Hindi Love Tips: Mobile Application

Hot

Showing posts with label Mobile Application. Show all posts
Showing posts with label Mobile Application. Show all posts

May 09, 2025

Kaise Kare Facebook Ke Advances Users Features Ki Help Se Kamay

5/09/2025 4

Kaise Kare Facebook Ke Advances Users Features Ki Help Se Kamay

Make money with facebook, earn money with facebook
How Facebook Users advances from the Help feature Earning
Aaj Har koi facebook ke dewane hai, aaj sabko facebook se love ho gaya hai, chahte bhi bhul nahi pate hai aisa haal sab ka hai, na jaane ye dewangi kaha se aayi hai, par facebook ne bhi uske user ke liye ak best features lunch kiya hai iski vajah se aap Aasani se paise kama sakte ho, Facebook ka istemal ham jyadatar chat karne, photo uploads karne, aur jankari share karne me karte hai. Young generation ke liye time pass karne ka sabse archa platform hai,

Lekin Aap Chahe to facebook se arche-khase paise bhi kama sakte ho,Facebook ne iske liye aapko ak option bhi diya hai, jisko use karke aap apne business ke marketing bhi kar sakte ho, to chaliye friends baat karte hai facebook ke jariye kaise kamai ki jati hai,

Facebook ab aapko ghar baithe kamane ka mauka de rahi hai, sirf aapko ye kaam karna hoga,

Kaise Kare Facebook Se Kamay?

Facebook ke Advance users features ki halp se paise kama sakte hai, Iske liye aapko facebook pe page banana hoga, Aapko apne page ko har-roj update karna hoga, Aisa karne par aapki Rich बढती jayegi, Rich बढ ne par facebook, aake page ko khud hi sceen karega, Iske baad aapke page par Advertise show hone lagegi, iske jariye aap bahut sare paise kama sakte ho, vo aapke page ki Rich par depend karega ki aap kitane paise kama sakoge jitana jyada rich hogi utana jyada paisa milega,

Halaki, iske liye facebook par aapko ak Aavedan karna hoga, jise facebook approve karega, Aap facebook se kitani earning kar sakte ho ye aapke facebook use our aapke page ki Rich par depend karegaFacebook par business sambandhi jaankari our facebook advance users features ki aur detail ke liye click kare,

Kaise Kare Register ?

Iske liye aapko facebook ka advance user banana padega, aap jaise hi facebook ke advance user banege, turant aapke paas ak Notification aayega ki aap facebook ke advance user ban chuke hai,

Advance user banne ke baad aapko ak form bharana hoga, jisme bank ki jaankari, jaise bank account No. Our kai dusri details add karni hogi,

Form bharne ke baad aapka account 18 hours ke andar activate ho jayega, Ye option filhaal advance user banne ke liye test hone ke baad se facebook aapko notification ke jariye contact karega, Iske baad aapki har activity par najar rakhi jayegi,

Kaise kare Video Sharing se kamay

Agar aap apani timeline ya page par koi video uploads karte hai to bhi aap paise kama sakte ho, jo bhi video aap uploads karenge facebook un par advertise show karegi, our is ke jariye hone vali income me se facebook uska commission katke dusra hissa aapko dengi,

Ha ak baat jarur yaad rahe ki video original hona chahiye us par kisi ka copyright nahi hona chahiye matlab ki aapne khud ne video shoot ki honi chahiye,

Facebook ne Small Business ko Promote karne ke liye diya New Option
Facebook ne Small Businessmen ke liye banaye gaye page ko puri tarah badalte hua isme naya call-to-action Button add kiya gaya hai, Isme Businessmen apne sambhavit customer ko unke shath judne our product ko dekhne ke liye प्रोत्साहित kar sakte hai, Customer business page par mojud product ko dekhne ke baad company se contact kar sakega, is me Sabhi Businessmen ke messaging tools ko use karna bhi Aasan ho jayega,

Facebook ne haal hi me kaha ki vo chahta hai ki Businessmen apne page ko option ke taur par dekhe, our isme apni website ko design kare,

Phone Call Karne Ki Problem Hogi Solve
  • Facebook ne ak baat conform ki hai ki logo ko phone calls jyada pasand nahi aate hai,
  • Log phone call ki jagah pe Text messages ke jariye sawal-jawab karna pasand karte hai,
  • Message tool par click-to-message: ka option diya jayega,
  • Customer message par click karke company se contact kar sakenge our Reservation bhi kar sakege.
  • Halaki, click-to-message: Add Format puri tarah se pesh nahi kiya gaya hai, ye bhi testing mode pe hai,
YOU MAY ALSO LIKE:
Read More

