Youtube Channels Se Monthly Lakho Me Income Kaise Hoti Hai? - Hindi Love Tips

Hot

March 25, 2019

Youtube Channels Se Monthly Lakho Me Income Kaise Hoti Hai?

Aaj-Kal Internet Kamai Ka Bahut Badiya Jariya banta jaa raha hai, bas jarurat hai to unki sahi jankari ki, duniya me kai aise log hai jo youtube ke jariye archi khasi kamai kar rahe hai, or majedar baat to ye hai ki isme 1rs ka bhi kharcha nahi hota hai, sirf aapke paas internet data free hona chahiye, or ak computer ya to Smartphone hona chahiye,

Youtube Channels Se Har Mahine John Kamata Hai 1.20Lakh Jaane Kaise?

Youtube cbannel eran money

Internet ke jariye bahut sare ways hai paise kamane ka, par inme se best hai youtube se paise kamane me, kyu ki isme aapko mahenat kam or paise jyada milte hai, isliye ki ak baar apne ak video youtube channel par uploads kar diya to paise kamana sharu ho jayega, iske baad aapko kus bhi nahi karna padta hai, bas jyada paise kamane ke liye or video uploads karna padta hai, and SUBSCRIBE jyada hona chahiye, iske baare me bahut sare article likh chuki hu, feer bhi kus log isko Fraud mante hai,

America me jyadatar log internet se paise kama raha he, or ham isko paise kamane me support karte hai, par india me koi is tarah ki baat karte hai to use Fraud mante hai, vahi hamari kamjori hai, na khud kus kar pata hai, nahi kisi ko kus karne deta hai, bina soche samje khud ki speech dene lagta hai, me to kehti hu ki duniya me aise koi chij hi nahi hai jo Fraud ho, Fake ko bhi Original banane ki insan me takat hai, vo chahe to Fake company se bhi fayada utha sakte hai, par hosla hona chahiye, kus karne ka, sirf sochne se kus hasil nahi hota,


Ak baat me aapse kehna chahugi, Muje aaj bhi yaad hai, ak baar facebook se offer mila tha, ki SMS Karke ghar baithe mahine kamavo 30000 Rupay or maine company ka plan 2500 me le liya, lekin jab maine payment kar di baad me pata chala ki sms se nahi balki company ka Promotions karke paise kamana hota tha, feer bhi maine 15 day me 15 hajar kama ke job chhod di thi, kyu ki is company se public ko kam or company ko 90% hissa le jati thi, mera kehna ka matlab ye hai ki har kisi offer me sabkus galat nahi hota bas iske baare me pahle jankari hasil kar le, or google ne vo sab aasan kar diya hai, ak click se hasil kar sakte ho, Aaj ki post me america ke john ki baat karne ja rahi hu,
The Report Of The Week-youtube channel owner

CNN Money Ke mutabik America ke John Youtube ke jariye har mahine 1800$ (1.20 Lakh Rupay) kamate hai, iske liye unko kahi nahi jaana padta hai, ye sab vo ghar baithe karte hai,

Youtube se kamane ke liye kya karna padta hai,

  • Youtube Par Banaye Chennal

John Ne Youtube par The Report Of The Week Name Se Channel banaya hai, is Channel par 90,899 SUBSCRIBE hai, John Is channel par kus time ke baad youtube par video uploads karte rahte hai, users ke dvara video dekhne ke badle jo ads milti hai, youtube iska hissa john ko deta hai,

John Ko Monthly Kitne Paise Milte hai?

  • Har Mahine Ki Kamai 1.25 Lakh Rupay

Youtube par "The Report Of The Week" Channal par video ke badle John ko har mahine youtube se 1500$ (dollar) yani ki 1.05 Lakh Rupay milte hai, Jabki 300 dollar (20,000Rs.) Food Reviews ke liye donations ke roop me milata hai,

YouTube par Kaise Video Uploads karte hai John?

  • Food Reviews Ki Video Uploads karte hai John

Youtube par John Big Brands ke Foods ke Review dalte hai, in foods ka review vo khud karte hai, isme "Pizza-Review, Sandwich-Review, Health Drinks-Review, Burger-Review" or dusre foods item shamil hai, apne taja reviews me John ne Burger King ke Cheetos Chicken Fries ka Review kiya hai,

Kaise Hota Hai Foods Items Ka Review

  • Big Company ke Karte Hai Food Review

Kisi bhi Food Item ke liye John Yuse Kharid kar ise Khate hai, or khane ke baad apna Feedback dete hai, John Abhi tak 600 se jyada Food Item ka Review kar chuke hai, isme KFC sahit kai big Brands shamil hai, Food review ke liye john 1940 ke Dress Sense me Video shoot karte hai, aisa karna yuse archa lagta hai,

Kis se Mil Rahi hai John Ko Takkar

  • Youtube par Food Reviews ki Kai Channel Hai,

Youtube par Food Review karne vale John akele hi nahi hai, unke channel ki tarah kai or logo ne youtube par food review ke channel banaya hai, John ko JoeysWorldTour(SUBSCRIBE-169,126) OR Daym Drops (SUBSCRIBE-679,140) Se Kadi Takkar mil rahi hai, Ye dono Channel bhi youtube par review karte hai,


Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Kare