Har Call Par Kaise Bajaye Ak New Ringtones Apne Smartphone Me. - Hindi Love Tips

Hot

March 23, 2019

Har Call Par Kaise Bajaye Ak New Ringtones Apne Smartphone Me.

RandTune - Har Call Par Ak New Ringtone Bajegi Aapke Smartphone Me.

RandTune: Ringtone Randomizer app
Smartphone Se Judi Ak Trick Aisi Hai Jiski Help Se User Ak Sath Kai Ringtones Set Kar Sakte Hai. Yani Ki Jab Bhi Call Aayega Tab Phone Par Har Baar New Ringtone Bajegi. Is Trick Ke Liye User Ko Google Play Store RandTune App Install Karna Hoga. Ye App Bilkul Free Hai Jiske Liye User Ke Smartphone Me Sirf 14MB Space Hona Chahiye.

 Bina Root Kiye Bajegi Kai Ringtone..

Phone Me User Alag-Alag Contact Par Alag-Alag Ringtone Set Kar Sakta Hai.
But Iske Liye Yuse Ringtone Ko Root Karna Hota Hai.
Yani Ki Ringtone Ko Contact Par Uski Save Location Par Set Karna Hota Hai.
Aise Me Yadi Ringtone Ki Save Location badal Di Jaaye To Vo Contact Par Nahi Bajegi.

RandTune App Ke Baare Me...

Is App Ka Full Name "RandTune: Ringtone Randomizer" Hai.
Is App Ko EzGood Developer Ne Design Kiya Hai.
App Ko Android v4.0.3 Ice Cream, Sandwich or Is Se Upar Ke Version Me install Kar Sakte Hai.
RandTune APP Ko Install Karne Ke Liye Yaha Click Kare.."RandTune: Ringtone Randomizer"

RandTune Application Ke Features..

User Har Deen Party Ya Kisi Events Ke Hisab Se Kai Ringtone Set Kar Sakta Hai.
App Par Play-List Banane Ka Option Diya Hai, Yani Ki User Second me Ringtone change kar Sakte hai
User Call Ke Sath SMS And Alarm Ko Bhi New Ringtone De Sakta Hai.

App Se Kaise User Kai Ringtone Set Kar Sakta Hai....

Step-1
RandTune App Ko Open Karne Par Permission Massage Aata Hai. Yaha Par User Ko Allow Karna Hota Hai.

Step-2
Agale Step Par App Aapke Phone Ki Default Ringtone Setting ko Chang Karne Ki Permission Magta Hai, Yaha Bhi Aapko Allow Karna Hoga.

Step-3
User Ko System Setting Me Jakar "Allow Modify System Setting" Ke Option Ko ON Karna Hota Hai.

Step-4
Ab User Ke Samne Ak Window Open Hogi, Jisme Call, SMS and Alarm Ki Ringtone Set Karne Ka Option Hota Hai.

Step-5
Uske Baad Sub-Category Ke Second Option Me Jakar User Ko Play-List Banani Hoti Hai. Iske Liye Yuse Pahle Koi Name Dena Hoga.

Step-6
Ab Us Play-List Ko Open Kare, Usme Folder, Single File Jodne Ka Option Aata Hai, Koi Ak Select Kare.

Step-7
Ab User Ko Vo Folder Select Karna Hai, Jisme Song Save Hai, iske Baad Select Directory Par Click Karna Hoga.

Step-8
Ab Category Ke Fist Option Me Jakar User Us Play-List Ko Select kar Le, Jiski Ringtone Set Karna Chahta Hai.
Friends Is Trick Ko Use Karne Me Koi Problem Aa Rahi Ho To Muje Comment Ke Jariye Bata Sakte Hai. And Post Aapko Pasand Aaye To Facebook, Whatsapp, Google Plus Par Share Jarur Kare.