Aaj Ke Article Me Ham Baat Karne Jaa Rahe Hai 12 Amazing Work With Smartphone Fingerprint Sensor. Smartphone User Jyadatar Fingerprint Ka Use Sirf Phone Ko Unlock Karne Me Hi Karte Hai, But Aaj Ham Janege Ki Smartphone Ki Fingerprint Phone Unlock Karne Ke Alava Dusre Kis Kaamo Me Use Kar Sakte Hai.
Smartphone Ke Fingerprint Sensor Se Phone Unlock Karne, Selfie Lene Ke Sath Hi Aise Kaam Bhi Kar Sakte Hai Jiske Baare Me Aapko Pata Nahi Hoga. Is Se Aap Phone Ko Back Karne, Screenshot Lene, Home-Screen Open Karne, Background Me Chal Rahi App Ko Show Karne Jaise 12 Kaam Kar Sakte Hai. Iske Liye Aapko Google Play Store Se Ak Free App Download Karni Hogi. Jiska Name Hai Fingerprint Quick Action. Ye Application Sirf Android 6.0 Marshmallow Aur Unse Up Ke Version Par Work Karti Hai. Isko Use Karna Bahut Hi Aasan Hai, Yah App Sirf 1MB Ka Hai. Yaha Ham Aapko Isko Use Karne Ki Full Process Bata Rahe Hai.
Fingerprint Quick Action Install Karne Ke Baad Aapko Aap Se Related Kuchh Information Dee Jayegi Inko Read Karke OK Button Par Click Kare.
Ab Enable Fingerprint Quick Action Par Click Kare. Ye Setting Me Accessibility Me Le Jayega. Ab Accessibility Ko ON Kare.
App Me Jakar Non Xposed Mode Setting Par Click Kare. Agar Auto Retry ON Nahi Hai To Right Par Tik Kare.
Back Aakar Respond To Enrolled Fingerprint Only Click Karke Single Tap Action Option Par Click Kare.
Yaha 12 Kaamo Ki List Open Hogi, Jinhe Aap Fingerprint Sensor Par Single Tap Karke Kar Sakte Hai. Kisi Ak Kaam Ko Select Kar De.
Agar Aapne Screenshot Select Kiya Hai To Ab Jaise Hi Aap Fingerprint Par Single Tap Karege Screenshot Aa Jayea.
Dosto Ye Article Aapko Pasand Aaya Ho To Like, Share, Comment Karna Na Bhule. Thanks And Keep Visiting... Aur Bhi Article Padhna Chahte Ho To Niche diye Gaye Link Par Click Kare.
|