Reliance Jio Se Users Teji se Jude Hai, uski Sabse Badi vajah free 4G Data ke sath free roaming aur calling Hai. Yeh Baat sahi hai ki company ne 4G data aur roaming Puri Tarah se free dee Hai, But Jab Baat calling ki hoti hai tab aisa nahi hai. kyu ki company users ko lifetime free calling dene ki baat to kar rahi hai lekin ye calling Kaise Hogi? is Baat Ko Puri Tarah Se saaf nahi kiya hai. Jyadatar Users jio free calling Ke Chalte jio ke sath jud rahe hai. Halaki, Unhe Yus Vakht Nirasha Hoti Hai Jab phone se call nahi lagti. aise me Agar aap bhi jio SIM is wajah se Lena chahte hai ki Yus Se free calling ka maja le payege, To in Jaroori Baaton ko fist jaan le.
Jio sim ki calling data ke jariye ho rahi hai.
halaki, data user ke account se kharch nahi hota. a calling "voice over data" ki help Se Hoti Hai. jio ki 'term and condition' Mein saaf saaf likha hai 'Voice is truly free – no charge towards voice or the data used to make 4G voice calls.'
jio se calling ke liye aapke headset me 4G LTE ke sath VoLTE Feature bhi hona chahiye. Yadi ye Feature nahi hai tab yus se calling nahi hogi. Is feature ki help se hi data ke jariye calling hoti hai.
Internet Protocol ya IP Based LTE Network Ko Hi VoLTE (Voice Over Long Term Evolution) Kahte hai, LTE Ke Jariye Voice Calling Bhi ki ja sakti hai, iske liye career ko apne voice call network me change karna padta hai.
jio Lagatar is baat ka promotion kar rahi hai ki vo life time free calling degi. Halaki. Ye baat khulakar nahi batati ki iske liye smartphone ne VoLTE Feature ka hona jaroori hai. Yani aap 4G Phone hone par bhi calling nahi kar sakte.
Jio Ke Recharge par Sirf data milata hai, vo calling ke liye balance nahi deti. Vahi, other Telecom companies data ke sath calling balance bhi deti hai, yani unke liye headset 4G ke sath VoLTE hona jaroori nahi hai.
Note : आपको ये पोस्ट पसंद आई हो तो लाइक करें अगली पोस्ट के लिए Follow का बटन दबाए और हो सके तो whatsapp और facebook पर share भी कर दें.. हमारे सभी पोस्ट पढ़ने के लिए Logo पर क्लिक करें.... धन्यवाद...