Old Mobile Headset Ki Ho To Usme 512 MB Ram Se 1GB Ram Hi Hoti Thi. Aise Me Jab In Phone Ki Memory Full Ho Jaati Hai, To Ye Slow Aur Hang Hone Lagta Hai.

Solution
Jis Phone Ki Ram Cum Ho Unme Data Bhi Cum Hona Chahiye. Sath Hi Sirf Aapke Kaam Ke Hi Application Install Karni Chahiye. Aur Jyada Space Lene Vale Apps Ko To Bhulkar Bhi Install Nahi Karna Chahiye.

Reason  No.2
👉Application Background Open Hona:

Ye Mistake Lagbhag Sabhi Users Karte Hai. Jab Bhi Smartphone Ki Koi App Ko Open Karte Hai Unke Use Karne Ke Baad Back Kar Dete Hai, Unhe Lagta Hai Ki Application Close Ho Gayi. But Vo Sirf Minimize Hi Hoti Hai, Vo Background Me Open Hi Hoti Hai. Yani Ki Vo Application Lagatar Access Karte Rahte Hai, Aur Battery Se Lekar Ram, Data Ko Consume Karte Hai. Jiski Vajah Se Phone Dhire-Dhire Slow Hota Jaata Hai.

Solution
Jab Bhi Aap Smartphone Ki Koi App Ko Open Kare Tab Yuse Use Karne Ke Baad Proper Close Karna Na Bhule, I Mean Ki Yuse Background Se Remove Karna Na Bhule. Iske Liye End Key Ko Tap Karke App Ko Close Kare. Kai Phone Me Ye Setting Alag Key Se Bhi Hota Hai. Next Generation Ke Smartphone Me Ye Kaam Aapko Background App Par Tap Karke Hold Kar Yuse Slide Swipe Kar Sakte Hai.

Reason  No.3
👉Application Ko Update Karna:

Aap Soch Rahe Hoge Ki Application Ko Update Karne Se Kya Hoga. But Phone Slow Aur Hang Hone Ka Yahi Bhi Ak Reason Hai. Agar Aapke Phone Me 512MB Ya 1GB Ram Aur 4GB Ya 8GB Memory Hai, To Phone Me Install App Ko Update Na Kare. Kyu Ki Phone Ki Internal Memory Operating System Aur Apps Ke Liye Alag Hoti Hai. Yani Ki Users Ko Kabhi Bhi Puri Internal Memory Nahi Milati Hai. Aise Me Jab Bhi Aap Application Ko Update Karte Ho Tab Vo Memory Me Aur Bhi Jyada Space Le Leta Hai. Dhik Usi Tarah, Apps Update Hone Se Vo Jyada Ram Consume Karta Hai. Jiske Chalte Phone Slow Ya Hang Hone Lagta Hai.

Solution
Phone Ke Sirf Vahi Apps Ko Update Kare Jinka Aap Regular Use Karte Ho. Phone Me Apps Ke Auto Update Feature Ko Play Store Ki Setting Me Jakar Hamesha Ke Liye Off Kar De

Reason  No.4
👉Third Party Ya APK File Install Karna:

Kai Aise Apps Hote Hai Jo Google Play Store Par Available Nahi Hote. Actually, Inhe Third Party Ya Feer APK File Ki Help Se Phone Me Install Kiya Jaa Sakta Hai. Ye Apps Hamesha Risky Rahte Hai. Android Operating System Kabhi Third Party Apps Ko Install Karne Ki Ijajat Nahi Deta, Iske Baad Bhi Kai Users Inhe Install Kar Lete Hai. Inse Phone Slow Aur Hang Hone Ke Sath Data Leak Hone Ka Khatara Hota Hai.

Solution
Apne Mobile Phone Me Kabhi Bhi Third Party Apps Ko Install Na Kare. Sirf Vahi Apps Ko Install Kare Jo Google Play Store Par Mojud Ho. Kabhi Bhi WiFi Ya Bluetooth Ki Help Se Apps Ko Phone Me Install Nahi Kare.

Reason  No.5
👉Phone Ki Cache Clear Na Karna:

Cache Ko Shayad Kai Users Nahi Jante Hoge. Jab Bhi Ham Kisi App Ko Use Karte Hai To Us Se Juda Temporary Data Store Ho Jaata Hai, Jise Cache Kaha Jaata Hai. Is Data Phone Ki Ram Ko Consume Karta Hai, Sath Hi Memory Me Bhi Space Leta Hai. Aise Me Jaruri Hai Ki Is Data Ko Har Week Clear Karte Rahe.