Facebook ki Top 10 Hidden Hindi Tips And Tricks

5/09/2025 9
Facebook mobile girls

Facebook ki 10 Hidden Hindi Tricks 

Aajkal har kisi ke paas smartphone hota he, or har mobilephone me Facebook app jarur hoti hai jise sayad din me sabase jyada using kiya jata hai. India me har din Facebook ke users badhate ja rha hai kai users aese ho jo dusro ki sirf update padhate hai.massage pdha lete hai aur profile picture badal lete hai.isase Aage Facebook unake liye kucha nhi hoti hai .


Lekin Facebook Real me ak kamal ki App hai. Isme koi aesi hidden tricks hai jo kafi use hoti hai. Aaiae me aapko batati hu iske baare me bahut kus jaankari jo aaj tak anjaan the, To chaliye aaj ham baat karate he, Facebook ki aesi hidden tricks ke bare me.

Facebook Top 10 Hidden Tricks 

(1)-Secret Inbox
Friends Facebook me bhi Secret inbox hota hai jo filtered massage ko Aapke inbox me na send karake  dusare box me bhej deta hai or jab Aap ise  open krenge tbhi dikhai dega.

(2)-Video or rapport ko survey karke bad me dekhe.

Facebook me Aap video or rapport ko seve karke unhe bad me kabhi bhi time milne par dekh sakte hai. iske liye update par right click karke use save karna hoga.

(3)-Uber ko call kar sakte hai.

Aap Facebook massager ki help se uber ko call kar sakte hai bas iske liye Aapko internet ki help padti hai. Aap ke mobile par balance ho ya na ho isase koi lena dena nhi hota. Uber account ke sath connect ho jaye or car ka symbol send kar de. Iske bad Aap call kar sakate  ho.

(4)-News feed se logo ke post delete kare.

Agar Aapke kisi vyakti ki post se pareshan hai or use apne newsfeed se hatana chahte hai to Aasani se delete kar sakte hai  Aap us vyakti ki profile par jaAe or use unfollow kar de. Usake bad Aapke newsfeed me usaka koi bhi post nhi dikhai dega.


(5)-Profile ko page me badle.

Agar Aapke friend 5000 se jyada ho gye hai or Aap apane profile ko page me badlana chahte ho to use page migration features  ki help se  badla ja sakta hai.

(6)-Close friend ko shortlist kre. 

Agar Aapke Facebook me kai friend he or Aap unme se kuch ko hi shortlist karna chahte hai to aesa kar sakte hai. Aap ke facebook chat baar me jakar adit options par top peoples ko select karle. Is se Aapko apane friend se chat karne ke liye puri list ko scroll ya search nhi karna padega.

(7)-Show Current Location and Nearby Places.

Agar Aap kisi new Location par gye hai or vaha ke Location ko explore  karna chate to Facebook Ki help se vaha ke Impotent location  ko dekh sakte hai. Iske liye nearby teb par click kare or Apani sahi location ko dale.

(8)-Live video

Facebook ki help se Aap Live video chat Kar sakte hai. Iske liye Aap apane phone me massager install karna hoga.

(9)-Chat

Facebook ka chat ak massager hai Aap chat karna chahte hai to shirf is Aap ko install kar sakte hai.iske madhym se Aap faltu ki chat se bach jaAenge or jin logo se chat karna chahte hai unase hi chat kar  paAenge iske liye Aapke Facebook par login hone ki jrur nhi hai.

(10)-Top app hai Facebook.

Facebook ab tak ka top app hai jise har smartphone me dekha ja sakta hai. Aap is par kisi bhi site ke connect  ya news from ko bhi share kar sakte hai iske liye padhe jane vale article  ke site me Facebook symbol par click kar de. Apne Aap article  share ho jaAega.

