Divorce leye bina dusri mahila se Relation bana sakte hai purush?
Aaj ki post aise mahila ke liye hai jo ise baat ki tension me hai ki Divorce to nahi huaa par uske pati dusri mahila se relation me hai to kya kare? (ye post sirf hindu ko hi lagu hoti hai vaise to me chahti hu ki marriage act. Ak saman hona chahiye ak hi country me) Married life me problem to sab ko hoti hai par kisi ki problems had se jyada bath jati hai our nobat aati hai Divorce ki, par jyadatar mahila apne parents ke ghar laut jati hai,
Lekin unhe patta hi nahi hota ki vo legally kya kar sakti hai, Well-Educated hone ke baavjood bhi unhe pata nahi hota Legal Rights ke baare me, Advocates Gunjan Chouksey ke anusar "Hindu Marriage Act, Domestic Our Violence CRPC" ke antergat bahut sari legal Action le sakti hai mahila.
Married Women's Kis Condition Me Kya Action Le Sakti hai? 10 Rights:
Bina Divorce Liye Dusri mahila se Relation nahi bana sakte hai Pati, janiye aise hi mahila ke 10 Rights ke baare me.
(1) Husband bina divorce diye dusri mahila ke shath nahi reh sakta, aise halato me dusri mahila ke shath relationship me hone par use par Adultery Charge lag sakta hai, patni aise me Divorce File kar sakti hai,
(2) Marriage me mila har uphaar our Nakad, स्त्रीधन (JOINTURE) kehlata hai, is par mahila ka hak hota hai, bhale hi vo pati ya saas-sasur ke paas ho,
(3) Marriage ke baad wife ka pura hak hota hai apne husband ke ghar rahene ka, bhale hi vo bhade (pushtaini) ka makan ho, joint family house ho ya kiraye ka ghar ho, par use par wife ka pura hak hota hai,
(4) Wife ko pure Sanmaan ke shath jine ka hak hai, jaise LifeStyle Saas-sasur our husband ji raha ho dhik vaisi hi wife ko milane ka pura adhikaar hai, wife apne par mantel our Physically torture hone par Action le sakti hai,
(5) Husband ke Living standard ke anusaar, wife bhi apni basic comfort ke Liye Clam kar sakti hai,
(6) Agar wife nahi kamati hai to Miner bacche ke liye vo Husband ke Financial Support ke liye Clam kar sakti hai, Magar sirf husband ki property me,
(7) Garbhadhan(गभाँधान) our Delivery se fist Sex Determination ki Technique (Ling Chayan Par Rok) Adhiniyam (PCPNDT) कन्या भ्रूण हत्या ke khilaf adhikar deti hai,
(8) Agar husband ne kisi property par paisa lagaya hai, lekin Register wife ke name par hai, to bhi divorce ke baad us par wife ka hi hak kehlayega,
(9) Hindu Law ke anusaar, agar wife ne chal ya achal property me koi bhi Financial contribute kiya hai to us par wife ko bhi hak milega,
(10) Divorce Cass File karne me our Lawyer Haier karne me wife Financial kamjor ho jati hai, isliye vo divorce hone tak husband se apni Financial jarurato puri karne ke liye court se help le sakti hai,
Note : Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi ho to Like, Comment and Share, Jarur kare, Aur apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.
Must Read:
Madam mahila k liye to aap ne bahut rules bata diye but ye bhi bata do ki agar mahila apne pati k jinda rahte huye agar kisi or k sath relationships banaye or apne Husband ka murder krne ka plan banaye to aap kuch bolenge ya silence mode pr rahengi
ReplyDeletenice question navlesh Rajput, and thanks for commenting. agar mahila apne pati k jinda rahte huye agar kisi or ke sath relationships banaye or apne Husband ka murder krne ka plan banaye to uske liye bhi low hai. and sabko unke kiye ki saja milti hai, chahe vo female ho ya male ho.
Deletehello sir
Deletesir me apni life k bare me kuch janna chahta hu ye meri or meri gf ki life ki kuch bate h !!
