WhatsApp/Facebook Pe Kisne Kiya Hai Block Kaise Pata Kare - Hindi Love Tips

Hot

March 23, 2019

WhatsApp/Facebook Pe Kisne Kiya Hai Block Kaise Pata Kare

Kaise Pata Kare Facebook/WhatsApp Par Aap Ho Gaye Hai Block

Cheating Karna, Photos Send Karna, Video Send Karna, Audio File Send Karna WhatsApp Pe Ye Sab Karna Bahut Aasan Hai Jab Tak Aap Kisiko Messages Bhej Sakte ho, Par Kisine Aapko Block Kar Diya To Kai Baar Aisa Hota Hai Ki User Messages Send Karate Rahete Hai, Par Usko Ye Pata Nahi Hota Hai Ki Usko Block Kar Diya Gaya Hai. Agar Kisine Aapko Block Kar Diya Hai To Uska Pata Lagana Bahut Aasan Kaam Hai, Chaliye To Aaj Me Usi Ke Baare Me Baat Karti Hu, Facebook Or WhatsApp Me Block Hone Ka Pata Karne Ke Liye Me Aapke Liye 8 Aasan Tarike Layi Hu, Jiski Help Se Aapko Pata Chal Jayega ki Aapko Kisne Block Kiya Hai.

WhatsAap Par Blocked User Ka Aise Kare Pata- 4 Tarike.

Whatsapp Statuse Girls

(1) Last Seen Status:
Agar Aapne Apne WhatsApp Profile Me Last Seen Status Active Mode Pe Rakha Hai To Aap Kisi Or User Ke Last Seen Status Bhi Dekh Payege, Lekin Kisine Aapko Block Kar Diya To Nahi Dekhega. Example: Agar "Sanju" Ne Aapko Block Kar Diya To Uske Last Seen Status Ki Jagah Pe 'Blank Space' Dikhai Dega.

(2)- Profile Photo:
Agar Kisi Ne Aapko Block Kar Diya To Uski Profile Photo Aapko Nahi Dikhegi, Uski Jagah Agar Aapne Us User Ki Photo Contact Nombre Me Save Ki Rakhi Hai To Vo Dikhai Degi, Nahi Save Ki Ho To Aisa Lagega Ki Samne Vale User Ne Profile Me Photo Rakhi Hi Na Ho.

(3)-Message Delivery:
Agar Kisi User Ne Aapko Block Kar Diya Hai To, Us User Ko Kabhi Message Delivery Nahi Hogi, Iska Matalab Yeh Hai, Ki Kabhi Bhi Send Kiye Hua Message Par Double Tics Nahi Aayega, "Read Receipt Feature" (Double Tics Aana) Tabhi Kaam Karega Jab User Ko Message Receive Ho Gaya Ho, Agar Aisa Nahi Hota He to Ya To Receiver Ke Mobile Me Network Na Ho, Ya Whatsapp Nahi Chal Raha Ho,  Ya Fir Aapko Block Kar Diya Gaya Ho.

(4)-WhatsApp Call:
Agar Kisi Friends Ne Aapko Block Kar Diya Hai To Use Aap kabhi Call nahi Kar Sakate ho, Call Connect Hone Ki Jagah Pe Baar Baar "Call End" Ka Message aayega.

Facebook  Par Blocked User Ka Aise Kare Pata- 4 Tarike

(1)- Search Result:
Agar Kisi Ne Aapko Facebook pe Block Kar Diya Hai, To Aap Facebook Search Box Me Usi User Ke Name Nahi Serch Kar Pavoge, I Mine ki User Ke Name Show Nahi Hoga, Iski Ak Or Bhi Vajah Ho Sakti Hai, Halaki, Ye "High Profile Setting" Ke Karan Se Bhi Aisa Ho Sakta Hai, Isme Friends Se Alava Kisi Or Ko Search Nahi Kiya Ja Sakta Hai, Iske Liye Ak Or Bhi Rasta Hai Aap Apna Facebook Account Logout Kare, Or Google Search Engine Me Jakar Us User Ki Profile Check karne ki Koshis Kare, Agar Personal Account Or Google Search Engine Dono Me Se Profile Search Nahi Ho Rahi To Samaj Lijiye Ki 100% Aap Ko Block Kar Diya Gaya Hai.

(2)- Mutual Friend List:
'Mutual Friend List' Sabse Archa  Tarika Mutual Friends, ki Help Se Pata Karne Ka Hai, Agar Aapko Lagata Hai, Ki Aapko Kisi Ne Block Kiya Hai To Aap Apne Mutual Friends Ki List Me Jakar Dekhe, Or "See All Links" Par Click Kare, Or Aapko Jis User Par Shak (शक) Ho ki Aapko Block Kiya Hai, Usi User Ke Name Search Kare, Agar Baki Sabhi Friends Search Ho Rahe Hai, or Aapko Jis Par (शक) Hai Vo Search Me Na Dikhe To Samj Lijiye Ki Usi Badmaash Ne Aapko Block Kiya Hai.

(3)- Wall Post:
Agar aapko block kar diya hai, to usi user ki wall post nahi dikhegi, Agar Koi Wall Post ya Old Tag ki gayi post Visible bhi ho to profile pictures ki jagah (?) dekhegi.

(4)- Message
Agar Itane Tariko Ke Baad bhi Aapko Daout he ki aap block nahi hua, to aap jis user pe shak he usko message send karde, jis friends ne aapko block kiya hoga usko message nahi send hoga.