Read More

Reliance Jio Ki Help Se, Dekhe Free Online Mobile Movies Or TV Serial

5/09/2025 0

How to watch free movies online and tv serial with jioplay app

watch free movies online and tv serial
Reliance Jio thamne ka name nahi le rahi hai, Company ke "Welcome Offer" Ke baad ab company ne mobile, Internet, TV, par bhi free access dene ki soch li hai, Company ne bahut sari Apps Lunch ki hai, jaise ki MyJio, JioChat, JioTV, JioCinema, JioMusic, JioMags, JioDrive, JioXpress News, Jio4GVoice, JioSecurity, JioNewsPaper, JioNet. Par ham baat karege Jioplay app ke baare me...

Company ke JioPlay App ki help se aap mobile internet par free online movies ka maja le sakte ho, khas baat ye hai ki ye Zero Subscription OR Zero Data Loss Package me shamil hai.

Free Online Movies And TV Serial Dekhne ke Liye Kya Karna Hoga?

Step-1 Sabse Pahle aapko JioPlay App Download Karna Hoga, is app me 350 TV Channel hai, jisme bahut sari Language Shamil hai,
TV Channel
Step-2 Ab Apne Jio Account me Sign in kare, Jio Account ko Sign in karne ke baad aapka Registered mobile number enter karna hoga,

Step-3 Ab Hogi Free Streaming
Ak baar Number Verify karne ke baad aapke App se Free Streaming start ho jayegi, ye 3 month ke liye free hai, halaki, ye unlimited nahi hai, or jio ki 4GB One Day Limit isme bhi hai,

Out Of Limit par Slow Hogi Internet Speed.

4GB Limit Khatm hone ke baad Internet Speed 4G se Ghatkar 128Kbps ho jayegi, isme Sony, GTV, Star Plus, jaise channel bhi shamil hai,

New Features- Poss And Play Live Streaming,

JioPlay App me new features Poss Or Play Live Streaming Videos ke liye aaye hai, in features ke sath aap live Show bhi poss (पॉज) kar sakte ho, ye DTH Service Providers ki tarah kaam karega,

Jioplay app kin devices ko support karega,
Compatible Devices.
App For Free live tv
Ye Jio App Tablets Or Smartphones dono par chalega, lekin abhi tak iphone ke liye ye hai ya nahi iske baare me koi jankari nahi hai, Sabhi android smartphones or Tablets jo Airtel 4G,Jio Sim ke liye Compatible hai un par ye app work karega,

Jio Sim Lene Se Pahle Aise Pata Kare Aapke SmartPhone Me Chalegi ya Nahi
Jio sim support smartphones

Reliance Jio Sim Hashil karne ke liye Users sabhi tarah ka prayas kar rahe hai, sim lene vale jyadatar users aise hai, jinhe is baat ki jankari bhi nahi hai ki  ye sim unke smartphone me kaam karega ya nahi, sath hi, Sim me jo features aa rahe hai, vo unhe use kar payega ya nahi, users ko sirf is baat ki jankari hai ki ye sim or iske features free hai, ab jara sochiye ki sim mobile me kaam hi na kare to feer kya hoga? Aise me me aapko bata rahi hu ki sim aapke smartphone me work karegi ya nahi, to aaiye friends ham jante hai ki kaise pata kare ki hamare smartphone par jio sim chalega ya nahi.

Smartphone par Jio Sim Support karega ya nahi kaise pata kare,

Step-1 Sabse pahle aap google pe ye website Will My Phone Work search kare, ya to aap yaha par click karke direct bhi site par ja sakte hai,

Step-2
Ab Getting Started option me pusi gayi jankari feel kare,
Will My Phone Work
Step-3
Details dene ke baad jab aap search par click karege to aapke sabhi network ki jankari Aa jayegi,

Step-4
Yaha par 2G, 3G Network par Right ka nishan aata hai, lekin 4G par nahi, to aapke smartphone par jio sim nahi chalegi, (aap photo me dekh sakte hai,)
Will My Phone Work
Extra Details:
  • (1)-Aap Getting started ke option ke niche Brand me apne mobile ki company ko select karna hai, jaise ki Samsung, HTC, LG etc.
  • (2)-Iske baad smartphone headset ka Model select karna hai, jaise ki Desire-310.
  • (3)-Iske baad Country me india select kare,
  • (4)- Country select karne ke baad Carriers select karna hoga, matlab ki aap kis company (Operator) ka sim use kar rahe ho, exa.. Airtel, idea,
  • uske baad search par tep karde,

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.