meri ek gf h jiske sath me pichle 7 saal se relationship me hu darasal meri gf ki shadi ho gyi thi aj se 3 saal pehle lekin shadi hone k baad useke sasural wale uske sath kuch brtav ni krte the na hi uska husband isi wajah se wo pareshan hokr wo apne ghr aa gyi btadu sir k wo kafi poor family se bhot jada poor uske bad dono k gharwalo ki bt huyi apas me lekin ladke k ghrwale mafi mangte h mahine me 1 br aa jate hai kehte ldki ko bhejdo hm fir aisa ni karenge likin ldki ab ni jana chahti saal gujar gye fir hamari dubara se bt hone lgi hm milne lage wo bhr kam krne lagi hm dono ab ek dusre se bhot pyr krte h or hm dono shadi krna chahte bta du sir k meri gf mujhse 3 saal bdi h to sir mujhe ye bta do k ye sadi kese hogi or kya krna padega humko mere family wale kehte h k wo shadi shadi shuda h lekin wo b mujhse bhot pyr krti h mujhse shadi krna chahti sir pls help me what i do pls sir
ASHISH BRO. aapki comment read karke muje mera purana samay yaad aa gaya, kyu ki aapke sath jo huya hai bilkul same story mere sath bhi hui hai, kuchh bhi alag nahi hai, fark hai to sirf itana ki aapka pyaar abhi is duniya me hai aur mera pyaar ne is duniya ko alvida keh diya hai, Aashish jee agar abhi aap sath rehna chahte ho to reh sakte ho, but sirf live-in-relationship me, jab tak ladki ka Divorce nahi ho jata tab tak aap shadi nahi kar sakte, but sath reh sakte ho, vaise bhi aap jyada time live-in-relationship me rahege to bina shadi ke bhi shadisudhha maana jayega, agar aap live-in me rahte huye bhi police aapko arrest karti bhi hai to bhi ladki jiske sath shadi karna chahti hai usi ke sath hi jayegi. isliye sabse pahle apni family ko manane ki koshish kare uske baad ladki walo ki family se baat kare ki agar vo ladka thik nahi hai to aapke sath shadi kara sakte hai, but sabhi baate apni family se karvaye na ki aap. and sabse jaruri baat ki in sab baato me pyaar kahi bhi na aana chahiye ki me us ladki se bahut pyar karta hu aur iske bina nahi reh sakta.. etc.. uske baad bhi aapki family mana karti hai to aap thode deen ke liye dono kahi nikal jaaye, isme kus bhi galat nahi hai, varna aisa hoga ki ladki wale feer se unke sasuraal bhej denge aur vo ladki feer se ghar laut aayegi, aisa chalta rahega aur aapka samay nikala jayega, feer bhi koi problem ho to bataiye, thanks and keep visiting
Deletesir lekin uske ghrwale b yahi chahte h ki divorse ho jaye lekin sir uske mere ghrwale ni manege ki me us ldki se shadi karu lekin mujhe yakin h ki ladki k ghrwale man jayenge ye me janta hu agr divorse ho jata h to bhi mere ghrwale ni manenge k me us ldki se shadi karu sir plz koi to aisa tarika btaiye ki me divorse k bad usse shadi kr sku wo mujhse sirf 3 saal badi h is wajah se b or wo shadishuda h is wajah se bhi sir plz sir koi to aisa law btaiye ki me us ldki se shadi kr sku plz sir wo mujhse shadi krna chahti h or me bhi plz tell me any law jisse me usse shadi kr sku divorse k bad
DeleteAashish bro. Aap Vina Vajah Ki tension le rahe ho. Aapko Sirf Ladki ka divorce tak wait karna hai. Aap gf se baat karle ki uska divorce jald ho jaaye aisa kuchh kare. Uske baad aapki kisi bhi low ki jarurat nahi padegi. Lekin aap jaise bol rahe hai ki aapki family divorce ke Baad bhi nahi Manegi. To ye baat 100% sach hai kyu ki aap kinare hai aur vo shadishuda hai to kisi ke bhi Mammy papa apne bete ki shadishuda ladki se shadi karana nahi chahege. Aur nahi aapki pyar ki fillings ko samaj payenge. Isliye agar aapko apna pyar chahiye to divorce ke Baad kahi bhi shadi kar lijiye. Jaise ki mandir me ya kahi aur, kyu ki aapki family is shadi ke liye kabhi ha nahi kahegi. Aur nahi ladki wale ki family aapki family ko samja payenge. Aap is baare me chahe to kisi advocate ki advice bhi le sakte ho
Deletesir hamari jo umar ka fasla h jesa k mene kaha tha k wo mujhse 3 saal bdi h kya usse koi fark pd skta h kya hamari shadi pr agr me divorse k bad shadi kr lu usse to kya koi dikkt to ni ayegi jese police koi pareshan kre etc.
ReplyDeleteAre bhai saab aap kyu pareshan ho rahe hai. Age Se koi problem nahi hoti, aapse 3 saal badi ho ya feer 15 saal shadi ke liye 18+ kafi hai. Muje ye baat samaj me nahi aati hai ki aap age se lekar itana tension me kyu hai. Aisa aapko kisne kaha ki 3 saal badi hai to shadi nahi hogi?
