Job Interview Me Fail Hone Ke 5 Most Reasons - Hindi Love Tips

Hot

March 25, 2019

Job Interview Me Fail Hone Ke 5 Most Reasons

Job Interview Me Fail Hone Ke 5 Most Reasons

Interview girls

Interview Me Success Hone Ke Liye 5 Tips Follow Kare,

Maine aapse pichhli post me vada kiya tha, ki Interview Me Success Hone Ke Liye kya kare post aapke shath jald hi share karungi, to aaj usi ke baare me baat karenge, aapka jyada time na lete siddhe point pe aate hai,

Ak badiya job kon nahi chahta, har kisi ki umid hoti hai ki sabse archi job use mile, or uske liye fist aapko interview pass hona bahut jaruri hota hai, but aapko success hone  me interview divar banakar khada hota hai, aaj ki post interview ki divar ko aasani se kaise paar kare uske liye khas likhi hai,

Aapke or job ke bich badha raheti hai, or vo badha interview ki hoti hai, Kai Candidates isliye interview me fail hote hai ki interview ko vo हौव्वा maan lete hai, interview ki is badha ko aasani se paar kiye ja sakti hai, Aaj me aapke shath jane mane interview expert se mulakat karati hu, to chale usi ke shabdo me jaane

"Interview Expert Mahendra B. Thakur Jo Mumbai me COUNSELOR, MOTIVATIONAL SPEAKERS And LIFE SKILLS  COUCH hai" Unho ne kus aasan tips batai hai use follow karke aap aasani se interview me success ho sakte ho,

Interview Me Success Hone Ke Liye 5 Tips Follow Kare,

  • (1)-Relax Rahiye Kyu ki Ye Aapki Life ka Aakhri mouka nahi hai,
  • (2)-Bharpur Taiyari Kare,
  • (3)-Impress Karne Ke Liye Arche Kapde pahne, 
  • (4)-Baat Karne Ke Liye Aapke Pass Kus Ho,
  • (5)-Aap Khud Bhi Sawal Puchhe,
(1)-Relax Rahiye Kyu ki Ye Aapki Life ka Aakhri mouka nahi hai,

Agar Aap Interview me select nahi hote to bhi aapke liye duniya nahi khatam hone vali, yani ki yah koi aakhri mouka nahi hai, isliye aapne par se Presser ko dur fack dijiye, is se aap interview me sahaj rahege, or aap me Self-Confidence bhi bana rahega,


(2)-Bharpur Taiyari Kare,
Interview me jaane se pahle aapko apni our se puri taiyari karni chahiye, interview me fail hone ka sabse bada reason yahi raheta hai ki candidates iski puri taiyari nahi karte hai, isliye aap jis company ke interview dene ja rahe hai uske baare me puri tarah ki jankari hasil kar le, jis job ke liye Aapne apply kiya hai uske baare me puri research kar le, or other candidates ke shath aap kaise competition karege, uski ak strategy taiyar kare,

(3)-Impress Karne Ke Liye Arche Kapde pahne,

Aap kaise dikhte hai iski ke aadhar par koi Ajnabi Vykti bhi aapke baare me negative ya positive raay bana lete hai, interview me kya pahne ye hamesha ak pahely hi raheta hai, Fashion to aati he or jati hai, lekin Style hamesha bani raheti hai, or yah Formal or Informal interview dono me lagu hota hai, meri salah yahi hai ki aapko in par bhi pura dhayan dena chahiye,Interview me jaane se pahele apne jutte chamkale, or koi chij loss na rahe, or Nakhun puri tarah se karine se katte hone chahiye, ak baar ka khas dhayan rahe ki agar aapko lagta hai ki aap arche lag rahe hai to ye baat aapke Self Confidence ko bathati hai,

(4)-Baat karne Ke Liye Aap Ke Pass Kus Ho,

Sabse archa interview vo hota ha jisme aap kus Le, to badale me bhi kus De, (Give and Take) aap company ke baare me, apne bhumika ke baare me, Apne Background ke baare me, industry me kya trend chal raha hai, uske baare me charcha karne ke liye puri tarah se taiyar hokar jaye, company unlogo ko job deti hai jo kafi Engej rahete hai, shikhne ko hamesha taiyar rahte hai, or jis Roll ke liye vo apply kar rahe he usme dhalane ke liye hamesha taiyar tahte hai,

(5)- Aap khud bhi Sawal puse,

Aapka interview aisa nahi hona chahiye ki sirf interviewer hi aapse sawal puse ja raha he, interviewer dwara sawal puse jane ke baad aapko bhi apne job ke baare me puchh-tachh karni chahiye, or aapko ye bhi pusna chahiye ki kya ye job aap ke liye sahi hai? Agar aap kus bahetar Sawal taiyar kar sakte hai to isme aap apne anya competitors se ak kadam aage rahege, Or Ha, aakhir me Thank you kehana na bhule,

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.

Interview ke baare me our bhi janna chahte ho to niche diye gye link se jankari hasil kar sakte ho,

2 comments:

  1. I really like your blog.. very nice colors & theme. Did you create this website yourself or did you hire someone to do it for you?
    Plz respond as I'm looking to create my own blog and would like
    to know where u got this from. appreciate it

    ReplyDelete
    Replies
    1. ye templateyard ki paid theme hai, bro.. and isme maine kafi kuchh change kiya hai, baki sab maine apne tariko se design kiya hai, and is me muje kus bhi change karna hota hai to service provider kara deta hai, kyu ki paid them ak baar by karne ke baad baki service free me provide karati hai, haal hi me tempalateyaad par is se bhi best theme available hai, and aap jab bhi theme install kare to paid hi use kare, aapko bahut sara fayda aur traffic bhi milega...

      Delete