Solution
Phone Me Cache Clear Karne Ke Liye Kisi Apps Ko Install Karne Ki Jarurat Nahi Hai. Iske Liye Aapko Apne Headset Ki File Manager Me Jana Hoga, Vaha Aapko Jis App ko Use Kiya Ho Iska Folder Hoga Yuse Remove Karna Hoga, Aur Ak Android Name Ka Folder Bhi Hoga Ise Bhi Remove Karne Se Phone Ki Bahut Sari Space Free Hogi. Ya Feer Aap Phone Ki Setting Me Jakar Apps Par Click Kare, Uske Baad Aapke Phone Ki Sabhi App Dikhai Degi. Ab Aapko App Par Click Karna Hoga Uske Baad Aapke Samne Bahut Sare Options Aayege, Par Aapko Clear Data Aur Clear Cache Par Click Karna Hoga. Ak Ke baad Ak Aise Sabhi Apps Ki Cache Clear Kar Sakte Ho.


Reason  No.6
👉Free Antivirus Ya Cleaner App Ka Use:

Bahut Sare Users Aisa Mante Hai Ki Phone Me Antivirus Ya Cleaner App Install Karke  Speed up Android Phone Kiya Ja Sakta Hai, Sath Hi Phone Ki Hanging Problem  Dur Ho Jayegi. But Aisa Nahi Hai. Free Antivirus Se Phone Ki Security Par Jyada fark Nahi Padta. Dusri Taraf, Vo Phone Ki Memory Me Space Le Lete Hai. Free Antivirus Apps Lagatar  Phone Ko Scan Karte Hai. Aise Me Continue Ram Consume Hoti Hai. Aur Phone Slow Hone Lagta Hai.

Solution
Agar Aapke Mobile Phone Me Free Antivirus Ya Cleaner Apps Ho To Abhi Uninstall Kar De. Phone Ka Use Trusted Source Ke Sath Hota Hai To Usme Virus Aane Ka Khatara Nahi Hota. Aur Vaise Bhi Aap Sahi Tarah Se Smartphone Ka Use Karege To Virus Kabhi Nahi Aayega. Aapko Bata Du Ki Virus Jyadatar Movie Download Se Ya Por*n Site Se Hi Aata Hai.

Reason  No.7
👉Memory Card Me Apps Transfer Karna:

Phone Ki Internal Memory Me Space Karne Ke Liye Kai Users Apps Ko Memory Card Me Transfer Kar Dete Hai. Aisa Karne Se Internal Memory Me Space To Ho Jaata Hai, But Phone Ki Booting Process Badh Jaati Hai. Halaki, Jab Apps Ko Memory Card Me Transfer Kiya Jaata Hai Tab Un Apps Ko Open Karne Par Phone Memory Card Ko Search Karta Hai. Kyo Ki Ye Memory Ka Second Platform Hota Hai. Aise Me Phone Ise Read Karne Me Thoda Time Leta Hai.

Solution
Memory Card Me Apps Ka Transfer Nahi Karna Chahiye. Ho Sake To Phone Memory Ke Videos, Photos Ya Other Files Ko Memory Card Me Shift Karna Chahiye.

Reason  No.8
👉Mobile Phone Ko Hamesha ON Rakhna:

Aise Phone Jo Hamesha ON Rahte Hai Yani Ki Long Time Se Jinhe Switched OFF Nahi Kiya Gaya Ho, Unme Bhi Hang Ya Slow Hone Ki Problem Hone Lagti Hai. Phone Continue ON Rahne Se Usme Temporary Files Ke Sath Kai Cache Files Bhi Lagatar Badhti Rahti Hai. Jab In Files Limit Se Jyada Ho Jati Hai Tab Ram Ko Slow Kar Deti Hai.

Solution
Phone Ko Weekly Ak Baar 15 Minute Ke Liye Switched OFF Jarur Kare. Agar Ho Sake To Phone Ki Battery Aur Memory Card Ko Bhi Is Time Nikal De. Aisa Karne Se Sabhi Tarah Ki Temporary File Automatic Remove Ho Jayegi. Aur Bhi Option Hai Aapke Pass Bahut Easy Hai. Aapko Karna Ye Hoga Ki Night Me Automatic Phone Power Off Karna Hai. iske Liye Aap Setting Me Jakar "Time Switch Machine" Ke Option Me Night Ko 15 minutes Ya Apne Hisab Se Time Set Kar Sakte Ho. iske Baad Aapne Jis Time Ko Set Kiya Hoga Usi Time Par Power Off Ho Jayega Aur On Bhi Ho Jayega.

Reason  No.9
👉Whatsapp File, Audio Aur Video Files:

Shayad Sabse Jyada Space Phone Me Koi Leta Hai To Vo Hai Video. Aksar Users Video Songs Ya Movies Apne Phone Me Rakhte Hai. Ak Baar Dekhne Ke Baad Bhi Ye Videos Long Time Tak Phone Me Rahte Hai. Iske Sath, Whatsapp Me Aane Vale Short Videos Bhi Phone Me Big Space leta Hai. Thik Isi Tarah Kai Users Phone Me Kai Sare Gaane Store Kar Lete Hai. But Gaane Sunne Ka mouka To Mahine Me ak Ya Dobar Aata Hai. Iski Vajah Se Memory Full Ho Jaati Hai Aur Ye Aapke Phone Ko Hang Ya Slow Hone Ki Vajah Ban Jaati Hai.

