Hamari Country me Haal to Reliance Jio 4G Speed Dhoom Macha Rahi hai, Jio Ki Unlimited Welcome Offer ne Bahut Sari Companies ko hila ke rakh diya hai, Lekin Aaj Bhi Sabse Jyada User 2G Internet Chalane Vale hai, Log 4G Use Kar Rahe Hai, iske pise Ki Vajah Jio ki Free internet hai, 2G Internet pack Popular Hone ki Vajah hai..2G Internet Pack 3G OR 4G Se Sasta Hota hai 2G Internet User Ko Speed Kam Milati hai, But Ak Tricks hai Jise Follow karne Se Aap Bhi 2G Pack par 3G Speed ka Maja Le Sakte Ho,
Haal Me Bahut Sari Companies 2G pack par 3G Speed De Rahi hai, Isme Airtel, Idea Shamil Hai, Kisi Or Companies ke baare me pata nahi hai, but Jo Company 2G pack Par 3G Speed De Rahi hai, is se Aapko Browsing ke sath downloading Speed bhi 3G hogi, Lekin Jis Company 2G pack par 3G Speed Nahi De Rahi us me Sirf Aapko ye Tricks Se Browsing me hi 3G Speed Milegi Downloading me nahi. Ye Tricks Use karne Ke Liye Aapke Aria me 3G Network hona Jaruri hai, varna 3G Speed Nahi Milegi. Or Aapka Headset 3G Support Hona Chahiye.
2G InterNet Pack Par Chalaye 3G Speed
Step-1
Sabse Pahle Aapke Mobile ke Menu Par Jaye Or Settings Icon Par Click kare,
Step-2
Settings Me jaane ke baad Aapko "Wireless & Network" ka Option dikhega Ya More ke Option hoga, yus par Click kare, "More" Ke undar "Mobile Network" Par Click kare,
Step-3
Yadi Aapka Smartphone Dual Sim Support karta hai to Aapke 2G pack vale sim ko Fist Slot me Enter kare, kyu ki Dual Sim vale heaset me only Fist Slot hi 3G Network Support karta hai, Yaha Par Aapko Fist Sim Select karke Network type me jakar Aapko 3G Select Karna Hai,
Step-4
Ab Network Mode ko Tap karke ON kar le, yaha par Aapko WCDMA & GSM Mode, GSM Only, WCDMA Only Option me Se WCDMA Only ko Select karna hoga,
Step-5
WCDMA ONLY select karne ke baad Apne Smartphone ko Ak baar Restart karke ON kare, Aapko 2G Pack Par 3G Speed Milegi,
Note: Shayad Aapke Mobile me Setting thodi Alag bhi Ho sakti hai, To Aapko Sirf WCDM Only Kahi Se Dhoodhna Hoga, Agar Na Mile To muje Comment Karke Bataiye, me Aapki Help Karugi, Agar Aapko Comment Karne me koi Problem ho Rahi Ho, ya to Captcha Select karna Padta ho to CROME Browser Se Is Site Ko open Kare Or Apna Google plus ya or Koi Id Se Sirf Ak Baar Log in Karna Hoga, uske baad Jab Bhi App Crome Browser Se Site Open karege or Comment Karna Chahege to Baar Baar Log in Karne ki Jarurat nahi Rahegi, Automatically Aapke Name Aa Jayege,
mera mobile Micromax A25 h isme aapne kaha wo options nhi h
ReplyDeletebharat brother aapke headset me ye options kaha se aayega, Micromax A25 2g mobile hai. Post me bhi bataya hai ki is trick ke use ke liye 3G headset hona jaruri hai, comment ke liye thanks
ReplyDeletewcdma karne se sim emargensi batane lagti kya kare aab
ReplyDeleteDevendra Ji, Aap WCDMA Mode Karne Se Emergency Show Hone Ki Vajah Ye Hai Ki Aapki Location Par 3G Network Nahi Mil Raha Hai To Aapko Is Tricks ka Fayda Nahi Utha Sakte. Aap GSM Hi Rakhe. Jab Tak Aapke Area Me 3G Network Na Mile.
ReplyDeleteSir mene airtel me aisa kiya to ho gaya but idea nahi ho paa raha ,,off karke on bhi kiya but ek b network nahi aaya,,, mera bahut dimagh kharab ho raha hai is 2g ki speed se ..
ReplyDeleteaapne Airtel Sim Me Try Kiya To 3G Net Chal Raha Tha, But Idea Sim Par Nahi, Mins Ki Aapke Area Me Airtel 3G Network Available Hai, But Idea 3G Nahi Hai. IsLIYE Sirf 2G Net Hi Chalega. Agar Aapko Idea 3G Network ko Chack Karna Ho To Aap Mpbile Ki settings Me Jakar More Par Click kare Uske baad Mobile network par click kare uske baad network operator par click kare uske baad search network par click karke pata kare ki aapke aria me konsa network mil raha hai. 2G Ya 3G Vaha par aapko sabhi network ki list mil jayegi
Deletemera phone Karbonn Alfa a93pop h mere phone m wcdma k option nhi aa RHA h
ReplyDeleteAapka headset Karbonn Alfa a93pop Only GSM support karta hai. Mins ki 2G Hai isliye WCDM Mode Available Nahi Hai
Delete