Also Read:
Read More

May 08, 2025

Good Life Style के लिए काफी उसफुल है ये 4 बेस्ट फ्री एप्पलीकेशन।

5/08/2025 0
हाल के दिनों में स्मार्टफोन का इस्तेमाल बहुत बढ़ गया है। इस समय, कुछ ऐप हैं जिनका उपयोग अच्छी आदतें अपनाने, नियमित नींद लेने, ऑफिस में प्रोडक्टिविटी को बढ़ाने और स्वास्थ्य में मदद करने के लिए किया जा सकता है, जो स्मार्टफोन पर फ्री में उपलब्ध है। आज के आर्टिकल में हम आपके लिए ऐसे ही कुछ ऐप्स के बारे में बताने जा रहे है।
good-lifestyle-tips-in-hindi

1. हबीटिक (Habitica)
व्यवस्थित और मोटिवेट रहने के लिए, जीवन को एक खेल के रूप में ट्रीट करना चाहिए। इस एप्लिकेशन के जरिये आप अपने डैली और साप्ताहिक आदतों और काम को ट्रैक कर सकते हैं। यह ऐप फेंटसी गेम थीम का उपयोग करके अवॉर्ड के जरिये आपको सन्मानित करता है या आपको जुर्माना देता है। किसी भी काम को पूरा करें या अच्छी आदतें अपनाएँ, जिससे आपको एक्सपीरियंस पॉइंट या तो फिर कोइन मिलेगा। जिसका उपयोग वस्तुओं को खरीदने में किया जा सकता है।

प्लांट नैनी (Plant Nanny)
जो लोग कम पानी पीते हैं और अपनी ये बुरी आदत को छोड़ना चाहते हैं, वे प्लांट नैनी ऐप को डाउनलोड कर सकते हैं। इसमें आप एक वर्तुअल और छोटे घर की देखभाल कर सकते हैं। आप अपने स्वास्थ्य के प्रति खुद को जागरूक रख सकते हैं। जब भी आप एक कप पानी पीते हैं, तो Virtually एक पौधे को पानी पिलाते हो। उसमे अलग-अलग पौधे और कप चुनना होता हैं। यह ऐप आपको प्रेरित करेगा और आपको पानी पीने के लिए प्रोत्साहित करेगा। इस आदत को अपनाने के बाद आप अन्य दो लोगों को पानी पीने की 100% प्रेरित करोगें।

स्लीप टाउन (Sleep Town)
इस एप्पलीकेशन को 4.2 रेटिंग मिला है गूगल प्ले स्टोर पे, और रिव्यू भी बहुत अच्छा मिला है। इस एप्लिकेशन की हेल्प से आप स्वस्थ और नियमित नींद के लिए शेड्यूल को मेन्टेन कर सकते हैं। इसमें जैसे आप अपने लक्ष्य को प्राप्त कर लेते हैं, तुरंत ही ऐप में एक इमारत बन जाएगी। केवल आपको सोने और जागने का समय सेट करना होगा। ऐप में एक बटन दबाने से पता चलेगा कि आप सोने जा रहे हैं। यदि आप एक निश्चित समय से पहले फोन का उपयोग करते हैं या सोने में देर हो जाती है, तो ऐप में इमारत ढह जाएगी। जब आप समय का पालन करेंगे, तो अलग-अलग इमारतें बनती रहेंगी। जो आपको मोटीवेट करती रहेगी।

फॉरेस्ट (Forest; Stay Focused)
यह एप्लिकेशन अधिक प्रोडक्टिव होने में मदद करता है और मोबाइल से दूर रहने में मदद करता है। यह माना जाता है कि अधिक प्रोडक्टिव होने के लिए, हमेशा गैजेट से दूर रहना चाहिए। जब आप मोबाइल से सफलतापूर्वक दूर हो जाये तब  एक पौधा आपके लिए लगाया जाता है। जब आप टाइमर शुरू करते हैं, तभी से पौधा को बड़ा करने का काम शरू होगा। अलग-अलग समय के लिए कई पौधे होंगे। आप टाइमर बंद करते हैं या ऍप्स से बाहर निकलते हैं, तो ये पौधे मर जाएंगे। ऐसा करने से बार बार फोन हाथों में लेके विभिन्न एप्स में हमे व्यस्त होने से दूर रखता है। वास्तव में इन-गेम सिक्कों का उपयोग से पर्यावरण के रखरखाव के लिए पौधे रोपण को बढ़ावा देते हैं। एक अनुमान के अनुसार, अब तक 3.40 लाख पौधे इस तरह से लोगो ने लगाए हैं।