Deletesir agr ap meri jagah hote to kya krte same position pe
ReplyDeleteAshish Kumar agar me aapki jagah ho ta to sabse pahle gf ke divorce tak wait karta. divorce ho jaane ke baad family ko shadi ke liye manane ki full koshis karta, agar vo na maane to meri last try ye hoti ki unko saaf saaf bata deta ki aapne mana kiya to ham bhag kar bhi shadi kar sakte hai, feer bhi na mane to ladki ke sath bhag kar shadi kar leta, but meri aur aapki family same nahi ho sakti kyu ki muje pura yakin hoga ki mere jaane ke baad family ko koi problem nahi hogi,
Deletethank you sir mujhe tensn free krne k liye sir mujhe ek choti c bt k liye help kr dijiye ki hm shadi kr lete h divorse k bd mere ghrwale ni raji hote h agr mere manane k baad to hame bd me koi police ki tensn to ni hogi sir agr hm mandir me shadi kr le to kis kis chiz ki jarurat hogi jese document me sir me ye sb isliye janna chahtu taki divorse k bad jb hmari shadi ho jaye to hame koi taklif na ho kyuki ye me ni chahta k hm alag ho jaye shadi k bad sir ap sirf mujhe itna bta do ki proof kya kya chahiye hoga hamri shadi k liye
ReplyDeleteagar dono family me se kisi ne police ko complain ki to police arrest kar sakti hai, agar complain nahi ki to koi baat nahi, but shadi ke baad dono family ko bata de sahdi ke baare me taki police ko complain na kare. agar aap mandir me shadi karte hai to शादी के photograph, निमंत्रण पत्र, पुजारी द्वारा जारी प्रमाण-पत्र aur bhi jankari keliy ye article padhe, शादी ki कानूनी मान्यता
Deletesir apne mujhe jo kuch bate btayi smjhayi h me tensn free ho gya hu thank you sir
ReplyDeleteaapko bhi dil se sukriya.
DeleteHmari marriage Ko 30 mahine hogaye or Abhi ladki k ghr p pata chala to unhone ladki Ko divorce k liea convenience krlie bt muj divorce nhi Dena hai to KY court hme cooling period ka time de skta hai
DeleteHindu Marriage Act section 13B (2) ke tahat aapko Six months ke cooling off period ka samay diya jata hai, lekin iske liye Supreme Court ne कुछ शर्तें निर्धारित ki hai, jaise ki दोनों पक्षों के बीच सुलह के koi आसार court ko dikhna chahiye है। is baare me aap kisi advocate ki bhi advice le sakte ho, vo hi aapko sabse best advice de sakte hai..
DeleteHello sir mujhe kuch apse janna hai ke main ek ladkise love karta hun or wo shadi shuda hai or wo mere sath rehna chahti hai uski uske hasbend se bilkul nahi banti kya main usse court marriage kar lu to wo mere sath reh sakti hai. Bina apne hasbend ko divorce diye hum dono sath reh sakte h.....
ReplyDeletebro अविवाहित या तलाक शुदा स्त्री-पुरुष ही लिव इन रिलेशन में रह सकते हैं। ऐसा रिश्ता किसी भी समय समाप्त हो सकता है और इसे नैतिक नहीं कहा जा सकता है। शादीशुदा स्त्री के साथ लिव इन रिलेशन में रहने वाले व्यक्ति को कानून का संरक्षण नहीं प्राप्त हो सकता है। isliye jab tak divorce na ho tab tak wait hi kare. vo hi aapke liye best rahega. aur jankari ke liye ye article padhe... Bina Shadi Ke Sath Rahna Crime Nahi, But Married Hote Huye "Live-In" illegal. Kyu?
Deleteये बढ़िया है
ReplyDelete"हम नंगे तो हरामी तुम नंगे तो महावीर स्वामी"
सारे कानून बस औरतों के मज़े के लिए बनाये गये हैं क्या ...!शादीशुदा होते हुए भी अगर कोई औरत किसी गैर मर्द से शारीरिक सम्बन्ध बनाये तो बेचारा पति क्या करे कहाँ जाये और कहाँ शिकायत करे ...!
जरा बताने का कष्ट करेंगे आप लोग ....
thanks for nice compliment, and uske liye bhi law hai. aap ye article padhne ka thoda कष्ट kare, aapko sari jankari mil jayegi....
DeleteLive-In Me Rahne Wale Unmarried Couples Ke 16 Legal Rights [Hindu Marriage Act]
Bina Shadi Ke Sath Rahna Crime Nahi, But Married Hote Huye "Live-In" illegal. Kyu?
Shadi Shuda Vyakti Kisi Aur Ke Sath Live-In Me Reh Sakte Hai? 10 Rights
आपका mo.no. dijiye personal meri bhi ek problem hai personally I want to talk with you if you agree.1year se all family mery mentli bahut jyada pareshan hai.sanju ji give your own personal number plz
ReplyDeleteaap hame hindiloveshayari143@gmail.com pe apni koi bhi personal problem share kar sakte hai.
Delete