Laptop Ke Sath 10 badi galati Karani pad sakati he mahengi
- Mistake No.1 Laptop ko Screen se pakadana.
- Mistake No:2 Laptop ko hamesha charging par lagakar rakhana,
- Mistake No:3 Laptop ko uske power cord ke shath khichana,
- Mistake No.4 Laptop ko hamesha god (Lap) me rakhana
- Mistake No.5 Khana khate hua Laptop ka use karana:
- Mistake No.6 Anti-virus ke bina laptop ko use karana,
- Mistake No.7 Power Cord ko Rouge DIRECTION me lagana.
- Mistake No.8 Laptop ko Shut-Down kiye bina chhod dena.
- Mistake No.9 Technician Banana.
- MistakeNo.10 Laptop ko bina "Electrical Protection" se use karana
Shayad laptop ka use sabhi karte honge, or laptop sabhi ka favorite device he, Project complete karane se lekar, movie dekhana, internet using, gaming jaisi aapki sabhi jarurate puri karata he, lekin uski using ko lekar ham bilkul alert nahi rahete, or ham befikar rahete he, par jab device me problem hoti he tab ham pareshan ho jate he, apana kaam bhi adhura rah jata he,
Isliye aaj me aapke samane aisi post le kar aayi hu, jo har laptop user mistake karte he aisi 10 badi mistake se aap bach sakate he, varana ye mistake aapko bhari pad sakati he, to chaliye baat karate he kon si or kaisi mistake karte he, har laptop user....
Mistake No.1 Laptop ko Screen se pakadana.
|
|
Ye common mistake har laptop user, leptop ke sath aksar karta raheta he, or use pata hi nahi hota ki vo sabase badi galati kar raha he, aapko bata du ki laptop ko screen se pakad ne se Hinges to hoga hi but laptop ki screen (Display) bhi damage ho sakati he,
Kya kare? - Laptop ko hamesha uske base se hi pakade, taki koi problem na ho,
Mistake No.2 Laptop ko hamesha charging par lagakar rakhana,.
|
|
Bahut sare laptop user maine dekhe he, vo hamesha hi laptop ko charging par hi rakhate he, work time pe to thik he, but bina work me bhi power button on hi rakhate he, is se battery life cam hoti he,
Kya kare? - laptop computer ki tarah nahi hote, use ak baar 100% charging ho jane ke baad charging connector se hata dena chahiye.
➧Mistake No: 3 Laptop ko uske power cord ke shath khichana,.
|
|
Aksar users laptop ko charging pe lagakar bhul jate he, or us cord ko charging point se hataye bina hi use ak jagah se dusari jagah pe le jate he, is se plug damage hone ke shath hi laptop ka DC jack bhi damage ho sakata he,
Kya kare? Laptop ko charging points se nikalne ke baad hi move kare.
➧Mistake No.4 Laptop ko hamesha god (Lap) me rakhana.
|
|
Galati no-4 ki baat kare to ye mistake to sab karate he, kyu ki ye mistake kafi comfortable he, Lekin kya aapko ye pata he ki laptop ko bed pe ya god (lap) me rakhakar work karane se laptop "overheating" ho sakata he, sath hi internal parts damage bhi ho sakata he, kyu ki ase me ear west cover ho jaati he, or cooling nahi ho pati, laptop users ko bed pe ya god me rakhakar work karana bahut comfortable raheta he but laptop ke liye uncomfortable he.
Kya kare? Laptop use karane ka sahi tarika use majboot or flat sarfes par rakhakar work karana he. Or yaad rahe use takiye ke upar rakhakar bhi use nahi karana sort me kahu to laptop ko cooling mil ni chahiye (up, down, left, right side kahi se bhi)
➧Mistake No.5 Khana khate hua Laptop ka use karana:
|
|
Ham sab aisa hi karate he, khana khate vakht television pe movie dekhana ya laptop par game khelana sab ak hi he, bahut sari news rapport ke mutabik ye ak bahut hi kharab aadat he, aapko ye baat akdam funny lagati hogi, lekin yah aadat laptop ke liye bahut hi khatarnaak sabit ho sakati he, Laptop pe pani girane ya jus girane se laptop me sortsarckit Ya laptop me aag lagane or achanak Shut-down jaisi kahi problem ho sakati he,
Kya kare? - khana khate vakht ya pani or jus pite time kabhi bhi laptop ka use na kare, sath hi laptop ke same sarfes par chemical, liquid na rakhe,
➧Mistake No.6 Anti-virus ke bina laptop ko use karana:
|
|
Bina Anti-Virus software ke laptop use karana bahut mahenga pad sakata he, kyu ki laptop slow hone ke sath puri tarah se fail hone ka khatara bhi raheta he, henking or data loss hone ka khatara to hota hi he,
Kya kare? Laptop me koi archi anti-virus apps install karle or free apps ki bajah paid or License vale anti-virus apps ka use kare, yah aapke laptop ko puri tarah se secure rakhata he,
➧Mistake No.7 Power Cord ko Ronge DIRECTION me lagana:
|
|
Laptop ko charging par rakhate time ham dhayan nahi dete he, ki cord rasta to nahi rok rahe he na, aise me kisi ke aane se ya takarane Jaane se power cord par achanak pressure padata he, aise me power cord damage hone ke sath laptop flure par gir sakata he, ise halat me laptop ke software (internal) ke sath hardware (external hard drive) bhi puri tarah se damage ho sakata he,
Kya kare? Laptop ko koi aise jagah pe charging pe na lagaiye ki power cord kisike raste ke bich aaye or takara jaye,
➧Mistake No.8 Laptop ko Shut-Down kiye bina chhod dena:
|
|
Bahut sare New Laptop me"Hibernate" ka option hota he, jo auto mode hota he, jo lead close hone par automatic open ho jata he, lekin jab aap laptop ka use nahi karana chahate ho to puri tarah se off karana hi sahi rahega.
Kya kare? Laptop ko Shut-Down kare is se pahele use sleep mode ya Hibernate mode pe activate karade.
➧Mistake No.9 Technician Banana:
|
|
Kahi log apane aap ko technician samajate he or chhoti si problem par pura computer ya laptop open kar deta he, fir kus aade-sidhe karake baad me technician paas le jate he, meri baat maniye to jab tak aapko puri tarah ka hardware ka knowledge na ho to aap laptop ko na khole, is se aapke laptop ki problem solve hone ki bajah problem badh jayegi, shath hi thodi si mistake ki vajah se aapka laptop puri tarah se kharab bhi ho sakata he,
Kya kare? Laptop me thodi si pareshani hone par use Technician ke paas le jaiye.
➧No.10 Laptop ko bina Electrical Protection se use karana:
|
|
Laptop par Electrical Fluctuations ka bahut asar padata he, Surge protection ke bina laptop ka use karana use hamesha ke liye kharab kar sakata he,
Kya kare? Laptop ko hamesha Surge protection se siqura karake hi use kare
Nice.. bro.. visit also my blog..
ReplyDelete