Solution
Audio Aur Video Ki Vahi File Rakhe Jiska Aapko Vakai Me Kaam Ho. Whatsapp Par Aane Wale Audio, Video Aur Gif File Ko Dekhne Aur Sunne Ke Baat Delete Kar De.

Reason    No.10
👉Whasapp File Ko Delete Na Karna:

Aapke Whatsapp Par Photo Aur Video Ke Sath GIF, PDF, Contact, Audio Ya Other File Bhi Aati Hai. User Inhe Dekh Ya Sun Leta Hai, But Ise Delete Nahi Karta Hai. itana Hi Nahi, In File Ko Jab Dusri Jagah Par Forward Karte Hai Tab Ye File Jitni Baar Forward Hoti Hai Utana Hi Space Leti Jati Hai. Yani Phone Ki Memory Ko Ye Do Se Teen Guna Teji Se Bhar Deti Hai. Whatsapp Me Conversation Ki Skhya Badhne Se Phone Slow Hone Lagta Hai.

Solution
Whatsapp App Ke Media Me Jakar Aap Un File Ko Immediately Delete Kare Jo Aapke Kaam Ki Nahi Hai. Sath Hi, Send Media Se Bhi Files Ko Delete Kar De.

Friends, Hamne Is Article Me Mobile Hang Solution Kaise Kare, Phone Running Slow Problem Ka Solution Kaise Kare, Android Slow and Hanging Problem Ka Solution Is Post Me Aapko Bataya Hai, Aapko Jarur Pasand Aaya Hoga, Aapko Post Se Kus Nayi Jankari Mili Ho To Social Media  Par Share Kijiye. Aur Koi Problem Ho To Hame Comment Me Bata Sakte Ho. hamari sabhi post apne email address par free me pana chahte ho to subscribe bhi kar sakte ho Thanks And Keep Visiting.
  • Hamari Our Bhi Bahetarin Post Read Karne Ke Liye Click Kare👇
KISS KARNA SIKHATI HAI YE 10 ANDROID/ IPHONE APPS

11 TIPS SE BADHAYE PHONE KI BATTERY LIFE NAHI KARNA HOGA..

BINA INTERNET KE FREE ME WHATSAPP KAISE USE KARE-CHAT SIM

MEMORY CARD SE DELETED dATA, NUMBER KAISE RECOVER KARE

SMARTPHONE SE BANAYE VOTER ID CARD-FOLLOW 5 STEP

SMARTPHONE SE KARE KAMAI, MAHINE HOGI 50,000 INCOME

SMART PHONE ME INTIMATE, PERSONAL PHOTOS SAVE

6 ANDROID APPS NA KARE INSTALL DATA LOSE AND BATTERY LIFE RISKY

BINA NUMBER DIKHAYE KAR SAKTE HAI CALL - UNKNOWN NUMBER

SMARTPHONE ME BINA FACTORY RESET KIYE VIRUS KO REMOVE KARE

BHUL GAYE PATTERN LOCK, BINA DATA DELETE KIYE KAISE KARE UNLOCK,

FACEBOOK PHOTOS KO VIDEO ME KAISE CONVERT KARE-FEATURES

SMARTPHONE ME CHANGE KARE PHOTOS KA BACKGROUND, JANE TRICK

FACEBOOK USER JARUR USE KARE YE 7 KAAM KE FEATURES

MOBILE PHONE ME PARSONAL APPS KO KAISE KARE HIDE- 6 STEP

TRUE CALLER SE APNI PERSONAL INFORMATION KO HIDE KAISE KARE

HAR CALL PAR KAISE BAJAYE AK NEW RINGTONES APNE SMARTPHONE ME.

AK SMS SEND KARKE SUN SAKTE HAI DUSRE PHONE KI LIVE SARI BAATE

KISI BHI MOBILE NUMBER KI CALL DETAILS MUBBLE APP SE AISE NIKALE

KISI BHI SMARTPHONE KI LOCATION KA PATA KAISE LAGAYE 

CHORI HO CHUKI CAR/BIKE KA PATA KAISE LAGAYE-SMARTPHONE SE

KABHI KHATM NAHI HOGA AAPKA INTERNET DATA PLAN SAVING TIPS.

AAP INDIAN HAI TO PATA HONA CHAHIYE KI KONSA MOBILE INDIA KA HAI

SMARTPHONE KO AISE BANAYE WALKIE-TALKIE, LIFETIME FREE CALLING

FAKE TEXT MESSAGE RECEIVE KAISE KARE. HINDI TRICK

MOBILE APPS KI HELP SE AAP BHI BANA SAKTE HAI AASANI SE GIF FILE

KISI KE BHI PHONE CALL, MESSAGE KI DETAILS JANNI HAI TO TRY KARE

FRIENDS KE SMARTPHONE KI SCREEN HAMARE PHONE ME KAISE DIKHE

1 comment:

  1. smartphone ki speed kaise badhaye, iske baare me bahut achi aur new jankari provide ki hai, thank you useful article share karne ke liye.

    ReplyDelete