Read More

March 25, 2019

Bina Internet Ke Free Me WhatsApp Kaise Use Kare-Chat Sim

3/25/2019 2

Bina Internet Ke Free Me WhatsApp Kaise Use Kare-Chat Sim

Chat Sim Card Slot

Social Media mobile messaging app Me WhatsAap Kafi popular HuAa Hai, Website Stasista Rapport mutabik WhatsApp Ke users worldwide February 2016 Me 1-billion monthly active users the.

bina internet ke free me kaise use kare WhatsAap,

Post Ka Title Dekhate hi Ye baat aapko Fraud Lagegi, Ki ye impossible hai, Social Media mobile messaging app internet ke bina kaise chal sakati hai, Lekin Ye Baat 100% Right Hai kyu ki Ab Market me Ak New Sim Launch Huaa Hai Jiski Help se aap beena internet connection ke WhatsAap or Social media ki chuni gayi app ko free me use kar sakate ho,  Iska Name Hai, Chat Sim

Chat Sim Kya Hai?

Chat Sim Card Slot

Chat Sim Ham Jaise Idea, Airtel, Bsnal, Etc..operator Company Ke  Sim card use karte hai vaisa hi Hai, jise aap Apne Mobile phone me lagane se Beena internet connection ke WhatsApp or any ether messaging App ko free me use kar sakate ho,
Kaha Se Kharide Chat Sim
Chat Sim Card Slot

Chat Sim kharidane ke liye sabase pahele company ki Official Website www.chatsim.com par Visit kare, Iske baad By-Sim par click kare, Step Follow kare or Order Place Kare, Ye Chat Sim E-Commerce Website www.amazon.com par bhi available hai,

Chat Sim Features And Using 
Chat Sim Card Slot

Chat Sim Sabhi Smart Phone par Work karata hai, Chat Sim ko Apne Mobile ke Micro or Nano Dono Sim Slot me use kiya ja sakata hai, Chat Sim ki Help se Aap Beena internet connection se world me kahi bhi apne friends ya kisi ko bhi messaging kar sakte ho, or khas baat ye hai ki aapko Data-Roaming ki chinta karne ki jarurat nahi he, kyu ki vo pahele se Roaming free kiya gaya hai,

Chat Sim Price
  • Indian User Ke liye chat sim ki price 950Rs. Validity 1-Years.
  • Iske Alava Free me Images or Messaging use karane ke liye 950Rs. Chukana hoga,
  • Maltimedia Richarg ke Liye -950Rs.
  • Or 557Rs. Shopping Charge ke chukana hoga,
  • Kool Milakar Total-3407Rs. Aapko kharch karana hoga,
Aapko Nahi Lagata ki 1-years ke liye Ye to kus jyada hi ho gaya, is se archa to hamara internet pack hai, jo kabhi 98 me 1-GB 3G ka offer bhi deta hai, or Sabhi Site bhi open kar sakate hai, to friends meri taraf se compnay ka ye idea bakavaas, vahiyaat hai, 

Lekin ye post likhane ka mera matalab un logo ke liye hai, jo sabse jyada time Traveling me bitate hai, or social media app ka using bahut karate he,iske liye chat sim bahetar hai, 

Chat Sim Kitane Apps par Work karega

Chat Sim Se Aap WhatsAap, Messenger, Vchat, Hike, Etc..Aap ko beena internet connection me use kar sakte ho, ye Chat Sim is type ka fist sim Card hai.

Kya Ise Kharidana Sahi Ya Galat Hai,

Ise kharide ya na kharide ye aapke internet using par depend karata hai, or iske baare me maine aapko aage bhi bata diya he, Agar aap jyada samay Traveling me bitate hai, to aapko Sim Chat lena chahiye.

Note :  Agar Aapko meri Post se kus help mili ho, ya Pasand ayi  ho to Like, Comment and Share, Jarur kriyega, Aur  apne Doston Aur Family Members Ko bhi invite Krein.
Read More

Phone Me Personal Data Hide Karne Ki 3 Secret Setting Kaise Kare Use?

