Jio Phone vs Jio Phone 2 Comparison, Full Specifications, Features, Price Ke Baare - Hindi Love Tips

Hot

March 23, 2019

Jio Phone vs Jio Phone 2 Comparison, Full Specifications, Features, Price Ke Baare

Jio Phone vs Jio Phone 2 Comparison,  Full Specifications, Price, Features

Reliance Ki 41st Annual General Meeting Me Thursday Ko Mukesh Ambani Ne Jio Phone 2 Ko Launch Karne Ki Announcement Ki. New Jio Phone QWERTY Keypad Aur Bade Size Ke Sath 15 August Se Market Me Aayega. Is Phone Ki Price 2,999 Rakhi Gayi Hai. Last Year Bhi 5 July Ko Hi Mukesh Ambani Ne Jio Smart Feature Phone Launch Kiya Tha, Jiske Liye 1500 Rupaye Security Money Ke Roop Me Deposit Karne The, Jo Refundable The.

Ab Aapko Jio Phone Sirf 501 Rupaye Me Milega:-
Mukesh Ambani Ne Meeting Me Jio Monsoon Hungama Offer Bhi Present Kiya Jo 21 July Se Lagu Hoga. Is Offer Ke Tahat Purane Kisi Bhi Brand Ke Feature Phone Ko Exchange Karne Par 1500 Rupye Wala Jio Phone Sirf 501 Rupye Me Kharid Sakte Hai. Lekin Bina Exchange Karne Par 1500 Rupaye Wala Jio Phone Isi Price Me Aapko Milega. Lekin Company Ki Taraf Se Jio Phone 2 Ko Lekar Abhi Tak Koi Offer Nahi Diya Gaya Hai. Aaiye Jante Hai Jio Phone 2 Aur Last Year Launch Huya Jio Phone Se Kitna Alag Hai, 5 Points Me Janege Jio Phone Aur Jio Phone 2 Ke Features Ke Baare Me.

Jio Phone 2 VS Jio Phone Comparison.
Jio Phone vs Jio Phone 2 Comparison, Full Specifications, Price, Features
1. Design Aur Display:- 
Jio Phone 2:
QWERTY Keypad Ke Sath Aayega. Size Me Bada Hone Ke Baad Bhi Isme 2.4 Inch Ka Display Hai. Iski Design Blackberry Phone Ki Tatah Hi Hai, Lekin Isme Voice Assistant Bhi Diya Gaya Hai.

Jio Phone:
Ye Common Feature Phone Ki Tarah Design Kiya Gaya Hai, Jis Me T9 Keypad Milta Hai. 2.4 Inch Ka Display Diya Gaya Hai.
2. Camera:- 
Jio Phone 2:
Isme Front Me 0.3 Megapixel Ka Camera Hai Aur Rear Par 2 Megapixel Ka Camera Diya Gaya Hai. Is Se Video Recording Aur Video Calling Bhi Kar Sakte Hai.

Jio Phone:
Is Me Bhi Front Me 0.3 Megapixel Ka Camera Hai Aur Rear Par 2 Megapixel Ka Hi Camera Milta Hai. Isme Bhi Video Recording Aur Video Calling Ki Jaa Sakti Hai.
3. Ram Aur Storage:-
Jio Phone 2:
Isme 512MB Ki Ram Aur 4GB Ka Internal Storage Milta Hai. Jise SD Card Ki Help Se 128GB Tak Badhaya Jaa Sakta Hai.

Jio Phone:
Isme 512MB Ki Ram Aur 4GB Ka Internal Storage Hai, Jisko Micro SD Card Ke Jariye 128GB Tak Badha Sakte Hai.
4. Battery Aur OS:-
Jio Phone 2:
Ye Phone KaiOS Par Chalata Hai Aur Isme 2000mAH Power Ki Battery Di Gayi Hai. Iske Sath Hi Ye 4G VoLTE, FM Radio, Bluetooth, Wife, GPS Aur NFC Jaise Features Diye Gaye Hai.

Jio Phone:
Ye Bhi KaiOS Platform Par Chalata Hai Aur Isme Bhi 2000mAH Ki Battery Hai. Is Phone Me Bhi 4G VoLTE, FM Radio, Bluetooth, Wife, GPS Aur NFC Jaise Features Milte Hai.
5. apps:-
Jio Phone 2:
Isme Jio Ki Taraf Se Milne Wali Sabhi Apps Support Karegi. Sath Hi Whatsapp, Facebook Aur Youtube App Bhi Inbuilt Rahegi.

Jio Phone:
Isme Bhi Jio Ki Sari Apps Support Karti Hai. Sath Hi Is Me Bhi Whatsapp, Facebook Aur Youtube Apps Aane Wali Hai.

Dosto, Reliance JioPhone 2 vs JioPhone: Full Specifications, Price, Features Ke Baare Me Bataya Feer Bhi Aapko Koi Dout Ho To Hame Bataye, Ham Aapke Sabhi Sawalo Ke Jawab Denge, Thanks And Keep Visiting... Coming 🔜 Question And Answer: Kya Jio Phone 2 Me Koi Bhi Sim Chal Sakti Hai? Is Phone Se Jude 10 Question Jo Har Koi Janna Chahta Hai.

YOU MAY ALSO LIKE: