Students ke Education Career ka Best Parts Collage Life Ke Baad Ki 5 Situation Tips
Ye post aise Student ke liye hai jo collage life ke aakhri deeno me hai, Or Aap bhi ko collage life ke baad me student ki situation kya hoti hai iske baare me janna chahte ho to ye post jarur padhe, Har Students ke Education Career ka Best Parts Collage Life hoti hai, ye to aap sab jante hi hai, or aap sab ye bhi archi tarh se jante hai ki collage life ke 2 se 3 years ke time me study ke shath shath masti, new friends, party, ghumna, firana, or bahut sare reason ke bich me degree kab puri ho jati hai uska hame pata hi nahi chalata, our un yaado ko bahut miss karte hai, fir collage ki padhai puri hone ke baad hi hamare samane ak sawal aa jata hai, our vo sawal hota hai AB AAGE KYA KARE YAAR? (jaruri nahi ki ye sawal sabhi ke samane aate hai)
To aaj me aisi hi situation ke baare me baat karungi, to chale baat karte hai ham, kon si situation collage life ke baad, student ke samane khadi ho jati hai jab student collage se pass-out hota hai,
Collage Se Pass-Out Hone ke Baad Aage Kya our kya Situation Aati hai
- Study Stop, Horror Movie Start:
- Cool Rahkar Decision Le- Sirf Aap Akele Nahi hai,
- Collage Pass-out ke Baad Bhi Planning nahi karna,
- Masti Ke Shath Planning Bhi Important,
- Khud se Decision Lena bahut jaruri.
Student ki Collage Life Ke Baad Ki Situation
(1) Study Stop, Horror Movie Start:
Collage ke study dauran hi kus student ko placement mil jata hai, to dusri taraf kus student ko degree pury hone ke baad turant job mil jati hai, Lekin jyadatar student aise hote hai jin ke pass aage ka koi plan nahi hota, to aaj ka main topic yahi hai,
Ak baat jahir hai ki jab student ke pass aage ka koi plan nahi hoga to parents ko bhi tension to hogi na! Lekin student ki tension use vakht or bhi badh jati hai jab koi Relative ya to padoshi aapke Features plan ke baare me pusta hai, tab ak ahesas hota hai ki "Ab Life me Horror Movie Start Ho gayi hai" Or Bahut sare student in sabhi sawalo se bachane ke liye Ak rasta nikal leta hai or keh dete hai ki Master degree ya to aage badhana chahte hai,
(2) Cool Rahkar Decision Le- Sirf Aap Akele Nahi hai,
Collage Life puri hone ke baad aise student jinke paas koi job offer ke Features plan nahi hai, to ak baat yaad rakhiye ki isme sirf aap akele hi nahi hai, lekin aapke shath bahut sare our bhi student hai, bahut sare students aise bhi hote hai jisko arche marks nahi mile hote, Iski vajah se vo sab jagah job ke liye apply nahi kar pate hai, halaki kam marks aane se kai darvaje aapke liye band ho jate hai ye baat sach hai, lekin aapke liye khidkiya to hamesha khuli hi raheti hai, to bas ak baar khidaki se pravesh karlo darvaje apane aap khul jayege, bas jaruri hota hai sirf cool rahkar design le,
(3)-Collage Pass-out ke Baad Bhi Planning nahi karna
Collage ke pass-out hone ke baad aise student jiske pass aage ki planning nahi hoti hai jyadatar problem usi ke shath hi hoti hai, khas kar ke aise student ka koi perfect Decision nahi hota, or nahi koi ak plan hota, or vo kisi ak subject pe focused nahi kar pate hai, matlab ki aise student ka mind focused nahi hota, ye padhkar bhi kus karke aaye hai, or karana bhi kus our chahte hai, our mind me bhi kus our hi hota hai, vo sochte hai ki me film maker ban javu, comedian ban javu, ya to fir dono kaam sharu kar du, ya to isi tarah ki dusri baate sochte hai, in sab ke bich sochne me hi speedy samay nikal na sharu ho jate hai our vo sochata hi raheta hai, our ak 1 years ke baad hajaro-lakho students pass ho kar competion or jyada tuff kar dete hai, our is tarah se student ke man me dar baithane lagta hai,
(4)-Masti Ke Shath Planning Bhi Important
Yadi Aap ki age 20 ke karib hai our aap collage se Graduation kar rahe ho, to aane vala years aapki life ka sabse best years hoga, halaki, ye vo time hota hai jab masti-majak ke shath sath apne study pe bhi series hona bahut jaruri hota hai,
Shath me apne features planning me bhi focused karna hota hai, ye aisa samay hota hai jab aapke paas apne drama pura karne ka mauka hota hai, Life me shayad is se bahetar mauka dusri baar kabhi milata bhi nahi hai, is time pe kus student relationship me bhi bandh jate hai,
(5)- Khud Se Decision Lena Bahut Jaruri
Collage se pass hone ke baad yahi nahi sochna chahiye ki aapke relative our padoshi kya sochte hai, our parents ke man me kya hai, is se koi ferk nahi padata, aise me aapko kya karna hai is baat ka Decision khud ko hi lena chahiye, iska control kisi dusre ke hath me na de, halaki ye itana Aasan nahi hota, features ke baare me sochne se kai student dar jate hai, to aise me apne personal experience ke adhar pe is baat ki planning karni chahiye ki aap me vo power (samata) hai jise aap aasani se dhik kar sako, ab aapke liye aisa time aa chuka hai jab bahut sari alag-alag job ke liye Apply karna hai,
Job, Interviews, Study, Education, Ke baare me Padhana chahte ho to Niche ki Link Open Kare,
- 12th Ke Baad Student Kis Field Me Carrier Banay
- Interview Me Success Hone Ke liye Avoid Kare 7 Common Mistake-Tips
- Law Study Ke Liye Best Option Indore Institute Of Law
- Job Interview Me Jaane Se Pahle 5 Common Hindi Tips
- Job Interview Me Fail Hone Ke 5 Most Reasons
- Part Time Jobs Ke 9 Best Option 1,Hour Me 2,000 Rupay kamaye
- Top 10 Programming Languages Courses Sikhe 4 Month Me Job..
Waha Bhai...sahi Kaha..mere liye darwaze band hai Or KhidKiya Khuli hai....Waha Mere Bhai...
ReplyDeleteThank you satar brodhar aisi hi bane rahiye site par, our bhi education make money ke baare me post karenge
DeleteOk Brother
ReplyDeleteA good blog always comes-up with new and exciting information and while reading
ReplyDeleteCBSE 12th Class Result declare date