3/25/2019 0
Aaj Ke Article Me Ham Aapko Batane Jaa Rahe Hai Smartphone Ki Kuchh Aisi Secret Settings, Jinke Baare Me Shayad Aapko Pata Nahi Hoga. Pata Hoga To Aap Nahi Jante Hoge Ki Inka Use Kaise Kiya Jaata Hai. Ye Setting Aapke Phone Me Hi Chhupi Hai. Inhe ON Karne Par Aap Apne Phone Ke Data Ko Hide Kar Sakte Hai. Phone Ko Bina Kisi Pattern Aur Password Ke Lock Kar Sakte Hai. Aisi Hi Phone Ki 3 Secret Settings Aap Yaha Par Janege. Aaiye Baat Karte Hai. Bina Kisi App Lock Se Phone Me Personal Data Ko Hide Kaise Karte Hai.

Bina Kisi Pattern Aur Password Lock Ke Setting Se Data Hide Kaise Kare.

Phone Me Personal Data Hide Karne Ki 3 Secret Setting

1. Kis Setting Se Phone Ko Kar Sakte Hai Lock.
Kisi Ke Hath Me Phone Dene Par डर Laga Rahta Hai Ki Vo Hamare Photos Ya WhatsApp Chat Ya Facebook Chat Na Khol De. But Is Setting Ko Karne Ke Baad Aapko Iska डर Nahi Rahega. Kyu Ki Is Setting Ko Karne Ke Baad Aapka Data Hide Ho Jayega. Na To Koi Aapki Chat Dekh Sakega Na Hi Gallery Ko Open Kar Sakega.
without app smartphone data hidden tricks
Kaise Kare Setting:
Iske Liye Aapko Smartphone Ki Setting Me Jakar User Option Par Click Karna Hai. Yaha Aapko Owner Aur Guest Likha Huya Dikhai Dega. Guest Par Tap Kar De. Ab Aapka Phone Ka Personal Data Koi Nahi Dekh Payega. Agar Aap Kisiko Phone Dege Feer Bhai  Vo Limited Chijo Ko Hi Access Kar Payega. Ye Setting Phone Lock Aur App Lock Ki Tarah Kaam Karegi. 

2. Phone Ki Screen Lock Karne Wali Setting.
Agar Aapne Phone Me Is Setting Ko Set Kar Diya To Is Se Aapki Screen Lock Ho Jayegi. Agar Aap Apna Phone Open Karke Kisi Ko Dege To Vo Utana Hi Data Access Kar Payege Jitna Uske Samne Dikh Raha Hai. Matalab Ki Agar Aapne Kisi Ko Videos Dikhane Ke Liye Phone Diya Hai To Vo Sirf Video Hi Dekh Payega. Video बंद Hone Ke Baad Vo Kisi Dusre Folder Me Nahi Jaa Payega. Yani Ki Back Button Aur Overview Button Kaam Nahi Karega Aur Nahi Home Button Kaam Karega. 
Phone Ki Screen Lock kaise kare bina app ke
Screen Lock Karne Ki Setting:
Phone Ki Setting Me Jakar Security Me Jaaye, Yaha Screen Pinning Ka Option Dikhega. Us Par Tap Kare. Ye Option ON Ho Jayega. Ab Youtube Ya Koi Dusra Folder Ya App Open Kare Aur Home Button Ke Right Me Diye Option Par Click Kare. Ab Aapko Ak Pin Dikhai Degi. Us Par Click Kare. Ab Phone Ki Screen Pin Ho Gayi Hai. Ab Koi Yaha Se Screen Back Karke Vapas Nahi Jaa Payega. Screen Ko Unpin Karne Ke Liye Back Screen Par Long Press Karna Hoga. Ya Feer Back And Overview Ko Toch And Hold Kare Dono Ko Ak Sath, Screen Unpin Ho Jayegi.

3. Phone Ki Screen Ko Night Ke Hisab Se Change Kare:
Night Me Phone Use Karne Par Iski Light Se Hame Aur Dusre Ko Disturb Hota Hai. Iske Sath Hi Hamari Aankho Par Bhi बुरा Asar Hota Hai. Is Setting Ko Karne Ke Baad Aapko Phone Black And White Me Change Ho Jayega. Isko Aap Night Me Aasani Se Use Kar Sakte Ho. 
Phone Ki Screen Ko Night Ke Hisab Se Change Kare:
Kaise Kare Setting:
Iske Liye Setting Me Jakar Accessibility Me Jaaye. Yaha Color inversion Ko ON Kar De.

ALSO RESD:
Read More