Online Virus Scanning, Notepad, URL Shorter, Most Useful Websites Ever
Internet Ne Har Kaam Ko Aasan Kar Diya Hai, Hame Koi Bhi Information Sirf Ak Click Se Mil Jaati Hai, Aise Me Internet Pe Bahut Sari Websites Bhi Hai Jo Hamara Kaam Aasan Karne Me Kafi Helpful Ho Sakti Hai. Aisi Kai Websites Hai Jo Kai Moke Par Kaam Aati Hai. But In Websites Ke Baare Me Bahut Kam Internet Users Jante Hai. Is Article Me Ham Aise Hi Most Useful 10 Websites Ke Baare Me Baat Kar Rahe Hai, Jin Par Users Online Notepad, Banane Se Lekar Virus Scanning, URL Ko Short Kar Sakta Hai. Sath Hi Apne Computer Par Pure World Ka Time Dekh Sakta Hai. Inme Kai Website To Aisi Bhi Hai Jo Students Ke Liye Useful Hai. Baat Karte Hai World's Most Useful Websites Ke Baare Me..
Ye Online malware scan Karne Ki Website Hai. User's Yaha Par Files Ko Upload Karke Usme Virus To Nahi Hai, Is Baat Ka Pata Laga Sakte Hai. Ye Website Ki Khas Baat Ye Hai Ki Vo Ak Hi File Ko 20 Antivirus Software Se Search Karti Hai. Sath Hi File Me Judi Details Jaise Size, Type Bhi Dekh Sakte Ho.
Ye Website Kisi Bhi URL Ko Short Karne Ka Kaam Karti Hai. Yaha Par URL Ka QR Code Bhi Banaya Jaa Sakta Hai. Sath Hi, Kisi URL Ka Analytical Data Bhi Search Kar Sakte Hai. Is Website Ki Khas Baat Ye Hai Ki Ye 100 Word Wale URL Ko Sirf 12 Se 15 Word Me Convert Kar Deti Hai.
Is Website Par Total 30 Category Di Gayi Hai, Jisme Maths Se Lekar Music and Science Shamil Hai. Yaha Calculate Box Hai Jisme User Kisi Bhi Problem Ka Solution Dekh Sakta Hai. User Kisi Image Ko Upload Karke Uske Size, Dimension, Ratios Dekh Sakta Hai. Iske Sath, User Yaha Par Kisi Ke Name Ko Search Karke Uski Profile Bhi Dekh Sakta Hai.
WolframAlpha Categories:
- Mathematics
- Statistics & Data Analysis
- Chemistry
- Physics
- Astronomy
- Engineering
- Materials
- Life Sciences
- Computational Sciences
- Words & Linguistics
- People & History
- Culture & Media
- Art & Design
- Music
- Places & Geography
- Earth Sciences
- Weather & Meteorology
- Transportation
- Units & Measures
- Dates & Times
- Money & Finance
- Socioeconomic Data
- Health & Medicine
- Food & Nutrition
- Shopping
- Technological World
- Web & Computer Systems
- Step-by-step Solutions
- Data Input
- Image Input
- File Upload
- CDF Interactivity
- Education
- Organizations
- Sports & Games
- Surprises
Ye Online Notepad Ki Website Hai, Jaha Par User Direct Type Kar Sakta Hai. User Kisi Bhi Language Me Is Site Par Typing Kar Sakta Hai, But User's Ko Typing Aana Chahiye. Notepad Me Clear, Save And Copy Ke Bhi Option Diye Gaye Hai. Save Ke Option Par Click Karne Par Type Ki Gayi File Save Ho Jaati Hai.
Ye Website Google Maps Ki Help Se Work Karti Hai. Yaha Par Aap Kisi Bhi Country And Cities Ka Time Mouse Ko Move Karke Dekh Sakte Hai. Yaha Par Time Ke Sath Day Bhi Show Hota Hai. Is Site Par Map Dekhne Ke Liye Close-up and Satellite Ke Option Bhi Diye Gaye Hai.
Ye Website Kisi Bhi Icon Ko Search Karne ka Kaam Karti Hai. Yaha Par Aapko Icon Kai Size And Style Me mil Jayege. Website Ke Mutabik Yaha Par 1644159 Icons Diye Gaye Hai. User's Jis Pixel Size Ka Icon Chahta Hai Use Search Kar Sakte Hai. yaha Par Free Ke Sath Premium Icon Bhi Mojud Hai.
Ye Online Timer Ki Website Hai. Yaha Par User Man-mutabik Timer Set Kar Sakta Hai. Timer Set Karke Jaise Hi Go Karte Hai Countdown Start Ho Jaata Hai. Ye Sirf User Ko Alert Karne Ya Time Par Work Pura Karne Ke Liye Hai.
Is Website Par User Online PDF File Bana Sakta Hai. Yaha Par New File Select Karne Par Page Size Or Page Count Ke Baare Me Pusa Jaata Hai. Iske Baad User Apna Work Start Kar Sakta Hai. PDF Me Text Ke Sath Image, URL Upload Karne Ke Option Bhi Diye Gaye Hai.
PDF Escape Features:
- Edit PDF Files
- Create New PDF Forms
- View PDF Files
- Annotate PDF Documents
- Fill Out PDF Forms
- Password Protect PDF Files
Is Website Par English And Hindi Ke Hundreds of Fonts Diye Gaye Hai. User Ko Sirf Favorite Font Par Type Karna Hota Hai. Font Ko Paragraph, Numeric, Alphabet Me Select Karke Dekha Bhi Jaa Sakta Hai.
Aap Kisi Name Ka Domain Lena Chahte Hai To Unke Liye Ye Best Website Hai. Yaha Par Jaise Hi Search-Box Me Name Dalkar Search Kiya Jaata Hai To Vo Us Name Se Related Bahut Sare Domain Ko Dikhata Hai. Website Ka Dava Hai Ki Vo 180 Second Me User Ko Domain Search Kar Deti Hai. Jo Domain Name available Hote Hai Use User Yaha Se Direct By Bhi Kar Sakte Hai.
- Free Me Shikhe Google Class Ki Help Se Website Banana
- Ghar Se Hi Kare Part Time Job, In 10 Websites Se Kamaye 15000 Mahina
- Online Survey Ki Top 10 Website Milte Hai Sabse Jyada Paise,
- Companies Ki Feedback Dekar Ghar Baithe Har Mahine Kamaye
- Snapdeal, Flipkart, Amazon ke Sath Sharu Kare Business
- World Ki Top 5 Websites Ke Sath Apne Pasand Ka Kaam Karke Kamaye
- downloads kare 6 Best Mobile apps or kamaye ghar baithe paise
- Ghar Baithe Design Kare Or Beche Logo, Har Mahine Hogi 1 Lakh
- 5 Part-Time Jobs Ghar Baithe Kama Sakte Hai 10,000 Se 15,000
- Extra Earning Ke Liye 5 Best Part-Time Job / Kaha Milegi Job?
These are in fact great ideas in regarding blogging.
ReplyDeleteYou have touched some nice points here. Any way keep up wrinting.
thank you
Delete