Aaj Ke Article Me Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Smartphone Ki Kuchh Aisi Secret Settings, Jinke Baare Me Shayad Aapko Pata Nahi Hoga. Pata Hoga To Aap Nahi Jante Hoge Ki Inka Use Kaise Kiya Jaata Hai. Ye Setting Aapke Phone Me Hi Chhupi Hai. Inhe ON Karne Par Aap Apne Phone Ke Data Ko Hide Kar Sakte Hai. Phone Ko Bina Kisi Pattern Aur Password Ke Lock Kar Sakte Hai. Aisi Hi Phone Ki 3 Secret Settings Aap Yaha Par Janege. Aaiye Baat Karte Hai. Bina Kisi App Lock Se Phone Me Personal Data Ko Hide Kaise Karte Hai.
Bina Kisi Pattern Aur Password Lock Ke Setting Se Data Hide Kaise Kare.
1. Kis Setting Se Phone Ko Kar Sakte Hai Lock.
Kisi Ke Hath Me Phone Dene Par डर Laga Rahta Hai Ki Vo Hamare Photos Ya WhatsApp Chat Ya Facebook Chat Na Khol De. But Is Setting Ko Karne Ke Baad Aapko Iska डर Nahi Rahega. Kyu Ki Is Setting Ko Karne Ke Baad Aapka Data Hide Ho Jayega. Na To Koi Aapki Chat Dekh Sakega Na Hi Gallery Ko Open Kar Sakega.
Kaise Kare Setting:
Iske Liye Aapko Smartphone Ki Setting Me Jakar User Option Par Click Karna Hai. Yaha Aapko Owner Aur Guest Likha Huya Dikhai Dega. Guest Par Tap Kar De. Ab Aapka Phone Ka Personal Data Koi Nahi Dekh Payega. Agar Aap Kisiko Phone Dege Feer Bhai Vo Limited Chijo Ko Hi Access Kar Payega. Ye Setting Phone Lock Aur App Lock Ki Tarah Kaam Karegi.
2. Phone Ki Screen Lock Karne Wali Setting.
Agar Aapne Phone Me Is Setting Ko Set Kar Diya To Is Se Aapki Screen Lock Ho Jayegi. Agar Aap Apna Phone Open Karke Kisi Ko Dege To Vo Utana Hi Data Access Kar Payege Jitna Uske Samne Dikh Raha Hai. Matalab Ki Agar Aapne Kisi Ko Videos Dikhane Ke Liye Phone Diya Hai To Vo Sirf Video Hi Dekh Payega. Video बंद Hone Ke Baad Vo Kisi Dusre Folder Me Nahi Jaa Payega. Yani Ki Back Button Aur Overview Button Kaam Nahi Karega Aur Nahi Home Button Kaam Karega.
Screen Lock Karne Ki Setting:
Phone Ki Setting Me Jakar Security Me Jaaye, Yaha Screen Pinning Ka Option Dikhega. Us Par Tap Kare. Ye Option ON Ho Jayega. Ab Youtube Ya Koi Dusra Folder Ya App Open Kare Aur Home Button Ke Right Me Diye Option Par Click Kare. Ab Aapko Ak Pin Dikhai Degi. Us Par Click Kare. Ab Phone Ki Screen Pin Ho Gayi Hai. Ab Koi Yaha Se Screen Back Karke Vapas Nahi Jaa Payega. Screen Ko Unpin Karne Ke Liye Back Screen Par Long Press Karna Hoga. Ya Feer Back And Overview Ko Toch And Hold Kare Dono Ko Ak Sath, Screen Unpin Ho Jayegi.
3. Phone Ki Screen Ko Night Ke Hisab Se Change Kare:
Night Me Phone Use Karne Par Iski Light Se Hame Aur Dusre Ko Disturb Hota Hai. Iske Sath Hi Hamari Aankho Par Bhi बुरा Asar Hota Hai. Is Setting Ko Karne Ke Baad Aapko Phone Black And White Me Change Ho Jayega. Isko Aap Night Me Aasani Se Use Kar Sakte Ho.
Kaise Kare Setting:
Iske Liye Setting Me Jakar Accessibility Me Jaaye. Yaha Color inversion Ko ON Kar De.
ALSO RESD: